Hazrat Sheak Hussain Bin Mansoor Hallaj قدسِ سّرةالعزیز
❤🔥Salana U'rs-e-Mubarak 1135th❤🔥
#URS_E_MUBARAK :
Thursday / 4 Zil Qai'dah 1444 A.H / 25 May 2023 C.E
Naam :
Hussain رحمته الله عليه.
Valid :
Hazrat Mansoor رحمته الله عليه.
Validah :
......................?
D.O.B :
244 A.H / 857 A.D
P.O.B :
Toor, Iran 🇮🇷.
Kuniyat :
Abu Mughaith, Abu A'bdullah.
Alqaab :
A'rif Billah, Sofi, A'shiq Ullah, A'lim-e-Rabbani, Hallaj-ul-Israr Wagerah.
D.O.D :
Wednesday / 4 Zil Qai'dah 309 A.H / 6 March 922 A.D
Holy Grave :
Baghdad Shareef, Iraq 🇮🇶.
❤🔥TA'RUF WA TAZKIRAH :
═••••┅═❁♦♥♦❁═┅••••═
Aap رحمته الله عليه Ke Muta'luq A'jeeb Wa Gareeb Qisam Ke Aqwal Manqool Hain. Laikin Aap رحمته الله عليه Bahut Hi Nirali Shan Ke Buzurg Aur Apne Tarz Par Yagana-e-Rozgar The. Aksar Sufiya Ne Apki Buzurgi Se Inkar Karte Hove Kaha Hai Keh Aap رحمته الله عليه Tasawwuf Se Na Balad The. Aap رحمته الله عليه Hameshah Shaoq Wa Sooz Ke A'lam Me Mustagraq Rehte The. Yahi Wajah Hai Keh Apki Tasaneef Mofliq Wa Raqeeq I'barat Ka Majmo'ah Thi'n. Hattah Keh Ba'z Logo'n Ne Kafir Wa Sahir Tak Ka Khitab De Diya Aur Ba'z Ka Khayal Hai Keh Aap رحمته الله عليه Ahle Hulool Me Se The Aur Ba'z Kehte Hain Keh Aap رحمته الله عليه Ka Takiyah Ittehad Par Tha. Laikin Hazrat Musannif (Fareed Uddin A'ttar) Farmate Hain Keh Tauheed Ka Ma'mooli Sa Waqif Bhi Aap رحمته الله عليه Ku Hulool Wa Ittehad Ka A'lambardar Nahi Kahe Sakta. Balkeh Iss Qisam Ka E'teraz Karne Wala Khud Na Waqif-e-Tauheed Hai Aur Agar Inn Cheezo'n Ka Tafseeli Jayezah Liya Jaye Tu Iss Keliye Ek Zakheem Kitab Ki Zaroorat Hai. Chunanche Baghdad Me Ek Jama't Ne Hulool Wa Ittehad Ke Chakkar Me Gumrah Hukar Khud Ku Hallaji Kehne Se Gorez Nahi Kiya. Halankeh Inho'n Ne Saheeh Mano'n Me Aap رحمته الله عليه Ke Kalam Ku Samajhne Ki Kushish Hi Nahi Ki Hai. Magar Haqeeqat Yeh Hai Keh Iss Zomre Me Taqleed Shart Nahi Balkeh Allah Ta'ala Jis Ku Chahe Iss Martabe Par Faiz Farma De. Musannif (Fareed Uddin A'ttar) Farmate Hain Keh Mujhe Tu Iss Baat Par Hairat Huti Hai Keh Loog Darakhto'n Se Inni Aanallah (انی اناللہ) Ki Sada Ku Tu Jayez Qarar Dete Hain Aur Agar Yahi Jumlah Apki Zuban Se Nikal Gaya Tu Khilafe Shara' Batate Hain. Dusri Daleel Yeh Hai Keh Jis Tarah Hazrat O'mar رحمته الله عليه Ki Zuban Se Allah Ta'ala Ne Kalam Kiya Iss Tarah Allah ﷻ Ne Bhi Apki Zuban Se Kalam Kiya Aur Yahi Jawab Hulool Wa Ittehad Ke Wahiyaat Tasawwurat Ku Bhi Durr Kar Sakta Hai. Iss Ke A'lawah Ba'z Hazraat Hussain Bin Hallaj Aur Hussain Mansoor Ku 2 Juda Ganah Shaksiyate'n Qarar Dete Hove Kehte Hain Keh Hussain Mulhid Baghdad Ka Bashindah Aur Jadugar Tha. Jis Ki Nashonoma Wasit Me Hovi Aur Hazrat A'bdullah Khafeef رحمته الله عليه Ke Qaul Ke Mutabiq Hussain Bin Mansoor Hallaj A'lim-e-Rabbani Hove Hain Aur Hazrat Abu Bakkar Ja'far Shibli قدسِ سّرةالعزیز Ne Tu Yaha'n Tak Kahe Diya Keh Mujh Me Aur Hussain Bin Mansoor رحمته الله عليه Me Sirf Itna Sa Farq Hai Keh Inn Ku Logo'n Ne Danishwar Tasawwur Kar Ke Hilak Kar Diya Aur Mujh Ku Deewanah Samajh Kar Cho'dd Diya. Behar Haal Inhi'n Aqwaal Ke Mutabiq Hazrat Fareed Uddin A'ttar رحمته الله عليه Farmate Hai Keh Agar Hussain Bin Mansoor رحمته الله عليه Haqeeqat Me Mat'oon Wa Mal'oon Hute Tu Phir Yeh Dono'n A'zeem Buzurg Inn Ki Shan Me Itne Behtar Alfaz Kaise Istemal Kar Sakte The. Lihaza Inn Dono'n Buzurgo'n Ke Aqwaal Hazrat Hussain Bin Mansoor Hallaj قدسِ سّرةالعزیز Ke Sofi Hone Keliye Kafi Bahut Kafi Hain.
Hazrat Mansoor Hama Auqaat I'badaat Me Mashgool Raha Karte The Aur Maidane Tauheed Wa Ma'rifat Me Dusre Ahle Khairr Ki Tarah Aap رحمته الله عليه Bhi Shari'at Wa Sunnat Ke Mutbi'een Me Se The. Go Aap رحمته الله عليه Ki Zuban Se *اناالحق* Ka Gair Shara'i Jumlah Nikal Gaya. Laikin Aap رحمته الله عليه Ku Kafir Kehne Me Iss Liye Taraddud Hai Keh Aap رحمته الله عليه Ka Qaul Haqeeqat Me Khuda Ka Qaul Tha Aur Hazrat Sheak Fareed Uddin A'ttar رحمته الله عليه Ki Ray Hai Keh Ju Shaks Aap رحمته الله عليه Ki Buzurgi Ke Qail Nahi Hain Inn Ke Aqwaal Sufiya Ki Shan Ke Mutabiq Nahi........... Balkeh Bar Binaye Hasad Inho'n Ne Aap رحمته الله عليه Ku Murride Ilzam Girdana Hai Iss Liye Inn Mashaikeen Ke Aqwaal Ku Qabile Qabool Kehna Danishmandi Ke Khilaf Hai.
Aap رحمته الله عليه Ka Asal Naam Hussain Tha Aur Aap رحمته الله عليه Ke Valid Ka Naam Mansoor رحمته الله عليه Tha Ju Resham Bafi Ka Kaam Karte The. Aap رحمته الله عليه Sari Dunya Me Apne Valid Ke Naam Se Mashoor Hove Hain Ya'ne Ke *Mansoor Hallaj رحمته الله عليه*🌹Apke Dada Mohmi Atish Parast Majoosi The Aur Khatan Wa Damishq Ke Raste Par Ek Qafila Saraye Chalate The. Inn Ke Inteqal Ke Ba'd Woh Qafilah Saraye Hussain رحمته الله عليه Ke Valid Mansoor رحمته الله عليه Sambhalte The. Hazrat Hussain Hallaj رحمته الله عليه Bachpan Se Bahut Zaheen The. Ziyadah Waqt Khayalo'n Me Gum Rehte The. A'jeeb A'jeeb Baate'n Karte The. Aap رحمته الله عليه Ne 18 Saal Ki U'mr-e-Shareef Me Tustar Tashreef Le Gaye Aur Hazrat Sohel Bin A'bdullah Tustari قدسِ سّرةالعزیز Ke Maktab Me 2 Saal Tak Hazrat Sohel Bin A'bdullah Tustari قدسِ سّرةالعزیز Se Zaheri Shara'i U'loom Hasil Kiye Aur Suhbat Se Faizyab Hone Ke Ba'd Basrah Chale Gaye Aur Waha'n Jakar Hazrat Zunnoon Misri قدسِ سّرةالعزی Ki Subhat Me Kuch A'rsah Rahe.
Aap رحمته الله عليه Ku Hallaj Kiun Kehte Hain? Haqeeqat Me Hallaj Dukandar Ku Kehte Hain, Laikin Aap رحمته الله عليه Dukandar (Dhaniye) Nahi The. Aap رحمته الله عليه Iss Laqab Se Yu'n Mashoor Hove Keh Ek Roz Apne Ek Dukandar Dosth Ki Dukan Par Baithe Hove The. Aap رحمته الله عليه Ne Iss Dosth Ku Kisi Kaam Se Bhej Diya Aur Uss Ka Kaam Khud Sambhal Liya, Aap رحمته الله عليه Ne Ungli Se Roi Ki Taraf Isharah Kiya Tu Banole Roi Se Alag Hu Gaye Aur Roi Banolo'n Se Saaf Hu Gai. Uss Waqt Se Loog Aap رحمته الله عليه Ku Hallaj Kehne Lage Aur Yu'n Mansoor Hallaj رحمته الله عليه Ke Naam Se Maqbooliyat Hasil Hovi.
Hazrat Sheak Hussain Bin Mansoor Hallaj رحمته الله عليه Sehraye Tareeqat Ke Sayyah, Darya-e-Haqeeqat Ke Ghawwas Aur Akbire Ahle Tasawwuf The. Basrah Se Aap رحمته الله عليه Duharqah Pahunche. Iss Waqt Aap رحمته الله عليه Ki U'mr-e-Shareef 20 Saal Ki Thi. Rasteh Me Rahzano'n Ne Inn Ke Sare Qafile Ku Loot Liya, Magar Aap رحمته الله عليه Ku Deewanah Samajh Kar Cho'dd Diya. Yahi Haal Apka Madresah Me Bhi Tha Jaha'n Dusre Talibe I'lm Apku A'jeeb Nazro'n Se Dekhte The Keh Dauran-e-Dars Pata Nahi Aap رحمته الله عليه Kis Jaha'n Me Kho Jate The. Duharqah Pahunchne Ke Ba'd Hazrate O'mro Bin U'sman Makki قدسِ سّرةالعزیز Se Mureed Hove Aur 21 Saal Ki U'mr-e-Shareef Me Murshid Ne Mansabe Khilafat Par Bithaya, Magar Peer Ki Maujoodgi Me Kabhi Kisi Ku Mureed Nahi Kiye Aur Suhbat Me Rehkar Suhbat Se Faizyab Hute Rahe. Ba'd Me Apki Mutasawwifanah Tareeqat Ka Har Taraf Charchah Hone Laga. Tu Aap رحمته الله عليه Ne Azdwaji Zindagi Guzaarne Ka Faislah Kiya Aur Hazrat O'mro Bin U'sman Makki رحمته الله عليه Ke Nazdeeki A'zeez Hazrat Abu Ya'qoob Aqta رحمته الله عليه Ki Beti Hazratah Bibi Zainab رحمته الله عليها Se Nikah Kar Liya. Laikin Hazrat O'mro Bin U'sman Makki رحمته الله عليه Ki Narazgi Ke Ba'is Hazrate Khajah Juned Baghdadi قدسِ سّرةالعزیز Ki Khidmat-e-Aqdas Me Baghdad Shareef Pahunch Gaye Aur Waha'n Hazrat Juned Baghdadi رحمته الله عليه Ne Aap رحمته الله عليه Ku Khalwat Wa Sukoot Ki Tarbiyat Se Mirsa' Kiya. Aap رحمته الله عليه Ne Kabhi Ek Jagah Qayam Nahi Kiya, Muktalif Auliya-e-Zamanah Ki Suhbat Me Mashgool Hu Gaye. Phir Baghdad Me Kuch A'rsah Qayam Ke Ba'd Hijaz-e-Muqaddas Tashreef Le Gaye Aur Waha'n 2 Saal Bait-ul-Haram Ke Mujawar Bane Rahe. Uss Ke Ba'd Jama't-e-Sufiyah Ke Humrah Phir Baghdad Wapas Aa Gaye Aur Wapasi Par Aap رحمته الله عليه Ke Halaat Badal Choke The Kuch Aur Hi Rang Galib Tha. Khalqat Ku Aysi Baato'n Ki Da'wat Dete Ju Samajh Me Nahi Aati Thi'n. Jis Ka Natijah Yeh Hova Keh Qareeban 50 Shehro'n Se Aap رحمته الله عليه Ku Nikala Gaya Aur Aap رحمته الله عليه Ayse Halaat Wa Waqiyat Se Guzre Ju Apni No'iyat Par A'jeeb Tareen The.
Aap رحمته الله عليه Ne Baghdad Shareef Aane Ke Ba'd Hazrate Sheak Juned Baghdadi رحمته الله عليه Se Nah Ma'loom Kis Qisam Ka Sawal Kiya, Jis Ke Jawab Me Inho'n Ne Farmaya Keh Tu Bahut Jald Lakdi Ka Sar Surkh Kare Ga...... Ya'ni Sooli Chadha Diya Jaye Ga. Hazrat Mansoor Hallaj رحمته الله عليه Ne Jawab Diya Keh Mujhe Sooli Di Jaye Gi Tu Aap رحمته الله عليه Ahle Zahir Ka Libas Iktiyar Kar Le'n Ge. Chunanche Bayan Kiya Gaya Keh Jis Waqt U'lama Ne Mutafiqqah Taur Par Mansoor Hallaj رحمته الله عليه Ku Qabile Gardan Zadni Hone Ka Fatwa Diya Tu Khalifa-e-Waqt Ne Kaha Keh Hazrat Juned Baghdadi رحمته الله عليه Jab Tak Fatwe Par Dastakat Nah Kare'n Ge, My Mansoor Hallaj (رحمته الله عليه) Ku Phansi Nahi De Sakta Aur Jab Yeh Ittela Hazrat Juned رحمته الله عليه Ku Pahunchi Tu Aap رحمته الله عليه Ne Madrsah Me Jakar Pehle U'lama-e-Zahir Ka Libas Zaib-e-Tan Kiya Aur Uss Ke Ba'd Fatwa Diya Keh Hum Zahir Ke E'tebar Se Mansoor Hallaj (رحمته الله عليه) Ku Sooli Par Chadhane Ka Fatwa Sadir Karte Hain. Ek Martabah Hazrate Juned Baghdadi رحمته الله عليه Ne Jab Mansoor Hallaj رحمته الله عليه Ke Kisi Masle Ka Jawab Nahi Diya Tu Woh Hazrate Juned رحمته الله عليه Se Mulaqat Kiye Bagair Khafa Hukar Apni Biwi Bachcho'n Ke Humrah Tustar Chale Gaye Aur Ek Saal Tak Wahi'n Muqeem Rahe Aur Waha'n Ke Loog Aap رحمته الله عليه Ke Behad Mu'taqid Hu Gaye. Laikin Aap رحمته الله عليه Apni Fitrat Ke Mutabiq Ahle Zahir Ku Hameshah Nazar Andaz Karte Rahe. Jis Ki Wajah Se Loog Aap رحمته الله عليه Ke Khilaf Nafrat Wa Hasad Ka Jazbah Paida Hu Gaya. Dusri Sab Se Badi Wajah Yeh Hovi Keh Hazrat O'mro Bin U'sman Makki رحمته الله عليه Ne Ahle Khurastan Ku Apki Boraiya'n Tehreer Kar Ke Aur Bhi Aap رحمته الله عليه Ke Khilaf Mu'anidanah Jazbah Ronomah Kar Diya. Chunanche Aap رحمته الله عليه Ku Iss Tarze A'mal Se Behad Ranj Pahuncha Aur Aap رحمته الله عليه Ne Sufiya Ka Libas Tarak Kar Ke Ahle Dunya Ka Libas Iktiyar Kar Ke Dunyadaro'n Jaisa Hi Rehan Sehan Iktiyar Kar Liya Aur Mukammal 5 Saal Tak Hamaah Oost (ہمہ اوست) Ke Falsafe Me Gom Rahe Aur Muktalif Mumalik Me Muqeem Reh Kar Akhar Me Faras Pahunche Aur Ahle Faras Ku Buland Payah Tasaneef Pesh Ki'n Aur Apne Wa-iz Wa Naseehat Me Ayse Ayse Romoz Niha'n Ka Inkeshaf Kiya Keh Logo'n Ne Aap رحمته الله عليه Ku *Hallaj-ul-Israr* Ka Khitab Se Nawaz Diya. Phir Basrah Pahunch Kar Dubara Sufiya Ka Libas Iktiyar Kar Ke Makkah Mua'zzamah Ka A'zm Kiya Aur Rasteh Me Beshomar Sufiya Se Mulaqate'n Karte Rahe. Laikin Makkah Mua'zzamah Pahunch Ne Ke Ba'd Hazrat Yaqoob Nahr Jori رحمته الله عليه Ne Apku Jadugar Kehna Shuru Kar Diya. Phir Waha'n Se Wapasi Ke Ba'd Ek Saal Basrah Me Basar Kiya Aur Mawraun Nahr (Transoxiana) Waha'n Se Khurasan 🇦🇫 Aur Hind 🇮🇳 Hute Hove China 🇨🇳 Pahunch Kar Logo'n Ku Wa-iz Wa Naseehat Ka Silsila Shuru Kar Diya Aur Jin Jin Mumalik Me Pahunche Waha'n Ke Logo'n Ne Aap رحمته الله عليه Ke Ausaaf Ke Mutabiq Khitabaat Se Nawaza. Ghom Phir Kar Wapas Makkah Mua'zzamah 🇸🇦 Pahunch Gaye Aur 2 Saal Qayam Ke Ba'd Jab Wapasi Hovi Tu Aap رحمته الله عليه Me Iss Darjah Tagayyur Paida Hu Gaya Keh Apka Kalam Logo'n Ki Feham Se Bahar Hu Gaya Aur Jin Mumalik Me Aap رحمته الله عليه Tashreef Le Jate Waha'n Ke Loog Aap رحمته الله عليه Ku Nikal Dete, Jis Ki Wajah Se Aap رحمته الله عليه Ne Aysi Aysi Aziyate'n Bardasht Ki'n Keh Kisi Dusre Sofi Ku Aysi Takaleef Ka Samna Karna Nahi Pada.
Aap رحمته الله عليه Har Raat 400 Rakate'n Namaz Ada Kiya Karte The Aur Iss Fe'l Ku Apne Upar Farz Qarar De Liya Tha Aur Jab Logo'n Ne Aap رحمته الله عليه Se Sawal Kiya Keh Aap رحمته الله عليه Ayse Buland Maratib Ke Ba'd Aap رحمته الله عليه Kiun Aziyate'n Bardasht Karte Hain. Aap رحمته الله عليه Ne Jawab Diya Keh Dosth Ka Mafhoom Yahi Hai Keh Masaib Par Sabr Kiya Jaye Aur Ju Iss Ki Raah Me Fanaa Hu Jata Hai Rahat Wa Gham Ka Koi Ahsas Baqi Nahi Rehta.
I'badat Wa Rayazat Ke Daur Me Musalsal Aap رحمته الله عليه Ek Hi Gudri Me Zindagi Basar Karte Rahe Aur Jab Logo'n Ke Israr Par Majboor Hukar Uss Gudri Ku Utara Tu Uss Me 3 Ratti Ke Wazan Ke Barabar Joye'n Pad Gai'n Thi'n. Kisi Shaks Ne Aap رحمته الله عليه Ke Qareeb Ek Bichcho🦂 Ku Dekh Kar Marna Chaha Tu Aap رحمته الله عليه Ne Farmaya Keh Iss Ku Mat Maro Kiunkeh 12 Saal Se Yeh Mere Sath Hai.
❤🔥WAQIYAT :
═••••┅═❁♦♥♦❁═┅••••═
👉🏻1) Ek Martabah Safar-e-Hajj Me Aap رحمته الله عليه Ke Humrah 4000 Afrad Makkah Mua'zzamah Pahunche Waha'n Pahunch Kar Aap رحمته الله عليه Bilkul Birhanah Sar Aur Birhanah Jism Khade Hu Gaye Aur Mukammal Ek Saal Tak Issi Halat Me Khade Rahe. Hattah Ke Shadeed Dhop🌞 Ki Wajah Se Aap رحمته الله عليه Ki Haddiyo'n Tak Ka Gudh Pighal Gaya Aur Jisam Ki Khal Phat Gai, Ussi Dauran Koi Shaks Rozanah Ek Tikiya (Kuti Hovi Dawa Ka Qars Ju Zakhmo'n Par Lagaya Jata Hai) Aur Ek Kozah Pani Aap رحمته الله عليه Ke Paas Pahuncha Deta Tha Aur Aap رحمته الله عليه Tikiya Ke Kinare Kha Kar Baqi Mandah Hisse Ku Koze Par Rakh Dete The Aur Aap رحمته الله عليه Ke Istegraq Ka Yeh A'lam Tha Keh Aap رحمته الله عليه Ke Tahband Me Ek Bichcho🦂 Ne Rehne Ki Jagah Banali Thi.
👉🏻2) Maidan-e-A'rfat Me Aap رحمته الله عليه Ne Kaha Keh Aye Allah ﷻ Tu Sargirda'n Logo'n Ku Rah Dikha Ne Wala Hai Aur Agar My Waqa'i Kafar Ho'n Tu Mere Kufr Me Izafah Farmade. Phir Jab Sab Loog Ruksat Hu Gaye Tu Aap رحمته الله عليه Ne Du'wa Ki Keh Aye Khuda My Tujh Ku Wahid Tasawwur Karte Hove Tera Siwa Kisi Ki I'badat Nahi Karta Aur Tere In'amat Par Apne I'jz Ki Wajah Se Shukur Bhi Ada Nahi Kar Sakta Lihaza Tu Mere Bajai Apna Shukriya Khud Hi Ada Karle, Iss Liye Keh Bando'n Se Tera Shukur Kisi Tarah Bhi Ada Nahi Hu Sakta.
👉🏻3) Ek Martabah Aap رحمته الله عليه Ne Farmaya Keh Hazrat Musa علیہ الصلواۃ و السلام Ne Iblees Se Dariyafat Kiya Keh Tu Ne Hazrat Adam علیہ الصلواۃ و السلام Ku Sajdah Kiun Nahi Kiya Tu Uss Ne Jawab Diya Keh My Tu Khuda-e-Ta'ala Ka Mushahidah Karne Walo'n Aur Uss Ku Sajdah Karne Walo'n Me Se Tha. Iss Liye Mujhe Yeh Gawarah Nah Hu Saka Keh Iss Ke Siwa Kisi Aur Ku Sajdah Karo'n Aur Aap رحمته الله عليه Ke Ishtiyaq-e-Deedar Ka Yeh A'lam Tha Keh *انظر الی الجبل* Ka Farman Sunte Hi Kooh-e-Toor Ki Janib Harisanah Taur Par Dekhne Lage.
👉🏻4) Hazrat Mansoor Hallaj رحمته الله عليه Ke Murshid Sheak O'mro Bin U'sman Makki رحمته الله عليه Ne Chan'd Ajzah Murattab Kar Risale Ki Shakal Diye The Jin Ka Mauzu Tauheed Wa I'lm-e-Tasawwuf Tha. Hussain Hallaj رحمته الله عليه Ne Unhe'n Poshidah Tareeqe Se Bila Ijazat Uss Ku Le Liya. Raz Zahir Kar Diye Aur Maklooq Ku Woh Auraq Dikha Diye Ju Kuch Unn Ajza Me Kaha Gaya Tha Woh Badi Bareek Aur A'ala Darje Ki Baate'n Thi'n. Loog Unn Baato'n Ku Samajh Nah Sake Aur Loog Sheak O'mro Bin U'sman Makki رحمته الله عليه Ke Monkar Hu Gaye Aur Unn Se Alag Hu Gaye. Sheak O'mro Bin U'sman Makki رحمته الله عليه Ne Apne Mureed Mansoor Hallaj رحمته الله عليه Par Nafree'n (Bad Du'wa, Malamat) Bheji Keh Ilahi Kisi Ayse Shaks Ku Iss Par Muqarrar Farma De, Ju Iss Ke Hath Pao'n Kaat De, Sar Udaa De, Uss Ki Ankhe'n Nikaal Le Aur Sooli Par Chadha De. Pas Ju Kuch Murshid Ne Bad Du'wa Ki Wasa Hi Waqa' Hova. Mureed Ku Bila Ijazat Peer Ki Kisi Kitab Ka Mutali'yah Karna Munasib Nahi. Jab Uss Ke Feham Ke Laiq Hu Jaye Tu Hi Unn Raz Ki Baato'n Ku Janna Aur A'mal Karna Hai.
👉🏻5) Ek Martabah Sheak A'bdul Malik Ne Mansoor Hallaj رحمته الله عليه Se Pucha Keh A'rif Kise Kehte Hain? Tu Sheak Mansoor رحمته الله عليه Ne Jawab Diya Keh A'rif Woh Hai Keh Jis Ku Baghdad Ke Babul Taaq Par Le Jaya Jaye Ga, Uss Ke Hath Pao'n Qata' Kiye Jaye'n Ge, Uss Ki Ankhe'n Nikal Li Jaye'n Gi Aur Ulta Kar Sooli Par Latka Diya Jaye Ga. Uss Ku Jala Ya Jaye Ga Aur Jala Ne Ke Ba'd Khaakastar Ku Uda Diya Jaye'n Ga. Sheak A'bdul Malik Kehte Hain Keh My Ne Uss Din Ka Intezar Kiya Tu Woh Khud Hi Nikle, Yeh Sab Kuch Inho'n Ne Apne Bare Me Farmaya Tha. Ju Kahe The Inn Ke Sath Waisa Hi Hova.
❤🔥KARAMAAT :
═••••┅═❁♦♥♦❁═┅••••═
⭐1} Hazrat Rasheed Khurd Samarqandi رحمته الله عليه Bayan Karte The Keh Ek Martabah Bahut Se Loog Safar-e-Hajj Me Aap رحمته الله عليه Ke Sath The Aur Kai Din Se Koi Giza Naseeb Nahi Hovi Thi. Chunanche Jab Sab Ne Bhook Ki Shikayat Karte Hove Yeh Farmaish Ki Keh Iss Waqt Hamari Tabiyat Siri (Bhed🐏 Ya Bakri🐐 Ka Sar Ju Bhon Kar Khaya Jata Hai) Khane Ku Chahti Hai. Tu Mansoor Hallaj رحمته الله عليه Ne Sab Ki Saf Bandi Ki Aur Jab Kamar Ke Piche Hath Le Jate Tu Ek Bhoni Hovi Siri Aur 2 Garam Rotiya'n Nikal Nikal Kar Sab Ke Samne Rakhte Jate, Iss Tarah Inn 400 Afrad Ne Shikam Sair Hukar Khana Khaya Phir Aage Chal Kar Logo'n Ne Kaha Keh Hamari Tabiyat Kharmo'n (Khajooro'n) Ku Chahti Hai. Chunanche Aap رحمته الله عليه Ne Khade Hukar Farmaya Keh Mujhe Zorr Zorr Se Hilao Aur Jab Logo'n Ne Yeh A'mal Kiya Tu Aap رحمته الله عليه Ke Jism Se Iss Qadar Kharme Jhade Ke Loog Sair Hu Gaye.
⭐2} Ek Jangal Me Murideen Ki Jama't Ne Aap رحمته الله عليه Se Anjeer Ki Khuwahish Ka Izhar Kiya, Tu Aap رحمته الله عليه Ne Jaise Hi Hawa Me Hath Buland Kiya Tu Anjeer Se Labrez Ek Tabaq Aap رحمته الله عليه Ke Hath Aa Gaya Aur Aap رحمته الله عليه Ne Puri Jama't Ku Khila Diya.
⭐3} Ek Martabah Hazrat A'bdullah Khafeef رحمته الله عليه Ne Mansoor Hallaj رحمته الله عليه Ku Jail Me Dekha Keh Woh Apni Jagah Se Uthe Aur Wazu Kiya. Jail Khane Me 40 Hath Ke Fasle Par Ek Rassi Tani Hovi Thi. Jis Par Ek Kapda Pada Hova Tha. Tu My Ne Uss Kapde Ku Ibne Mansoor رحمته الله عليه Ke Hath Me Dekha, My Nahi Janta Keh Woh Kapda Udd Kar Aaya Tha Ya Inho'n Ne Hath Badha Kar Uss Ku Liya Tha. Phir Apne Hath Se Deewar Ku Isharah Kiya Tu Deewar Khol Gai Aur My Ne Dajla Ku Dekha Keh Loog Iss Ke Kinare Par Khade Hove Hain.
⭐4} Aap رحمته الله عليه Ke Nihayat A'jeeb Hi Waqiyat Wa Karamaat Hain. Aksar Aap رحمته الله عليه Alag Alag Musam Ke Phal Logo'n Ku Diya Karte The. Kabhi Thandi Ke Musam Ke Phal Garmi Ke Musam Me Dete Tu Kabhi Garmi Ke Musam Ke Phal Thandi Me Dete The.
❤🔥IBNE MANSOOR رحمته الله عليه KA A'QIDA-E-TAUHEED KALMAH ANAAL HAQ KI TAWAJJIHA :
═••••┅═❁♦♥♦❁═┅••••═
Hazrat Hussain Bin Mansoor Hallaj رحمته الله عليه Ka A'qida-e-Tauheed Jis Ka Lafz Lafz Kitab Wa Sunnat Aur Mazhabe Salf-us-Saliheen Ki Pur Shaoqat Tafseer Hai. Jis Me Saaf Sareeh Hai Keh Maklooq Ku Allah Ta'ala Ke Sath Kisi Qisam Ka Iktelat Imtezaj Nahi Hu Sakta, Nah Haloolan Nah Ittehadan.
Pas Ayse Shaks Ki Zuban Se Agar Kisi Waqt Anaal Haq Nikal Gaya Hu Tu Uss Ka Matlab Hargiz Yeh Nahi Hu Sakta Keh Woh Apne Aap Ku Khuda Kehta Tha. Kiunkeh Insaan Ka Hadis Hona Zahir Hai Aur Ibne Mansoor Ke A'qide Me Hadis Muhtaje Qadeem Se Muttahid Nahi Hu Sakta. Balkeh Iss Qaul Ki Taweel Zaroori Hai. Chunanche Chan'd Taweelat Risalah Ash'ar-ul-Guyoor Me Mazkoor Hain.
Aur Ek Taweel Yeh Bhi Hu Sakti Hai Keh Uss Waqt Ibne Mansoor رحمته الله عليه Ki Zuban Kalam-e-Haq Ki Tarjuman Thi. Unn Ki Zuban Se Ussi Tarah Anaal Haq Nikla Tha.......... Jaise Shajre Musa علیہ الصلواۃ و السلام Se *انی انا اللہ رب العالمین* Ki Awaz Aai Thi. Zahir Hai Ke Darakht Ne Apne Aap Ku Allah Rabbul A'lameen Nahi Kaha Tha. Balkeh Uss Waqt Woh Kalam-e-Ilahi Ka Tarjuman Tha. Ussi Tarah Ibne Mansoor رحمته الله عليه Ke Muta'luq Bhi Khayal Kiya Ja Sakta Hai Aur Galba-e-Halaat Wa Wardaat Me Barha Aysa Huta Hai Keh A'rif Ki Zuban Se Allah Ta'ala Takallum Farmata Hai. Jis Ku Salikeen Ashab-e-Haal Samajh Sakte Hain. Pas Yeh Tu Muslima Hu Sakta Hai Pas Ibne Mansoor رحمته الله عليه Ki Zuban Se Anaal Haq Nikla Hova Hu, Magar Yeh Muslima Nahi Keh Ibne Mansoor رحمته الله عليه Ne Khud Anaal Haq Kaha Tha Balkeh
گفتہ او گفتۂ اللہ بود
گرچہ از حلقوم عبداللہ بود
❤🔥IRSHADAAT :
═••••┅═❁♦♥♦❁═┅••••═
🗣️1] Khuda Ki Yaad Me Dunya Wa Akhirat Ku Faramosh Kar Dene Wala Hi Wasil Ilallah Huta Hai Aur Khuda Ke Siwa Har Shay Se Mustagni Hukar I'badat Karna Faqr Hai.
🗣️2] Sofi Apni Zaat Se Iss Liye Wahid Huta Hai Keh Nah Tu Woh Kisi Ku Janta Hai Aur Nah Uss Se Koi Waqif Huta Hai.
🗣️3] Noor-e-Emaan Ke Zariye'h Khuda Ki Justaju Karo.
🗣️4] Hikamat Ek Teer Hai Aur Teer Andaze Khuda-e-Ta'ala Hai Aur Maklooq Iss Ka Nishanah Hai.
🗣️5] Bandagi Ki Manazil Tay Karne Wala Azad Hu Jata Hai.
🗣️6] U'bodiyat Ka Ittesaal Robobiyat Se Hai.
🗣️7] Jab Tak Masaib Par Sabr Nah Kiya Jaye, I'nayat Hasil Nahi Huti.
🗣️8] Haq Aap ﷺ Ke Sath Hai Aur Haqeeqat Bhi Aap ﷺ Ke Sath Hai, Sachchai Aur Narmi Aap ﷺ Ki Zaat Ke Johar Hain, Aap ﷺ Qurb Me Sab Se Pehle Aur Nabovat Me Sab Se Ba'd Hain, Az Roye Haqeeqat Aap ﷺ Batin Hain Aur Az Roye Ma'rifat Aap ﷺ Zahir Hain.
🗣️9] Agar Daulat-e-Wisl Chahte Hu Tu Apne Har Batil Khayal Ku Atish-e-Ishq Ke Sooz Me Jala Du, Jab Tumhari Nigah Noor-e-Ilahi Me Gom Hu Gai Tu Uss Noor Ke Samne Asman Me Chamakte Hazaro'n Sitare Bhi Mand Padd Jaye'n Ge.
🗣️10] A'mal Ku Kadurat Se Paak Rakhne Ka Naam Iklaq Hai.
❤🔥SHAHADAT KE HALAAT :
═••••┅═❁♦♥♦❁═┅••••═
Jab Hazrate Shibli رحمته الله عليه Aap رحمته الله عليه Ku Qatal Karne Ki Niyyat Se Pahunche Tu Aap رحمته الله عليه Ne Farmaya Keh My Ne Ek Ayse Kaam Ka Ahad Kar Liya Hai, Jis Ki Wajah Se Mujh Par Deewangi Tari Hai Aur My Khud Hi Apni Maut Ku Da'wat De Raha Ho'n, Lihaza Tum Mujh Ku Qatal Nah Karo. Aap رحمته الله عليه Ke Inn Kalimat Se Bahut Se Loog Bargashtah Hu Gaye Aur Khalifah Ku Bhi Aap رحمته الله عليه Ki Janib Se Badzan Kar Diya. Hattah Ke Anaal Haq (اناالحق) Kehne Ki Wajah Se Kufr Ka Fatwa A'yid Kar Diya Gaya Aur Jab Aap رحمته الله عليه Se Sawal Kiya Gaya Keh Bande Ka Da'wa-e-Khudai Karna Dakhile Kufr Hai? Tu Aap رحمته الله عليه Ne Jawab Diya Keh Woh Haqeeqatan Hamah Oost (ہمہ اوست) Hai Aur Tumhare Qaul Ke Mutabiq Woh Gom Nahi Hova, Laikin Hussain Gom Hu Gaya Hai Aur Behr-e-Moheet Me Kisi Qisam Ki Kami Ya Ziyadati Mumkin Nahi Aur Jab Logo'n Ne Hazrat Juned Baghdadi رحمته الله عليه Se A'rz Kiya Keh Mansoor (رحمته الله عليه) Ke Qaul Me Kisi Tarah Ki Taweel Hu Sakti Hai Ya Nahi? Inho'n Ne Farmaya Keh Ab Tum Loog Iss Silsile Me Kuch Nah Kaho Kiunkeh Ab Taweel Ka Waqt Guzar Choka Hai. Chunanche U'lama Ki Ek Jama't Aur Khalifa-e-Waqt Wagerah Sab Aap رحمته الله عليه Se Naraz Hu Gaye Aur Ek Baras Tak Aap رحمته الله عليه Ku Qaid Khane Me Dale Rakha. Laikin Waha'n Bhi Aap رحمته الله عليه Ke Mu'taqideen Pahunchte Rehte The Aur Aap رحمته الله عليه Inn Ke Masa'il Ka Tasalli Baksh Jawab Dete The. Phir Logo'n Ku Aap رحمته الله عليه Ke Paas Jane Ki Mima'nat Kar Di Gai Aur 5 Maah Tak Ek Fard Bhi Aap رحمته الله عليه Ke Paas Nahi Pahuncha Magar Iss A'rsah Me Ba'z Buzurgo'n Ne Aap رحمته الله عليه Ke Paas 2 Afrad Ku Bhej Kar Yeh Kehalwaya Keh Anaal Haq Kehne Se Taubah Karlo Takeh Qaid Se Riha Kar Diya Jaye. Aap رحمته الله عليه Ne Jawab Diya My Ma'zoor Ho'n, Phir Ek Martabah Hazrate A'ta رحمته الله عليه Khud Hi Aap رحمته الله عليه Ke Paas Gaye. Laikin Aap رحمته الله عليه Ne Inhe'n Bhi Wahi Jawab Diya.
Jis Din Qaid Me Aap رحمته الله عليه Ku Dala Gaya Tu Raat Ku Jab Logo'n Ne Jakar Dekha Tu Aap رحمته الله عليه Waha'n Nahi The Aur Dusri Shab Me Nah Qaid Khanah Maujood Tha Nah Aap رحمته الله عليه The Aur Teesri Shab Me Dono'n Maujood The Aur Logo'n Ne Jab Wajah Puchi Tu Farmaya Keh Pehli Shab Me Tu Huzoor-e-Akram ﷺ Ki Khidmat-e-Aqdas Me Tha Aur Dusri Shab Huzoor-e-Akram ﷺ Yaha'n Tashreef Farma The. Iss Liye Qaid Khanah Gom Hu Gaya Tha Aur Ab Mujhe Shari'at Ke Tahaffoz Ki Khatir Yaha'n Par Bhej Diya Gaya. Hazrate Mansoor Hallaj رحمته الله عليه Qaid Khane Ke Andar Ek Raat Din Me 1000 Rakate'n Namaz Ada Kiya Karte The. Phir Jab Logo'n Ne Pucha Keh Jab Anaal Haq (اناالحق) Khud Aap (رحمته الله عليه) Hain Tu Phir Namaz Kis Ki Padhte Hain. Farmaya Keh Apna Martabah Hum Khud Samajhte Hain😊.
Qaid Khane Me Aap رحمته الله عليه Ke A'lawah Aur Bhi 300 Qaidi Maujood The Aur Jab Aap رحمته الله عليه Ne Inn Se Kaha Keh Kya Tum Ku Riha Kar Do'n Tu Inho'n Ne Jawab Diya Keh Agar Yeh Taqat Hai Tu Phir Tum Khud Kiun Yaha'n Aaye. Aap رحمته الله عليه Ne Ishrah Kiya Tu Tamam Qaidiyo'n Ki Bediya'n Toot Gai'n Aur Jab Dubarah Isharah Kiya Tu Tamam Qofol Toot Gaye. Phir Aap رحمته الله عليه Ne Qaidiyo'n Se Farmaya Keh Jao Hum Ne Tumhe'n Riha Kar Diya Aur Jab Qaidiyo'n Ne Kaha Keh Aap رحمته الله عليه Bhi Hamare Humrah Chaliye Tu Farmaye Keh Mujhe Apne Aqa (Allah ﷻ) Ke Sath Ek Aysa Raz Wabastah Hai Ju Sooli Par Chadhe Bagair Hal Nahi Hu Sakta............. Go My Apne Aqa Ka Qaidi Ho'n, Laikin Shari'at Ki Pasdari Bhi Wajib Hai. Chunanche Subah Ku Dekha Gaya Tu Tamam Qaidi Farar Hu Choke The Aur Aap رحمته الله عليه Ke Siwa Waha'n Koi Aur Nahi Tha Aur Jab Aap رحمته الله عليه Se Sawal Kiya Gaya Tu Aap رحمته الله عليه Ne Farmaya Keh Hum Ne Sab Ku Riha Kar Diya Aur Hum Iss Liye Tehar Gaye Hain Keh Hamare Aqa Ka Hum Par I'taab Nazil Hai Aur Jab Yeh Ittela Khalifah Ku Pahunchi Tu Uss Ne Hukum Diya Keh Inhe'n Koode Se Maar Maar Kar Fauran Qatal Kar Diya Jaye. Chunanche Ta'meele Hukum Ki Khatir Qaid Khane Se Bahar Lakar Jab Aap رحمته الله عليه Ku 300 Koode Lagaye Gaye. Tu Aap رحمته الله عليه Ne Intehai Sabr Wa Tahammul Ke Sath Ek Hi Halat Me Khade Rahe Aur Jis Ne Aap رحمته الله عليه Ku Koode Lagaye Uss Ka Bayan Hai Keh My Har Koode Par Yeh Awaz Sunta Ho'n یا ابن منصور لا تخف Ya'ni Aye Mansoor (رحمته الله عليه) Khaufzadah Nah Hu Aur Jis Waqt Aap رحمته الله عليه Ku Sooli Di Jane Wali Thi. Tu 1,00,000 Afrad Ka Waha'n Ijtema Tha Aur Aap رحمته الله عليه Har Simt Dekh Kar Haq Haq Haq Aur Anaal Haq Kahe Rahe The, Ussi Waqt Kisi Ahlullah Ne Pucha Keh Ishq Kis Ku Kehte Hain? Farmaye Keh Aaj Kal Aur Paros'n Me Tujh Ku Ma'loom Hu Jaye Ga. Chunanche Ussi Din Aap رحمته الله عليه Ku Phansi Di Gai. Agle Din Aap رحمته الله عليه Ki Na'sh Mubarak Ku Jalaya Gaya Aur Teesre Din Khaak Hawa Me Udaa Di Gai Goya Aap رحمته الله عليه Ke Qaul Ke Mutabiq Ishq Ka Saheeh Mafhoom Yeh Tha Aur Jab Aap رحمته الله عليه Ke Khadim Ne Wasiyat Karne Ke Muta'luq A'rz Kiya Tu Farmaye Keh Apne Nafs Ku Tamam A'laiq-e-Dunya Se Khali Karle Warnah Yeh Nafs Tujh Ku Aysi Cheezo'n Me Phansa Dega. Ju Tere Bas Ki Nah Hu Gi Aur Jab Aap رحمته الله عليه Ke Sahabzade Ahmad رحمته الله عليه Ne Wasiyat Ki Khuwahish Ki Tu Farmaya Keh Sara A'lam Tu A'maal-e-Salehah Ki Kushish Karta Hai, Laikin Tujhe I'lm-e-Haqeeqat Hasil Karna Chahiye Kiunkeh I'lm-e-Haqeeqi Ka Ek Noktah Bhi Tamam A'maal-e-Salehah Par Bhari Huta Hai. Phir Aap رحمته الله عليه Jis Waqt Shada'n Wa Farha'n Tehalte Hove Sooli Ki Janib Badhe Tu Logo'n Ne Sawal Kiya Keh Aap رحمته الله عليه Iss Qadar Kiun Hu? Farmaya Keh Iss Se Ziyadah Musarrat Ka Waqt Aur Konsa Hu Sakta Hai. Jab Keh My Apne Thikane Par Pahunch Raha Ho'n. Phir Aap رحمته الله عليه Ba Awaze Buland Mandarjah Zail 2 Ash'ar Padhe
فدیمی غیر منسوب الی شئ من الحیف
سقانی مثل ما یشرب کعفل الصیف بالصیف
فلما دار ستہ الکاس دعا بالنطع والسیف
کذا من یضرب الراح من التین بالصیف
Ya'ni Mera Nadeem Zara Sa Bhi Zalim Nahi, Uss Ne Muje Ku Aysi Sharab A'ta Ki Hai Ju Mehman Ku Mezban Diya Karta Hai Aur Jab Jaam Ke Kai Daur Chal Choke Tu Talwar Aur Nata'a Talab Kiya Keh Iss Shaks Ki Saza Yahi Hai Ju Ashdhe Samne Mah-e-Tamoz Me Purani Sharab Pita Hai.
Phir Jis Waqt Aap رحمته الله عليه Ku Phansi Ke Phande Ke Niche Le Jaya Gaya Tu Aap رحمته الله عليه Ne Pehle Bab-ul-Taaq Ku Bosah Dekar Sidhi Par Jis Waqt Qadam Rakha Tu Logo'n Ne Pucha Keh Kya Haal Hai? Farmaya Keh Phansi Tu Mardo'n Ka Mizaj Hai, Phir Qiblah Roo Hukar Farmaya Keh My Ne Ju Kuch Talab Kiya Tu Ne A'ta Kar Diya. Phir Jab Sooli Par Chadhte Hove Logo'n Ne Pucha Keh Aap رحمته الله عليه Ka Apne Mukhalifeen Wa Mutbi'een Ke Muta'luq Kya Khayal Hai? Farmaye Keh Mutbi'een Ku Ek Ajr Tu Iss Liye Zaroor Hasil Hu Ga Keh Woh Mujh Se Sirf Husn-e-Zann Rakhte The Aur Mukhalifeen Ku 2 Sawab Hasil Ho'n Ge. Kiunkeh Woh Quwwat-e-Tauheed Aur Shari'at Me Sakti Se Haif Rehte Hain Aur Shari'at Me Asal Shay Tauheed Hai. Jab Keh Husn-e-Zann Sirf Furoo Ki Haisiyat Rakhta Hai. Phir Jab Aap رحمته الله عليه Ku Yeh Khayal Aaya Keh A'hde Shabab Me Nazar Ek A'urat Par Pad Gai Thi Tu Farmaya Keh Iss Ka Badlah Itni Muddat Guzarne Ke Ba'd Liya Ja Raha Hai Aur Jab Hazrat Shibli قدسِ سّرةالعزیز Ne Pucha Keh Tasawwuf Kis Ku Kehte Hain, Farmaya Keh Ju Kuch Tum Dekh Rahe Hu Yeh Tasawwuf Ka Adna Tareen Darjah Hai. Kiunkeh A'ala Tareen Darjah Se Koi Bhi Waqif Nahi Hu Sakta. Iss Ke Ba'd Logo'n Ne Aap رحمته الله عليه Ku Sangsar Karna Shuru Kar Diya. Jis Ku Aap رحمته الله عليه Nihayat Khamoshi Se Bardasht Karte Rahe. Laikin Jab Hazrate Shibli رحمته الله عليه Ne Mitti Ka Ek Chota Dhela Mara Tu Aap رحمته الله عليه Ne Aah Bhari Aur Jab Logo'n Ne Pucha Keh Sangsari Ki Aziyat Par Tu Khamosh Rahe Laikin Mitti Ke Ek Chote Se Dhele Par Aap رحمته الله عليه Ke Moo Se Aah Kiun Nikal Gai. Farmaya Keh Patthar Marne Wale Tu Meri Haqeeqat Se Na Waqif The. Laikin Shibli رحمته الله عليه Ku Dhela Iss Liye Nah Marna Chahiye Tha Keh Woh Achchi Tarah Waqif Hain. Phir Jab Mansoor Hallaj رحمته الله عليه Ke Hath Seedhi Par Qata' (Kaate) Kiye Gaye Tu Muskurate Hove Farmaya Keh Logo'n Ne Go Mere Zaheri Hath Tu Qata' Kar Diye Hain. Laikin Woh Mere Batini Hath Kon Munqata' Kar Sakta Hai. Jinho'n Ne Himmat Ka Taj A'rsh Ke Sar Par Se Utara Hai. Ussi Tarah Jab Pao'n Qata' Kiye Gaye Tu Farmaya Keh Go Mere Zaheri Pao'n Qata' Kar Diye Gaye. Laikin Abi Woh Batini Pao'n Baqi Hain. Jin Se My Dono'n A'lam Ka Safar Kar Sakta Ho'n. Phir Aap رحمته الله عليه Ne Khoon Alood Hatho'n Ku Chehre Par Malte Hove Farmaya Keh Meri Surkh Roi Achchi Tarah Mushahidah Karlo Kiunkeh Khoon Jawan Mardo'n Ka Ubtan Huta Hai. Phir Khoon Se Labrez Hatho'n Ku Kahino'n Tak Pherte Hove Farmaya Keh My Namaz-e-Ishq Keliye Wazu Kar Raha Ho'n. Kiunkeh Namaz-e-Ishq Keliye Khoon Hi Se Wazu Kiya Jata Hai. Phir Jab Ankhe'n Nikaal Kar Zuban Qata' Karne Ka Qasad Kiya Gaya. Tu Farmaya Keh Mujhe Ek Baat Keh Lene Ki Mohlat De Du, Phir Farmaya Keh Aaye Allah Mere Hath Tere Rasteh Me Qata' Kar Diye Gaye, Ankhe'n Nikaal Li Gai'n Aur Sar Bhi Kaat Diya Jaye Ga. Laikin My Tera Shukur Guzar Ho'n Keh Tu Ne Mujh Ku Sabit Qadam Rakha Aur Tujh Se Ilteja Karta Ho'n Keh Unn Sab Logo'n Ku Bhi Wahi Daulat A'ta Farma Ju Mujhe A'ta Ki Hai. Phir Jis Waqt Sangsari Shuru Hovi Tu Aap رحمته الله عليه Ki Zuban Par Kalimat The Keh "Yakta Ki Dosti Bhi Yakta Karti Hai" Phir Aap رحمته الله عليه Ne Ek Ayat Tilawat Farmai Jis Ka Mafhoom Yeh Tha Keh " Unn Logo'n Ke Sath Ujlat Se Kaam Liya Jata Hai, Ju Uss Par Emaan Nahi Laye Aur Ahle Emaan Uss Se Darte Hain Aur Jante Hain Keh Woh Bila Shobah Haq Hai"🌹Phir Jis Waqt Hazrate Mansoor Hallaj رحمته الله عليه Ki Zuban-e-Mubarak Kaati Gai Tu Khalifah Ka Hukum Pahuncha Keh Sar Bhi Qalam Kar Diya Jaye. Chunanche Sar Qalam Hute Waqt Aap رحمته الله عليه Qehqeh Laga Kar Inteqal Farma Gaye إِنَّا لِلّهِ وَإِنَّـا إِلَيْهِ رَاجِعونَ Aur Aap رحمته الله عليه Ke Har Har A'zo Se Anaal Haq (اناالحق) Ki Awaz Aane Lagi. Phir Jab Har A'zo Ku Tukde Tukde Kar Diya Gaya Aur Sirf Gardan Wa Pusht Baqi Reh Gaye. Tu Inn Dono'n Hisso'n Se Bhi Anaal Haq Ka Vird Jari Tha. Jis Ki Wajah Se Aap رحمته الله عليه Ku Agle Din Iss Khauf Se Jala Diya Gaya Keh Kahi'n Mazeed Aur Koi Fitnah Khada Nah Hu Jaye Aur Akhar Kaar Jism Ki Raakh Ku Darya-e-Dajlah Me Dala Gaya. Laikin Jis Waqt Yeh A'mal Hova Tu Pani Me Ek Josh Sa Paida Hukar Sataah Aab Par Kuch Noqosh Se Banne Lage. Chunanche Aap رحمته الله عليه Ke Khadim Ku Woh Wasiyat Yad Thi Ju Aap رحمته الله عليه Ne Apni Zindagi Ne Farmai Thi. Jis Waqt Meri Raakh Ku Dajlah Me Phenka Jaye Ga Tu Pani Me Aysa Josh Wa Tufaan Paida Hu Ga Keh Pore Baghdad Garq Hu Jaye Ga. Laikin Jab Yeh Kaifiyat Hu Tu Meri Gudri Daljah Ku Jakar Dikha Dena. Chunanche Khadim Ne Jab Aap رحمته الله عليه Ki Wasiyat Par A'mal Kiya, Tu Pani Apni Jagah Tehar Gaya Aur Tamam Raakh Jama Hukar Sahil Par Aa Gai, Jis Ku Logo'n Ne Nikal Kar Dafan Kar Diya. Garz Keh Yeh Martabah Kisi Dusre Buzurg Ku Hasil Nahi Hova. Chunanche Ek Buzurg Ne Tamam Ahle Tareeqat Se Khitab Kar Ke Farmaya Keh Jab Mansoor رحمته الله عليه Ka Waqiyah Samne Aata Hai Keh Inn Se Kis Qisam Ka Bartao Kiya Gaya Tu Mujhe Behad Hairat Huti Hai Aur My Sochta Reh Jata Ho'n Keh Jin Logo'n Ne Inn Ke Sath Yeh Mua'mlah Kiya Unn Ka Hashar Me Kya Haal Hu Ga. Hazrate A'bbas Tusi رحمته الله عليه Kehte Hain Keh Roze Mehshar Mansoor رحمته الله عليه Ku Iss Liye Zanjeero'n Me Jakad Kar Pesh Kiya Jaye Ga Keh Kahi'n Maidan-e-Hashar Zerr Wa Zabar Nah Hu Jaye.
Kisi Buzurg Ne Mashaikeen Se Farmaya Keh Jis Shab Me Mansoor Ku Daar Par Chadhaya Gaya Tu My Subah Tak Sooli Ke Niche Mashgoole I'badat-e-Ilahi Raha Aur Jis Waqt Namodar Hova Tu Hatif Ne Awaz Di Keh "Hum Ne Apne Raazo'n Me Se Ek Raaz Ku Iss Ku Mutall'a Kar Diya Tha. Jis Ku Uss Ne Zahir Kar Ke Yeh Saza Pai. Kiunkeh Shahi Raaz Ku Afsha Karne Ka Yahi Anjam Huta Hai.
Hazrat Shibli رحمته الله عليه Se Manqool Hai Keh My Ne Ussi Raat Aap رحمته الله عليه Ke Mazar-e-Paak Par Pahunch Kar I'badat Karta Raha Aur Subah Ke Waqt Apni Munajat Me Allah Ta'ala Se A'rz Kiya Keh Ek Momin Bandah Tha. Phir Tu Ne Ayse A'rif Wa Muhib Ku Ju Wahdaniyat Parast Tha Ayse A'zab Me Kiun Mubtila Kiya? Hazrate Ja'far Shibli رحمته الله عليه Farmate Hain Keh Abhi Yeh Du'wa Puri Bhi Nah Hu Pai Thi Keh Mujhe Ongh Aa Gai Aur My Ne Dekha Keh Qayamat Qaim Hai Aur Allah Ta'ala Farma Raha Hai Keh Hum Ne Mansoor (رحمته الله عليه) Ke Sath Yeh Mua'mlah Iss Liye Kiya Keh Woh Hamare Raaz Ku Gairo'n Par Zahir Kar Deta Aur Ju Raaz Uss Ku Darya-e-Dajlah Par Zahir Karna Chahiye Tha Uss Ku Dusre Logo'n Par Barmala Zahir Kar Deta Tha. Phir Hazrate Shibli رحمته الله عليه Ne Dusri Baar Aap رحمته الله عليه Ku Khuwab Me Dekh Kar Pucha Keh Khuda-e-Ta'ala Ne Aap رحمته الله عليه Ke Sath Kaisa Mua'mlah Kiya? Farmaya Keh Apni Nawazish Se Mujhe Qasre Sidq Me Utara. Phir Hazrate Shibli رحمته الله عليه Ne Pucha Keh Unn Du Geroho'n Ke Sath Kya Bartao Kiya Gaya Ju Apku Achcha Aur Bora Kehte The? Farmaya Keh Dono'n Geroho'n Par Apni Rahmat Nazil Farmai, Ek Par Tu Iss Liye Keh Uss Ne Mujh Se Waqif Hukar Mujh Par Meharbaniya'n Ki'n Aur Dusre Geroh Par Iss Liye Keh Woh Mujh Se Waqif Hi Nahi The Aur Sirf Khuda Ke Waste Mujh Se Dushmani Rakhta Tha. Phir Kisi Aur Ne Khuwab Me Aap رحمته الله عليه Ku Dekha Keh Aap رحمته الله عليه Maidan-e-Hashr Me Khade Ek Hath Me Jaam Liye Hove Hain Aur Sar Jism Se Gaib Hai Aur Jab Uss Ne Wajah Puchi Tu Farmaya Keh Allah Ta'ala Sar Qalam Shodah Logo'n Ku Hi Jaam I'nayat Farmata Hai. Hazrat Shibli رحمته الله عليه Kehte Hain Keh Jis Waqt Mansoor (رحمته الله عليه) Ku Sooli Par Chadhaya Gaya Tu Shaitan Ne Samne Akar Kaha Keh Aye Sheak! Aap رحمته الله عليه Ne Anaal Haq Kaha Aur My Ne Anaal Khair, Laikin Aap رحمته الله عليه Ke Upar Rahmat Hovi Aur Mere Upar La'nat. Akhar Uss Ki Kya Wajah Hai? Aap رحمته الله عليه Ne Farmaya Keh Tu Ne Anaa Apne Liye Istemal Kiya Aur My Ne Khudi Ku Durr Kar Ke Anaal Haq Kaha........... Ussi Wajah Se Mujh Par Rahmat Aur Tujh Par La'nat Nazil Hovi. Iss Liye Yeh Andazah Kiya Ja Sakta Hai Keh Khudi Ku Apne Se A'layhdah Kar Dena Hi Behtar Baat Hai.
❤🔥ZIYARAT GAAH :
═••••┅═❁♦♥♦❁═┅••••═
Hazrat Hussain Bin Mansoor Hallaj رحمته الله عليه Ke Mazkorah Waqiyah Shahadat Se Ma'loom Huta Hai Keh Inn Ke Jasad-e-Mubarak Ki Raakh Ku Darya-e-Dajlah Me Dal Diya Gaya Tha. Magar Darya-e-Dajlah Iss Tarah Jazb Wa Josh Me Aaya Keh Sara Shahar Doob Jata Magar Apki Kamli Ki Barkat Se Woh Pani Rok Gaya Aur Raakh Kinare Par Jama Hu Gai Aur Uss Raakh Ku Aap رحمته الله عليه Ke Murideen Lekar Baghdad Shareef Ke Maujoodah Railway Station Aur Airport Ke Qareeb Wa Jawar Me Ek Wasee' Wa A'reez Hazirah Hai. Jis Me Lakho'n Gaus, Qutub Abdaal Aur Autaad Madfoon Hain, Jaha'n Hazrate Juned Baghdadi قدسِ سّرةالعزیز, Hazrat Ma'roof Karkhi قدسِ سّرةالعزیز, Hazrate Sirri Saqati قدسِ سّرةالعزیز, Hazrate Behlool Danaa قدسِ سّرةالعزیز Aur Mashoor Wa Ma'roof A'bbasi Malikah Zubaidah رحمته الله عليها Ke Maqabir Wa Mazaraat Waqa Hain. Hazrat Mansoor Hallaj رحمته الله عليه Ke Jism-e-Mubarak Ki Raakh Ku Iss Hazire Me Lakar Dafan Kar Diya Aur Tab Se Apke Mu'taqideen Waha'n Jakar Faizyab Hute Hain.
❤🔥AHLIYAH AUR AULAD :
═••••┅═❁♦♥♦❁═┅••••═
🌹1) Hazratah Bibi Zainab رحمته الله عليها.
D/o: Hazrat Yaqoob Aqta رحمته الله عليه.
1) Hazrat Salman رحمته الله عليه.
2) Hazrat Ahmad رحمته الله عليه.
3) Hazrat Hasan رحمته الله عليه.
1) Ek Beti Bhi Thi'n Jin Ka Naam Nahi Milta?
❤🔥KHALIFAH :
═••••┅═❁♦♥♦❁═┅••••═
1) Hazrat Sheak Abul A'bbas A'ta رحمته الله عليه.
✍🏻 *Written By: Bandah Haqeer Mustaqeem Mehdavi*
لا الہ الا اللہ محمد رسول اللہؐ
اللہ الھنا محمد نبیّٗنا
القرآن و المہدیؑ امامنا آمنا و صدقنا
✉️ *Post By: Raah-e-Haq Mehdaviyat* ✒️