Monday, July 31, 2023

Hazrat Abu Bakkar Mohammad Wasiti Marvzi rh

 Hazrat Abu Bakkar Mohammad Wasiti Marvzi قدسِ سّرةالعزیز


🇹🇲Salana U'rs-e-Mubarak 1137th🇹🇲


#URS_E_MUBARAK :

 Tuesday / 13 Moharram 1445 A.H / 1 August 2023 C.E

▭▬▭▬▭▬▭▬▭▬▭▬▭▬▭▬▭


🇹🇲HALAAT WA MANAQIB :

❁══════════════════❁

Ta'ruf :

----------------------------------

  Minjumla-e-Aymma Tareeqat, Apne Haq Ke Imam A'ali Haal, Lateef Kalam, Hazrat Abu Bakkar Mohammad Wasiti Marvzi رحمته الله عليه Ju Muhaqiqeen-e-Mashaikh Se The. Apne Daur Ke Tamam Mashaikeen Me Tauheed Wa Tajreed Ke I'tebar Se Sab Par Sabaqqat Liye Hove The. Haqaiq Wa Mu'arif Me Dusra Koi Aap رحمته الله عليه Ka Humsar Nah Tha. Qabz Wa Bast Ki Roo Se Aap رحمته الله عليه Qutub-e-A'lam Aur Wahdaniyat Wa Vilayat Ke Masnad Nashee'n The. Iss Ke A'lawah Hazrat Juned Baghdadi قدسِ سّرةالعزیز Ke Mu'taqideen Ki Peshwai Ka Fakr Bhi Aap رحمته الله عليه Ku Hasil Tha. Aap رحمته الله عليه Ka Asli Watan Farganah Tha Laikin Shahre Wasit (Iraq) Me Qayam Pazeer Hu Gaye Aur Apni Kasar Nafsi Ki Wajah Se Waha'n Ke A'wam Me Bahut Maqbool Hove Aur Jis Qadar Mujahidaat Aur Rayazate'n Aap رحمته الله عليه Ne Ki Hain Aur Ju Mukammal Tawajjah Bari Ta'ala Ki Umoor Me Aap رحمته الله عليه Ku Hasil Thi. Woh Kisi Ku Mayassar Nah Aa Saki Issi Wajah Se Tauheed Ke Bare Me Aap رحمته الله عليه Ke Irshadat Aap رحمته الله عليه Hi Ki Zaat Tak Maksoos Rahe. Iss Ke A'lawah Aap رحمته الله عليه Ka Kalam Daqeeq Hone Ki Wajah Se Aam Feham Nah Tha. Aap رحمته الله عليه Ne Kisi Shaher Me Mustaqil Iqamat Iktiyar Nah Ki Jab Aap رحمته الله عليه Shahar Marv (Turkmenistan 🇹🇲) Tashreef Laye Tu Waha'n Ke Loog Apki Latafat Tiba Aur Nek Seerati Ke Garvidah Hu Gaye Aur Aap رحمته الله عليه Ka Wa'iz Gaur Se Sona Karte The. U'mr Ke Akhri Ayyam Wahi'n Guzare. Aap رحمته الله عليه Ki Viladat Farganah Me Hovi Aur Valid Ka Naam Musa Tha.


🇹🇲WAQIYAT :

❁══════════════════❁


☘️1) Hazrat Abu Bakkar Wasiti رحمته الله عليه Ku 70 Shahro'n Se Shahar Badar Kiya Gaya Aur Jis Shahar Me Dakhil Hute Bahut Jald Waha'n Se Nikaal Diye Jate The. Laikin Shahar Baverd (Iran 🇮🇷) Me Aap رحمته الله عليه Qaleel A'rsah Muqeem Reh Sake Aur Waha'n Ke Bashindo'n Ku Aap رحمته الله عليه Se Kuch I'teqad Bhi Qaim Hu Gaya. Magar Aap رحمته الله عليه Ke Irshadat Ju Feham Se Balatar Hute The. Unn Ku Tarah Tarah Ke Ma'ani Pehnaye Gaye. Jis Ki Wajah Se Aap رحمته الله عليه Ku Woh Jagah Bhi Cho'ddni Padi Aur Akhar Me Aap رحمته الله عليه Marv (Turkmenistan 🇹🇲) Me Muqeem Hu Gaye Aur Ta Hayat Wahi'n Muqeem Rahe. Waha'n Ke Logo'n Ne Aap رحمته الله عليه Ke Irshadat Ku Samajh Kar Bahut Faiz Hasil Kiya. 


☘️2) Aap رحمته الله عليه Ne Apne Muta'qideen Se Farmaya Keh My Ne Sane Balogh Ku Pahunche Kar Nah Din Me Khana Khaya Aur Nah Raat Me Kabhi Aram Kiya. Phir Farmaye Keh Ek Din My Kisi Kaam Se Bagiche Me Pahuncha Tu Ek Chote Se Parinde Ne Mere Sar Par Udna Shuru Kiya Aur My Ne Uss Ku Pakad Kar Jab Apne Hath Me Daba Liya Tu Ek Aur Chota Sa Parindah Aaya Aur Mere Sar Par Cheekh Ne Laga. Uss Waqt Mujhe Yeh Khayal Aaya Keh Mere Hath Me Ju Parindah Hai Woh Ya Tu Iss Aane Wale Parinde Ka Bachcha Hai Ya Iss Ki Madah Hai. Chunanche My Ne Az Raah Tar Hum Uss Parinde Ku Cho'dd Diya. Laikin Uss Ke Ba'd Su Ju My Bimar Hova Tu Musalsal Ek Saal Tak Bimar Pada Raha. Phir Ek Raat My Ne Khuwab Me Huzoor-e-Akram ﷺ Ki Ziyarat Se Musharraf Hukar A'rz Kiya Keh Apni Bimari Wa Lagari Ki Wajah Se Ek Saal Baith Kar Namaz Ada Karta Ho'n, Lihaza Aap ﷺ Mere Liye Du'wa Farma De'n. Laikin Huzoor-e-Akram ﷺ Ne Farmaya Keh Yeh Halat Uss Parinde Ki Shikayat Ki Wajah Se Hovi Hai. Ju Uss Ne Huzoor Me Ki Hai. Iss Liye Mujh Se Kisi Qisam Ki Ma'zarat Be Natijah Hai. Phir Ek Din Issi Bimari Ke Dauran Jab My Takiyah Ke Sahare Baitha Hova Tha Tu Ek Bahut Bada Saanp 🐍 Billi Ke Bachche Ku Moo Me Dabaye Hove Namodar Hova Aur My Ne Uss Ku Danda Mara Ke Woh Bachcha Uss Ke Moo Se Nikal Gaya Aur Billi Akar Uss Ku Apne Sath Le Gai. Jis Ke Jate Hi My Fauran Sehatyab Hu Gaya Aur Khade Hukar Namaz Ada Karne Laga. Phir Ussi Shab Huzoor-e-Akram ﷺ Ku Khuwab Me Dekh Kar A'rz Kiya Keh My Aaj Bilkul Tandurust Hu Gaya Ho'n. Tu Aap ﷺ Ne Farmaya Keh Ek Billi Ne Huzoor Me Tera Shukriya Ada Kiya Hai. 


☘️3) Ek Din Aap رحمته الله عليه Apne Mu'taqideen Ke Humrah Apne Makan Me Tashreef Farma The Keh Makan Ki Sorak Me Se Dhop Ki Ek Kiran Andar Aa Gai. Jis Me Lakho'n Zarrat Thar Tharate Hove Mehsoos Hu Rahe The. Aap رحمته الله عليه Ne Logo'n Se Pucha Keh Tumhe'n Inn Zarrat Ki Thar Tharahat Se Koi Pareshani Tu Nahi Huti? Logo'n Ne Kaha Keh Nahi. Aap رحمته الله عليه Ne Farmaya Keh Mowahhad Ki Shan Hi Yahi Hai Keh Issi Tarah Iss Ku Dono'n A'lam Bhi Larza'n Nazar Aane Lagi'n Tu Iss Ke Qalb Par Khauf Wa Hiras Nah Hu. Phir Farmaya Keh Khuda Ku Yad Karne Walo'n Ku Ziyadah Gaflat Huti Hai Bah Nisbat Unn Ke Ju Khuda Ku Yaad Nahi Karte. Laikin Ahle Haq Ka Zikar Haq Ki Kami Se Rogardani Karna, Haq Ku Faramosh Karne Walo'n Se Ziyadah Gaflat Ka Ba'is Hai Kiunkeh Unn Ku Yeh Ehsaas Hi Baqi Nahi Rehta Keh Woh Haq Ke Huzoor Me Hazir Hain. Laikin Zikr-e-Haq Karne Walo'n Ku Be Huzoori Ke A'lam Me Yeh Tasawwur Kar Lena Keh Woh Zikr-e-Haq Me Hazir Nahi Ziyadah Gaflat Ka Natijah Hai. Issi Liye Taliban-e-Haqeeqat Keh Hilakat Unn Ke Batil Tasawwurat Me Muzmar Huti Hai Aur Jab Inn Tasawwurat Me Izafah Hu Jata Hai. Tu Deeni Kaam Ghat Jata Hai Aur Dunyavi Kaam Badh Jata Hai. Kiunkeh Tasawwurat Ki Haqeeqat Himmat-e-A'ql Par Mabni Hai Aur A'ql Ka Husool Himmat Hi Se Wabastah Hai Aur Bandah Khuwa Hazir Hu Ya Gair Hazir Laikin Zikar Ki Haqeeqat Yeh Hai Keh Jab Gair Hazar Apne Wajood Se Gair Hazir Hova Aur Haq Ke Sath Hazir Rahe Tu Goya Woh Zikar Me Nahi Balkeh Mushahide Ke A'lam Me Hai Aur Ju Apne Wajood Se Hazir Rehkar Haq Se Gair Hova Tu Zakir Hone Ke Bawajood Bhi Uss Ke Zikar Ki Koi Asliyat Nahi Huti Aur Ussi Ku Gaflat Se Ta'beer Kiya Jata Hai. 


☘️4) Ek Din Shifa Khanah Me Aap رحمته الله عليه Ne Kisi Deewane Ku Iss A'lam Me Dekha Keh Woh Shor Wa Gogaa Kar Raha Hai. Tu Aap رحمته الله عليه Ne Farmaya Keh Itni Wazni Bediyo'n Ke Bawajood Bhi Tum Shor Macah Rahe Hu Aur Khamoshi Iktiyar Nahi Karte. Uss Ne Jawab Diya Keh Bediya'n Tu Mere Pao'n Me Padi Hovi Hain Nah Keh Mere Qalb Me. 

 (Allahu Akbar Bahut Hi Gaor Ki Baat Hai)


☘️5) Ek Din Yahudiyo'n Ke Qabrestan Me Se Guzarte Hove. Aap رحمته الله عليه Ki Zuban-e-Mubarak Se Nikal Gaya Keh Yeh Qaum Tu Gaur Mukallaf Aur Ma'zoor Hai, Logo'n Yeh Jumlah Sunkar Aap رحمته الله عليه Ku Pakad Kar Qazi Ke Paas Le Gaye Aur Jab Qazi Aap رحمته الله عليه Ku Bora Bhala Kaha Tu Farmaye Keh Jab Khuda Hi Ka Yeh Hukum Hai Keh Yeh Gair Mukallaf Aur Ma'zoor Hai Tu Yaqeenan Gair Mukallaf Hain. 


☘️6) Aap رحمته الله عليه Ka Ek Mu'taqid Jaldi Jaldi Gusul Kar Ke Juma Ki Namaz Keliye Masjid Ki Taraf Rawanah Hova Tu Rasteh Me Iss Bori Tarah Gira Gaya Keh Tamam Chehrah Chhil Gaya. Jis Ki Wajah Se Wapas Akar Uss Ne Dubarah Gusul Kiya. Aap رحمته الله عليه Ne Farmaya Keh Uss Aziyyat Se Tujh Ku Iss Liye Khush Hona Chahiye Keh Tujhe Yeh Takleef Mohiz Iss Liye Pahunchai Gai Hai Keh Woh Tujh Se Khush Rahe Aur Agar Woh Tere Sath Aysa Sulook Nah Kare Tu Tujhe Samajh Lena Chahiye Keh Uss Ki Teri Janib Tawajjah Nahi Hai. 


☘️7) Ek Martabah Aap رحمته الله عليه Nishapur Pahunch Kar Hazrate Abu U'sman Maghribi (Lagvi Mehdi) قدسِ سّرةالعزیز Ke Murideen Se Pucha Keh Tumhare Murshid Ne Tumhe'n Kya Ta'leem Di Hai. Inho'n Ne A'rz Kiya Hameshah Bagawat Karne Aur Gunah Par Nazar Rakhne Ki Ta'leem Di Hai. Aap رحمته الله عليه Ne Farmaya Keh Yeh Tu Sarasar Takabbur Hai Kiunkeh Yeh Ta'leem Takhleeq Karne Wale Ke Mushahide Aur Uss Ki Ma'rifat Ki Ragbat Paida Nahi Karti. 


☘️8) Ek Martabah Hazrat Abu Sa'eed Abul Khairr قدسِ سّرةالعزیز Ne Aap رحمته الله عليه Ki Ziyarat Keliye Marv (Turkmenistan 🇹🇲) Jane Ka Qasad Kiya Tu Murideen Se Farmaya Keh Istenje Ke Dhele Sath Rakh Lena Aur Jab Khuddam Ne Pucha Keh Kya Waha'n Dhele Nahi Milte Ya Koi Aur Raaz Hai? Farmaye Keh Woh Sheak Abu Bakkar (رحمته الله عليه) Ki Qayam Gah Hai Ju Apne Iss Daur Ke Aysa Mowahhadeen Me Se Hai Jin Ki Wajah Se Marv Ki Khaak Zindah Hai Aur Zindah Khaak Ku Istenje Se Na Paak Nahi Kiya Ja Sakta.


🇹🇲AQWAAL :

❁══════════════════❁


Aap رحمته الله عليه Ke Beshomar Aqwaal Hai I'brat Taweel Nah Hu Zail Me Chan'd Pesh Kiye Jate Hai.


🗣️1) Raah-e-Haq Me Maklooq Ka Koi Wajood Nahi Aur Nah Haq Ki Raah Me Haq Hai, Ya'ni Hamah Oost Ke Siwa Kuch Nahi.


🗣️2) Jis Ne Apni Janib Moo Kar Ke Deen Ki Taraf Pusht Karli Ya Jis Ne Iss Ke Bar A'ks Kiya Tu Uss Ku Khud Namuradi Me Mubtila Kar Liya. 


🗣️3) Hum Bazahir Azal Wa Abad Se Aaye Hove Hain Aur Iss Me Shak Nahi Keh Azal Wa Abad Robobiyat Ki Nishani Hai.


🗣️4) Afzal Tareen I'badat Apne Auqaat Se Gaiib Rehna Hai.


🗣️5) Jis Ne Wahdaniyat Ku Samjah Liya Woh Maqsood Tak Pahunch Gaya.


🗣️6) Iklaas Wa Safa Aur Sidq Wa Haya Ki Nigrani Se Azal Wa Abad Ki Nigrani Ziyadah Afzal Hai.


🗣️7) Farmaya Keh Khuwah Gunah Sageerah Ho'n Ya Kabeerah, Dono'n I'nayat Wa Ri'ayat Ki Beak Kani Kar Dete Hain.


🗣️8) Jis Ka Maqsood Wahdaniyat Se Hit Kar Hu Woh Khasare Me Rehta Hai.


🗣️9) Har Maujood Keliye Sab Se Bada Hijab Uss Ka Wajood Hai.


🗣️10) Jab Quloob Par Robobiyat Ki Tajalliyat Padti Hain Tu Tamam Asbab-e-Dunyavi Ku Tabah Kar Deti Hain.


🇹🇲WAFAT :

❁══════════════════❁


  Inteqal Ke Jab Logo'n Ne Aap رحمته الله عليه Se Wasiyat Ki Khuwahish Ki Tu Farmaya Keh Khuda Ki Iradat Ku Nigah Me Rakho Aur Apne Auqaat Wa Infaas Ki Nigehdast Karo Uss Ke Ba'd Aap رحمته الله عليه Ka Inteqal Hu Gaya. 


D.O.D :

 Saturday / 13 Moharram 308 A.H / 3 June 920 A.D


Holy Grave :

 (There is no grave marker), Marv, Turkmenistan 🇹🇲.

▭▬▭▬▭▬▭▬▭▬▭▬▭▬▭▬▭


✍🏻 *Written By: Bandah Haqeer Mustaqeem Mehdavi*


لا الہ    الا اللہ    محمد   رسول      اللہؐ


اللہ           الھنا           محمد        نبیّٗنا 


القرآن  و  المہدیؑ  امامنا  آمنا و صدقنا


✉️ *Post By: Raah-e-Haq Mehdaviyat* ✒️


Sunday, July 30, 2023

Hazrat Khajah Abu Mohammad Sahl Bin Abdullah Al-Tustari

 Hazrat Khajah Abu Mohammad Sahl Bin A'bdullah Tustari قدسِ سّرةالعزیز


🥎Salana U'rs-e-Mubarak 1162th🥎


#URS_E_MUBARAK :

 Monday / 12 Moharram 1445 A.H / 31 July 2023 C.E

▭▬▭▬▭▬▭▬▭▬▭▬▭▬▭▬▭


🥎TA'RUF :

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•


  Aap رحمته الله عليه Ka Muqam Sufiya-e-Ikram Me Bahut Buland Hai Aur Agar Aap رحمته الله عليه Ku Muqtada-e-Sufiya Kaha Jaye Tu Be Janah Hu Ga. Iss Ke A'lawah Ghawwase Darya-e-Haqeet, Mustagraq Dar Mushahidah Peshwa-e-Auliya Khajah Sahl Bin A'bdullah Tustari قدسِ سّرةالعزیز Tabqa-e-Sani Se The. Aap رحمته الله عليه Ki Viladat 203 A.H Me Hovi Aur Kuniyat Abu Mohammad Hai. Aap Iss Mazhab Me Mujtahid The. Aap رحمته الله عليه U'lma-e-Mashaikh Imam-e-A'hd The. Aap رحمته الله عليه Hameshah Faqah Kashi Ke A'lam Me Shab Bedari Karte Rahe Aur Yeh Tamam Cheeze'n A'hde Tifliyat Hi Se Apke Hisse Me Aai Thi'n. Hattah Keh Aap رحمته الله عليه Ka Yeh Qaul Hai Keh Jis Waqt Allah Ta'ala Ne Farmaya Keh أَلَسْتُ بِرَبِّكُمْ ۖ  (Ya'ni Kya My Tumhara Rab Nahi Ho'n,) Tu Mujhe Apna Jawab بَلَىٰ Ab Bhi Yad Hai (Ya'ne Beshak Aap Rab Hain). Aap رحمته الله عليه Rayazat Wa Karamat Aur Haqaiq Me Mu'tabar The. Aap رحمته الله عليه Hazrat Khajah Zunnoon Misri قدسِ سّرةالعزیز Ke Mureed Hain. Shuru Me Aap رحمته الله عليه Ne Apne Mamu Hazrat Khajah Mohammad Hawari Bin Samaar قدسِ سّرةالعزیز Se Bhi Tarbiyat Hasil Ki.


🥎WAQIYAT :

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•


🌿1) Aap Ne 3 Saal Ki U'mr-e-Shareef Se Hi Apne Mamu Ke Humrah Mashgool-e-I'badat Me Rehte The. Ek Din My Ne Apne Mamu Se Kaha Keh My Ne Apne Aap رحمته الله عليه Ku A'rsh Ke Samne Sar Ba Sujood Dekhta Ho'n. Mamu Ne Pucha Kab Tak My Ne Kaha Ab Tak. Unho'n Ne Kaha Beta Yeh Baat Kisi Se Nah Kehna Aur Kaha Keh Khuda Ku Yaad Rakho Jis Ne Tujh Ku Paida Kiya Hai. My Ne Kaha Kis Tarah Yad Karo'n. Farmaya Dil Me Yad Karo Aur Soote Waqt 3 Dafa'h Pehlo Badalte Waqt Yeh Du'wa Padh Liya Karo اَللّٰهُ مَعيِ اللّٰهُ نَاظِرِي اَللّٰهُ شَاھِدِي (Allah Mere Sath Hai, Allah Dekh Raha Hai Aur Allah Shahid Hai) Pas My Ne Yeh Wird Shuru Kar Diya. Inho'n Ne Phir Kaha 7 Dafa'h Padh Liya Karo. Iss Ke Kuch A'rsah Ba'd Farmaya Keh 11 Martabah Padh Liya Karo. Iss Se Mere Qalb Me Halawat Paida Hu Gai. Ek Saal Ke Ba'd Mere Mamu Ne Farmaya Ju Kuch My Ne Bataya Ba Qaidagi Se Padhte Raho Aur Hameshah Uss Par Paband Raho. Hattah Keh Qabar Me Dakhil Hu Jao. Dunya Wa Akhirat Me Tumhe'n Iss Ka Phal Mile Ga. Uss Ke Ba'd Unho'n Ne Mujhe Madrse Me Dakhil Kar Diya. Laikin Mujhe Darr Tha Keh Mera Dil Paragandah Nah Hu Jaye. Iss Liye My Ne Ustaad Se Yeh Shart Bandhi Keh Ek Sa'at Aap Se Padh Kar Apne Asli Kaam Ki Taraf Mutawajjah Hu Jaya Karon Ga. Pas My Ne Quran-e-Majeed Khatam Kiya Aur 7 Saal Ki U'mr-e-Shareef Me Rozah Rakhna Shuru Kiya Aur Jao Ki Roti Se Rozah Iftar Karta Tha. 


🌿2) 12 Saal Ki U'mr Me Jab Mujhe Ek Maslah Me Ishkaal Pesh Aaya Tu My Hazrat Khajah Abu Hamzah Habeeb قدسِ سّرةالعزیز Ki Khidmat Me Gaya Ju Apne Waqt Ke Bahut Bade A'bid Wa Zahid Aur Basra Me Rehte The Ke Paas Pahuncha. Chunanche Unho'n Ne Mera Ishkaal Durr Farma Diya Aur Kuch Din My Unn Ki Khidmat Se Faiziyab Hukar Wapas Tustar Laut Aaya Aur Ma'mool Bana Liya Keh Din Me Rozah Rakhta Aur Raat 4½ Tolah Chandi Ke Wazan Ke Barabar Jao Ki 2 Rotiya'n Kha Leta. Phir Kuch A'rsah Ke Ba'd 3 Shabanah Roz Ka Rozah Shuru Kiya. Phir 7 Phir 25 Din Ke Roze Ku Apna Ma'mool Bana Liya. Laikin Ba'z Riwayat Me Yeh Bhi Hai Keh Aap رحمته الله عليه Ne 70 Shabanah Roz Ke Ba'd Rozah Iftar Kiya Aur Kabhi 40 Shabanah Roz Ke Ba'd Sirf Ek Badam Kha Liya. Aap رحمته الله عليه Farmate Hain Keh My Ne Faqah Kashi Ussi Ke Bar A'ks Mehsoos Hone Laga. Iss Ke A'lawah Shaban Ke Roze Ki Fazilat Ki Wajah Se Aap رحمته الله عليه Maah-e-Shaban Me Kasrat Se Roze Rakhte The Aur Pore Ramzan Me Sirf Ek Martabah Kha Pee Lete The. Baqiyah Ayyam Qayam Wa I'badat Hi Me Guzaar Dete Aur Jis Waqt Ahle Tustar Ne Aap رحمته الله عليه Ke Upar Kufr Ka Fatwa A'yid Kiya Tu Aap رحمته الله عليه Ne Tamam Asasah Sadqah Kar Ke Iss A'hd Ke Sath Macca Mua'zzamah Ka Rokh Kiya Keh Ab Kabhi Kisi Se Kuch Nah Mango'n Ga Aur Jab Musalsal Faqah Kashi Karte Hove Kufah Pahunche Tu Nafs Ne Taqazah Kiya Keh Agar Aap (رحمته الله عليه) Mujhe Machli🐟 Aur Roti🫓 Khila De'n Tu My Macca Mua'zzamah Tak Kuch Nahi Mango'n Ga. Chunanche Aap رحمته الله عليه Ne Ek Jagah Dekha Keh Ek Oont🐪 Chakki Se Bandha Hova Chakki Chala Raha Hai. Aap رحمته الله عليه Ne Chakki Ke Malik Se Pucha Keh Din Bhar Ki Mehnat Ke Ba'd Tum Oont Wale Ku Kya Dete Hu. Uss Ne Kaha Keh 2 Deenar, Aap رحمته الله عليه Ne Farmaya Keh Iss Ku Khol Kar Mujhe Bandh Du Aur Din Bhar Ke Ba'd Bajai 2 Ke Ek Deenar De Dena Aur Jab Sham Ku Ek Deenar Mil Gaya. Tu Aap رحمته الله عليه Ne Machli Roti Kha Kar Nafs Se Kaha Keh Jis Waqt Bhi Tu Mujh Se Bhook Ki Shikayat Kare Ga Tu Iss Tarah Mehnat Karna Pade Gi. Phir Macca Mua'zzamah Pahunch Kar Hajj-e-Baitullah Kiya Aur Hazrat Khajah Zunnoon Misri قدسِ سّرةالعزیز Se Bay'yat Hukar Tustar Wapas Aa Gaye.


🌿3) Hazrat Sahl رحمته الله عليه Nah Tu Kabhi Deewar Se Tek Lagte Aur Nah Pair Phaila Kar Baithte Aur Nah Kabhi Kisi Ke Sawal Ka Jawab Dete The. Ek Martabah Musalsal 4 Maah Tak Aap رحمته الله عليه Ke Pair Ki Ungliyo'n Me Shadeed Dard Raha Aur Aap رحمته الله عليه Ne Ungliyo'n Ku Bandh Rakha Aur Jab Kisi Ne Wajah Puchi Tu Aap رحمته الله عليه Ne Koi Jawab Nahi Diya. Phir Jab Uss Shaks Ne Misr 🇪🇬 Pahunch Kar Hazrate Zunnoon رحمته الله عليه Se Mulaqat Ki Tu Unn Ke Pao'n Ki Ungliya'n Bhi Bandhi Hovi Thi'n Aur Aap رحمته الله عليه Ne Farmaya Keh 4 Maah Se Dard Me Mubtila Ho'n Phir Jab Uss Shaks Ne Aap رحمته الله عليه Se Hazrate Sahl رحمته الله عليه Ka Waqiyah Bayan Kiya Tu Farmaya Keh Iss Me Koi Shak Nahi Keh Siway Sahl (رحمته الله عليه) Ke Mere Dard Se Bakhabar Hukar Koi Iss Tarah Pairwi Kare.


🌿4) PEER WA MURSHID KA ADAB KUSOO'N DURR SE :

  Itwar Ka Din Tha Aur 26 Shaban 205 A.H Thi Iss Din Hazrate Sahl رحمته الله عليه Achanak Deewar Se Pusht Laga Kar Pao'n Phailate Hove. Logo'n Se Farmaya Keh Aaj Ju Kuch Puchna Hai Mujh Se Pucho Aur Jab Logo'n Ne A'rz Kiya Keh Aaj Yeh Kya A'jeeb Majra Hai Tu Farmaya Keh Jab Mere Murshid Iss Dunya Me Hayat The Unn Ka Adab Lazimi Tha. Yeh Sunkar Logo'n Ne Tareekh Note Karli Aur Ma'loomat Ke Ba'd Pata Chala Keh Ussi Waqt Ussi Din Hazrate Khajah Zunnoon Misri قدسِ سّرةالعزیز Ka Iss Dunya Se Inteqal Hova Tha.


🌿5) Aap رحمته الله عليه Farmaya Karte The Keh Mujhe Ek Ayse Khuda Raseedah Se Sharfe Niyaz Hasil Hova Hai Ju Shab Wa Roz Darya Ke Andar Muqeem Rehte Hain Aur Sirf 5 Waqt Ki Namaz Keliye Bahar Aate Hain. Laikin Unn Ke Upar Pani Ka Kuch Bhi Asar Nahi Huta Tha. Phir Farmaya Keh My Ne Ek Martabah Khuwab Dekha Keh Qayamat Qaim Hai Aur Ek Parindah Pakad Pakad Kar Logo'n Ku Bihisht Me Le Jata Hai Aur Jab Mujhe Hairat Hovi Tu Nida Aai Keh Yeh Parindah Dunyavi Taqwa Hai Aur Aaj Ahle Taqwa Iss Ke Tufail Me Dakhil-e-Janant Hu Rahe Hain. 


🌿6) Farmaya Keh My Ne Khuwab Me Dekha Keh Bihisht Me Ho'n Aur Waha'n 3 Buzurgo'n Se Mulaqat Kar Ke Yeh Sawal Kar Raha Ho'n Keh Dunya Me Sab Se Ziyadah Draoni Cheez Apku Kya Pesh Aai? Unho'n Ne Jawab Diya Keh Khatime Ka Darr Sab Se Ziyadah Tha. Phir Farmaya Keh My Ne Khuwab Me Iblees Se Kaha Keh Tere Nazdeek Sab Se Ziyadah Pareshan Kun Konsi Cheez Hai? Uss Ne Kaha Keh Bande Ka Khuda Ke Humrah Raz Wa Niyaz........ Ek Martabah My Ne Iblees Se Pakad Kar Pucha Keh Jab Tak Tu Khuda-e-Ta'ala Ki Wahdaniyat Ke Muta'luq Nahi Bataye Ga My Nahi Cho'ddun Ga. Chunanche Uss Ne Iss Qadar Tashreeh Ke Sath Mu'arif-e-Wahdaniyat Bayan Kiye Keh Iss Andaz Me Koi A'rif Bhi Bayan Nahi Kar Sakta.


🌿7) Hazrat Sheak Sa'adi رحمته الله عليه Ne Apni Mashoor Wa Mu'aruf Nasr Majlise Panj Ganah Me Riwayat Bayan Ki Hai Keh Hazrate Shal رحمته الله عليه Tababat Ka Peshah Karte The. Jab Inho'n Ne Faqr Iktiyar Kiya Tu Ek A'rsah Tak Rayazaat Wa Mujahidaat Me Mashgool Rahe Yaha'n Tak Keh Inn Ku Kasrat Se Roya-e-Saalih Hone Lage Aur Ek Do Martabah Kisi Mua'mlah Me Kashf Bhi Hova. Hazrat Sahl (رحمته الله عليه) Ke Dil Me Yeh Khayal Guzra Keh Woh Martaba-e-Vilayat Par Fa-iz Hu Gaye Hain. Inn Ka Yeh Khayal Takabbur Ki Had Tak Pahunch Gaya. Allah Ta'ala Ku Apne Khaas Bando'n Ka Gomrah Hona Pasand Nahi Hai. Chunanche Hazrat Sahl (رحمته الله عليه) Ke Dil Se Vilayat Ka Za'am Durr Karne Keliye Unn Ku Ilham Kiya Gaya Keh Tum Khurasan Jao. Waha'n Ke Ek Raees Ki Beti Junoon Me Mubtila Hai Iss Ka I'laaj Karo. Hazrat Sahl رحمته الله عليه Yeh Ilham Hute Hi Khurasan Ki Taraf Chal Pade. Khurasan Pahunch Kar Inho'n Ne Raees Ka Pata Dariyafat Kiya Tu Unho'n Ne Ek A'ali Shaan Mehal Ki Taraf Isharah Kiya. Hazrate Sahl رحمته الله عليه Mehal Ki Taraf Gaye Tu Dekha Keh Wasee Wa A'reez Qasr Hai. Jis Ke Samne Ek Dil Kosh Bagh Hai Aur Iss Me Kuch Admi Golgisht Me Masroof Hain. Hazrat Sahl رحمته الله عليه Ne Unn Se Kaha My Tabeeb Ho'n Aur Iss Raees Ki Deewani Beti Ka I'laaj Karna Chahta Ho'n. Agar Tum Iss Raees Se Mera Ta'ruf Karwa Du Tu Tumhara Ehsaan Hu Ga. Inn Me Se Ek Shaks Ne Gaor Se Hazrat Sahl رحمته الله عليه Ki Taraf Dekha Aur Kaha Aye Miya'n Ma'loom Huta Hai Tumhara Dimag Chal Gaya Hai. Akhar Khud Da'wat Dene Me Kya Tog Hai. Zara Iss Qasr Ki Deewar Ke Andar Jhank Kar Tu Dekho. Hazrat Sahl رحمته الله عليه Ne Iss Deewar Ki Parli Taraf Nazar Dali Tu Tabeebo'n Ku Kaate Hove Sar Nazar Aaye. Wapas Akar Unn Logo'n Se Pucha Keh Yeh Kya Mua'mlah Hai. Inho'n Ne Kaha Keh Tujh Se Pehle Kai Tabeeb Aaye. Jinho'n Ne Yeh Da'wa Kiya Keh Woh Iss Ladki Ka I'laaj Kare'n Ge. Raees Ne Iss Shart Par Apni Beti Ke I'laaj Ki Ijazat Di Keh Agar I'laaj Kamiyab Nah Hova Tu Unn Ka Sar Qalam Kar Diya Jaye Ga. Chunanche Yeh Kaate Hove Sar Unhi'n Tabeebo'n Ke Hain. Ju Apne Tamam Nosqe Azma Ne Ke Bawajood I'laaj Me Na Kaam Rahe. Agar Tum Bhi Apna Sar Katwana Chahte Hu Tu Hame'n Ta'ruf Karane Me Koi U'zr Nahi................ Hazrat Sahl رحمته الله عليه Ne Kaha Mujhe Sab Kuch Manzoor Hai. Bas Uss Raees Ke Paas Mujhe Le Chalo. Chunanche Woh Loog Hazrate Sahl رحمته الله عليه Ku Qasr Ke Andar Le Gaye Aur Raees Se Unn Ka Ta'ruf Karaya. Raees Uss Waqt Chan'd Admiyo'n Ke Sath Guftago Kar Raha Tha. Uss Ne Hazrat Sahl رحمته الله عليه Ku Isharah Kiya Keh Baith Jaye'n. Jab Woh Admi Chale Gaye Tu Raees Ne Hazrat Sahl رحمته الله عليه Se Pucha Keh Aap (رحمته الله عليه) Yaha'n Kis Muqsad Keliye Aaye Hain? Uss Ke Jawab Me Hazrat Sahl رحمته الله عليه Ne Kaha My Ne Suna Hai Keh Tumhari Ek Ladki Hai Ju Junoon Ke A'riz Me Mubtila Hai. My Iss Ke I'laaj Keliye Aaya Ho'n. Raees Ne Kaha Keh Pehle Mere Mehal Ki Deewar Ke Bahar Nigah Tu Dalo, Iss Par Hazrat Sahl رحمته الله عليه Ne Kaha Keh My Ne Sab Kuch Dekh Liya Hai. Raees Hazrat Ka Jawab Sunkar Bahut Hairan Hova Aur Samjha Keh Yeh Koi Bada Buland Payah Tabeeb Hai. Ju Pehle Tabeebo'n Ka Hashr Dekh Kar Bhi I'laaj Par Tula Hova Hai. Chunanche Uss Ne Zanan Khane Me Paigham Bheja Keh Shahzadi Ku Tayyar Kare'n. Ek Tabeeb Usse Dekhne Aaya Hai. Thodi Derr Ke Ba'd Andar Se Awaz Aai Keh Ladki Tabeeb Se Milne Keliye Tayyar Hai. Chunanche Raees Hazrat Ku Apne Sath Liye Aur Haramsara Me Dakhil Hova. Ju Dono'n Ladki Ke Kamre Ke Qareeb Pahunche Tu Ladki Ne Kaneez Ku Awaz Di Aur Kaha Keh Mera Naqab Lao, Takeh My Pardah Karlo'n. Raees Ku Badi Hairat Hovi Keh Iss Se Pehle Bhi Kitne Hi Tabeeb Aaye. Laikin Ladki Ne Kisi Se Pardah Nahi Kiya. Iss Tabeeb Me Ma'loom Nahi Kya Baat Hai Keh Ladki Naqab Ki Zaroorat Mehsoos Kar Rahi Hai. Woh Apne Khayalat Ku Zabt Nah Kar Saka Aur Ladki Ke Samne Inn Ka Izhar Kar Hi Diya. Ladki Ne Jawab Diya Keh Woh Mard Nahi The........... Mard Yeh Hai. Ju, Ab Aaya Hai. Raees Ladki Ka Jawab Sunkar Satpata Gaya. Iss Ki Samajh Me Kuch Bhi Nah Aaya. Hazrat Sahl رحمته الله عليه Ladki Ke Qareeb Gaye Aur Assalamu Alaikum Kaha, Raees Zadi Ne Salam Ka Jawab Dete Hove Peer-e-Khaas Ka Lafz Istemal Kiya. Hazrat Sahl رحمته الله عليه Ne Kaha Aye Ladki Tu Ne Kaisa Samjha Keh My Peer-e-Khaas Ho'n? Uss Par Raees Zadi Ne Kaha, Jis Ne Tum Ku Yaha'n Bheja Hai Uss Ne Mujh Ku Bhi Motanabbah Kar Diya Hai. Tumhe'n Allah ﷻ Ne Aysi Ne'mat Se Nawazah Hai Jis Se Rooh Ku Taskeen Milti Hai. Issi Wajah Se My Khajalat Mehsoos Kar Rahi Ho'n. Raees Yeh Guftago Sunkar A'lam-e-Tahayyar Me Kho Gaya Aur Sakit Wa Samat Dekhne Laga Keh Ab Kya Huta Hai. Udhar Hazrat Sahl رحمته الله عليه Samajh Gaye Keh Ladki Ku Junoon Nahi Balkeh Kuch Aur Shay Hai. Inho'n Ne Quran-e-Hakeem Ki Ek Ayat Padi Keh Shayad Iss Me I'laaj Hu Aur Ladki Ku Sukoon Mayassar Hu Jaye. Raees Zadi Ne Jonhi Yeh Ayat Soni, Ghash Kha Kar Gir Padi. Thodi Derr Ba'd Jab Hosh Me Aai Tu, Hazrat Sahl رحمته الله عليه Ne Uss Se Mukhatib Hukar Kaha Agar Tujhe Sar Zameen-e-Islam Me Le Jao'n. Ladki Ne Kaha Sar Zameen-e-Islam Me Kya Shay Hai Ju Yaha'n Nahi Hai. Hazrat Ne Kaha Waha'n Arz-e-Islam Me Ka'abah Mu'azzam Hai. Phir Ladki Ne Kaha, Nadaan Agar Tu Ka'abe Ku Dekhe Tu Usse Pehchanle Ga? Hazrat Sahl رحمته الله عليه Ne Kaha Ha'n............ Raees Zadi Ne Kaha Phir Mere Sar Ke Upar Nigah Karo. Hazrat Ne Upar Nigah Uthai Tu Ek A'jeeb Manzar Dikhai Diya. Unn Ki Nazar Ke Samne Ka'abah Maujood Tha. Ju Ladki Ke Sar Ke Gird Tawwaf Karta Ma'loom Huta Tha. Hazrat Sahl رحمته الله عليه Yeh Nazarah Dekh Kar Shashdar Reh Gaye Aur Phir Behosh Hukar Gir Pade. Thodi Derr Ke Ba'd Hosh Me Aaye Tu Raees Zadi Se Pucha Keh Tu Ne Yeh Martabah Kis Tarah Hasil Kiya. Ladki Boli Are Nadaan Tumhe'n Ma'loom Hona Chahiye Keh Ju Shaks Apne Pao'n Ke Sath Ka'abah Jata Hai Woh Ka'abe Ka Tawwaf Karta Hai Aur Ju Apne Dil Ke Sath Ka'abah Jata Hai Ka'abah Uss Ka Tawwaf Karta Hai Aur Tujhe Yeh Bhi Jan Lena Chahiye Keh Tu Abhi Khuda Se Ek Qadam Durr Hai. Agar Tumhari Khuwahish Hu Tu My Tumhare Liye Uss Raaz Ku Fash Kar Deti Ho'n. Jald Batao Janna Chahte Hu Ya Nahi? Hazrat Sahl رحمته الله عليه Ne Kaha Jald Kaho Warnah My Deewanah Hu Jao'n Ga. Raees Zadi Ne Kaha مَنْ عَرَفَ نَفْسَهُ فَقَدْ عَرَفَ رَبَّهُ "Jis Ne Apne Nafs Ku Pehchana Tehqeeq Uss Ne Apne Rab Ku Pehchana. Raees Zadi Ka Jawab Sunkar Hazrate Sahl رحمته الله عليه Ke Sare Hijabaat Durr Hu Gaye Aur Unhe'n Ma'loom Hu Gaya Keh Iss Dunya Me Allah Ta'ala Ke Bahut Se Ayse Bande Hain. Ju Inn Se Kahi'n Buland Martabe Par Fa-iz Hain. Chunanche Inn Ke Dil Se Apni Vilayat Aur Badai Ka Khayal Yaksar Jata Raha. Iss Tarah Allah Ta'ala Ne Iss Waqiye Ke Zariye'h Unn Ku Tanbeeh Kar Ke Gomrah Hone Se Bacha Liya. 


🥎KARAMAAT :

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•


  Chunanche Saheb-e-Kashafful Mahjub Aap رحمته الله عليه Ku 10 Mazahib-e-Sufiya Ke Baniyo'n Me Ek Qarar Dete Hain. Apka Tareeq Ijtehad Wa Mujahida-e-Nafs Aur Rayazat Hai. Aap رحمته الله عليه Murideen Ku Mujahidat Ke Zariye'h Darja-e-Kamal Tak Pahuncha Dete The. Aap رحمته الله عليه Ke Nazdeek Mushahidah Natijah Hai Mushahidah Ka. Halankeh Dusre Mashaikh Ka Yeh Khayal Hai Keh Usool-e-Haq Ki Koi I'llat Nahi Hu Sakti. Ju Koi Khuda Raseedah Huta Hai Fazle Rabbi Se Huta Hai Aur Fazl Ku I'llat Se Kya Kaam. Iss Liye Ba'z Mashaikh Ka Yeh Nazaryah Hai Keh Mujahidah Sirf Tehzeeb-e-Nafs Keliye Hai. Nah Keh Haqeeqat-e-Qurbat Keliye Aap رحمته الله عليه Ke Mazhab Ka Daro Madar Rayazat Wa Mujahidah Par Hai. Laikin Ba'z Buzurgan Iss Se Muttafiq Nahi. Jab Keh Kashafful Mahjoob Me Mufassal Mazkoor Hai. Laikin Aap رحمته الله عليه Hargiz Karamaat Zahir Nahi Karte The Aur Hameshah Chupa Ne Ki Kushish Karte Rehte The. Sheak Abu A'li Daqqaq قدسِ سّرةالعزیز Kehte Hain Keh Aap رحمته الله عليه Bahut Saheb-e-Karamat Hone Ke Bawajood Khud Ku Zamane Ki Nazro'n Se Chopa Rakhte The. 


 💐1} U'mro Lais Ek Martabah Aysa A'leel Hova Keh Itba Ne Jawab Diya. Chunanche Uss Ne A'lam-e-Yaas (Udasi, Mayosi) Me Aap رحمته الله عليه Ku Bola Kar Du'wa Ki Darkhuwast Ki Tu Aap رحمته الله عليه Ne Farmaya Keh Du'wa Uss Ke Haq Me Asar Huti Hai Ju Tayib Hu Choka Hu. Lihaza Pehle Tum Taubah Kar Ke Qaidiyo'n Ku Riha Kardu Aur Jab Uss Ne Hukum Ki Ta'meel Kardi. Tu Hazrate Sahl رحمته الله عليه Ne Du'wa Ki Keh Aye Allah Jis Tarah Tu Ne Apni Na Farmani Ki Zillat Iss Ku A'ta Ki Ussi Tarah Meri I'badat Ki A'zmat Bhi Iss Ku Dikha De. Yeh Kehte Hi Woh Tandurust Hukar Khada Hu Gaya Aur Bahut Si Daulat Bataure Nazranah Pesh Karni Chahi, Laikin Aap رحمته الله عليه Ne Inkar Kar Diya. Phir Kisi Mureed Ne Raste Me A'rz Kiya Keh Agar Aap رحمته الله عليه Nazranah Qabool Kar Lete Tu My Qarz Se Sabkudush Hu Jata. Aap رحمته الله عليه Ne Farmaya Keh Agar Tujhe Zar Dekhna Hai Tu Samne Dekho Aur Jab Uss Ne Nazar Uthai Tu Har Simt Sona Hi Sona Nazar Aaya Aur Aap رحمته الله عليه Ne Farmaya Keh Khuda Ne Jis Ku Yeh Martabah A'ta Kiya Hu Uss Ku Daulat Ki Tamanna Kaise Hu Sakti Hai.


💐2} Hazrat Khajah Sahl رحمته الله عليه Jab Kabhi Pani Par Chalte Tu Qadam Kabhi Tar Nahi Hute The. Logo'n Ne Kaha Keh Hum Ne Suna Hai Keh Aap رحمته الله عليه Kashti Ke Bagair Pani Ke Upar Chalte Hain? Farmaya Keh Masjid Ke Moazzin Se Puchlo Yeh Jhot Nahi Bolta Aur Jab Uss Se Pucha Gaya Tu Uss Ne Kaha Keh Uss Ka Tu Mujhe I'lm Nahi Albattah Ek Martabah Aap رحمته الله عليه Nahate Hove Hauz Par Phisal Kar Girne Ke Qareeb Hove Tu My Ne Tham Liya. 


💐3} Namaz-e-Juma Se Qabal Koi Buzurg Mulaqat Keliye Aaye Tu Dekha Keh Aap رحمته الله عليه Ke Nazdeek Ek Saanp 🐍 Kundli Maar Baitha Hai Aur Jab Woh Buzurg Ijazat Lekar Qareeb Pahunche Tu Farmaya Keh Ju Haqeeqat-e-Asman Se Na Waqif Huta Hai Wahi Zameen Ki Cheezo'n Se Khauf Khata Hai. Phir Aap رحمته الله عليه Ne Unn Buzurg Se Pucha Keh Namaz-e-Juma Keliye Kya Khayal Hai. Inho'n Ne Kaha Keh Masjid-e-Jama Tu Yaha'n Se 24 Ghante Ki Masafat Ke Fasle Par Hai......... Yeh Sunakr Aap رحمته الله عليه Ne Unn Ka Hath Pakda Aur Chashma-e-Zadan Me Masjid Ke Andar Dakhil Hu Gaye Aur Namaz Ke Ba'd Logo'n Par Nazar Dalte Hove Farmaya Keh Mukhlis Saheb-e-Emaan Tu Bahut Qhaleel Hain Albattah Kalmah Goo Bahut Ziyadah Hain.


💐4} Ek Martabah Bayaban Me Aap رحمته الله عليه Ku Bahut Hi Badhal Budhya Mili. Chunanche Jab Aap رحمته الله عليه Ne Uss Ki A'anat Karni Chahi Tu Uss Ne Hath Utha Kar Mutthi Buland Karli Aur Jab Mutthi Kholi Tu Uss Me Sona Tha. Phir Uss Ne Aap رحمته الله عليه Se Kaha Keh Tum Jeb Se Raqam Nikalte Hu. Laikin Mujhe Gaib Se Milti Hai Aur Yeh Keh Kar Achanak Gaib Hu Gai Aur Jab Aap رحمته الله عليه Ne Baitullah Pahunch Kar Tawwaf Karna Shuru Kiya Tu Dauran-e-Tawwaf Dekha Keh Ka'abah Khud Iss Budhya Ka Tawwaf Kar Raha Hai Aur Jab Aap رحمته الله عليه Iss Ke Nazdeek Hove Tu Uss Ne Kaha Keh Ju Iktiyari Taur Par Yaha'n Pahunchta Hai Uss Keliye Tawwaf-e-Ka'aba Zaroori Hai. Laikin Ju Iztarari A'lam Me Aate Hain Khud Ka'aba Unn Ka Tawwaf Karta Hai.


💐5} Hazrat Sahl رحمته الله عليه Ek Din Masjid Me Baithe The Keh Ek Kabutar🕊️ Garmi Se Niche Gir Gaya. Khajah Sahl رحمته الله عليه Ne Farmaya Iss Waqt Shah Shija Kirmani قدسِ سّرةالعزیز Inteqal Kar Gaye. Ma'loom Karne Par Pata Chala Keh Yaqeenan Unn Ka Inteqal Hu Gaya Tha.


💐6} Ek Dafa'h Mujhe Ek Abdaal Se Milne Ka Muqa Mila My Unn Se Masail-e-Haqeeqat Dariyafat Karta Raha Hattah Keh Namaz Padh Kar Pani Ki Teh Me Chale Gaye. Hum Chan'd Roz Ikhatta Rahe Aur Kuch Nahi Khate The Aur Mere Siwa Kisi Dusre Se Muhabbat Nahi Karte The.


💐7} Hazrat Sahl Bin A'bdullah Tustari رحمته الله عليه Ka Bayan Hai Keh My Ne A'jaib Wa Karamaat Me Sab Se Pehle Ju Dekha Woh Yeh Keh Ek Viran Muqam Ki Taraf Aa Nikla. Waha'n Mere Qalb Ku Qurb-e-Ilahi Ki Lazzat Se Shadkami Hasil Hovi. Woh Jagah Mujhe Nihayat Bhali Ma'loom Hovi. Namaz Ka Waqt Aa Pahuncha Aur Meri A'dat Thi Keh Har Namaz Keliye Tazah Wazu Kiya Karta Tha. Uss Waqt Pani Nah Hone Par My Ghamgeen Hova. Itne Me Na Gaha'n Mujhe Ek Admi Durr Se Chal Kar Aata Hova Nazar Pada. Qareeb Hova Tu Dekha Keh Woh Ek Reech( 🐻 Bear) Hai. Ju Dono'n Hatho'n Me Pani Ka Ek Matka Uthaye Hove Hai. Nazdeek Akar Salam Kiya. Mujhe Yeh Cheez A'jeeb Lagi, My Ne Pucha Yeh Pani Aur Matka Kaha'n Se Aaya? Reech 🐻 Ne Jawab Diya. Hum Loog Wahosh Hain. Hum Ne Allah Ta'ala Ki Muhabbat Me Aur Ussi Par Tawakkal Kar Ke Ta'luqaat-e-Dunyavi Ku Cho'dd Rakha Hai. Abhi Hum Apas Ek Masle Par Guftago Kar Rahe The Keh Achanak Yeh Awaz Aai, Sahl رحمته الله عليه Uss Waqt Wazu Karne Keliye Pani Talash Kar Rahe Hain Yeh Sunkar My Ne Yeh Pani Ka Matka Uthaya. Nagah 2 Farishte Aa Gaye. My Unn Ke Nazdeek Hova. Unn Farishto'n Ne Fiza Se Matke Me Pani Dala Uss Me Pani Girne Ki Awaz Mujhe Sonai De Rahi Thi. Reech Ki Itni Baat Sunte Sunte Mujhe Par Ghashi Aa Gai. Afaqah Hova Tu My Ne Dekha Keh Pani Ka Matka Rakha Hova Hai Aur Reech Ka Koi Pata Nahi. My Afsoos Karne Laga Keh My Ne Kuch Aur Baate'n Kiun Nah Puchli'n. Iss Pani Se My Ne Wazu Kiya Aur Kuch Peena Chahta Tha Keh Awaz Aai...... Aye Sahl (رحمته الله عليه) Abhi Tere Liye Iss Pani Ke Peene Ka Waqt Nahi Aaya. Pani Ka Woh Matka Jombish Karne Laga Aur Phir Nigaho'n Se Ujhal Hukar Ma'loom Nahi Kaha'n Gaya. 


🥎IRSHADAAT :

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•


🗣️1] Pet Bhar Kar Khane Se Khuwahishat-e-Nafsani Apne U'rooj Par Pahunch Jati Hain Aur Nafs Apni Murade'n Talab Karne Lagta Hai. 


🗣️2] Siddiqeen Aur Shohada Ke Siwa Kisi Ku Farak Dili Hasil Nahi Huti.


🗣️3] Ahle Iklas Ku Masaib Ka Shikar Bana Kar Allah Ta'ala Azmata Hai Aur Agar Woh Sabit Qadam Rehte Hain Tu Qurb A'ta Karta Hai Warnah Atishe Firaq Me Daal Deta Hai. 


🗣️4] Khuda Ke A'lawah Kisi Shay Se Bhi Tamaniyat Ka Husool Haram Hai Aur Ju Ao Amr Wa Nawahi Ki Pabandi Nahi Karta Woh Ma'rifat-e-Ilahi Se Mehroom Rehta Hai.


🗣️5] Jis Wajd Wa Haal Keliye Quran Wa Hadees Me Istedlal Nah Hu Woh Lago Batil Hai.


🗣️6] Dusro'n Ki Nisbat A'lim Ka Darjah Buland Hai. Laikin A'lim Ki Shanakhat Yeh Hai Keh Azal Se Ju Maqdirat Qaim Hu Choke Hain Unn Par Khush Raho.


🗣️7] U'lama Ki Bhi 3 Qisme'n Hain :


1) Awwal Woh A'lim Ju Apne U'loom-e-Zaheri Ku Logo'n Me Ke Samne Pesh Karde.

2) Duwwam Woh A'lim Ju U'loom-e-Batini Ku Ahle Batin Ke Samne Bayan Karde.

3) Suwam Woh A'lim Jis Ke I'lm Ku Uss Ke Aur Khuda Ke Siwa Koi Nahi Janta Hu Aur Sab Se Badi Ma'siyat Jahalat Hai.


🗣️8] Afzal Insaan Woh Hai Ju Bad Khaslati Ku Tark Kar Ke Nek Khaslat Iktiyar Kare.


🗣️9] Fuqra Ku Nazr-e-Haqeer Se Mat Dekho, Kiunkeh Inn Me Aksar Naib Aur Warise Ambiya Hute Hain. 


🗣️10] U'boodiyat Ka Ibtedai Muqam Apne Iktiyar Wa Quwwat Se Khali Aur Bezar Hu Jana Hai.


🗣️11] Jis Ke Zahir Wa Batin Me Yagangat Nah Hu Uss Ku Sidq Ki Hawa Tak Nahi Lag Sakti.


🗣️12] Jis Ne Nafs Par Qabza Kar Liya Woh Pore A'lam Par Qabiz Hu Gaya.


🗣️13] Tawakkal Ambiya-e-Ikram Ki Pasandeedah Shay Hai.


🗣️14] Siddiqeen Par Khuda Ek Farishte Ku Muqarrar Kar Deta Hai, Ju Uss Ku Auqaat-e-Namaz Se Muttala Karta Rehta Hai Aur Agar Soo Jata Hai Tu Bedar Kar Deta Hai. 


🗣️15) Ahle Biddat Se Ta'luq Qaim Karne Wale Se Allah Ta'ala Itteba'-e-Sunnat Salb Kar Leta Hai Aur Ju Bida'ti Ke Af'al Par Izhar-e-Masarrat Karta Hai Uss Se Noor-e-Emaani Salb Kar Liya Jata Hai Aur Dunya Se Sunnat Ek Aysi Shay Hai Jaise Akhirat Me Jannat Aur Jis Ku Jannat Mil Gai Uss Ne Gham Wa Andoh Ka Khatimah Hu Gaya Aur Ju Muttabi Sunnat Hu Gaya Uss Se Bida't Durr Hu Gai.


🥎WAFAT :

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•


  Aap رحمته الله عليه Iss Tarah Munajat Karte The Keh Aye Allah ﷻ! My Kisi Laiq Bhi Nahi Phir Bhi Tu Mujhe Yad Karta Hai Aur Mere Liye Yahi Khushi  Bahut Hai Aur Jab Khajah Sahl رحمته الله عليه Ka Akhri Waqt Aaya 400 Mureed A'lim Wa A'mil Ahle Tareeqat Hazir The. Logo'n Ne Aap رحمته الله عليه Se Pucha Keh Apke Dunya Se Pardah Farmane Ke Ba'd Khalifah Kon Hu Ga? Aur Bar Sar-e-Mimbar Wa Wa'iz Kon Kahe Ga? Aap رحمته الله عليه Ke Ghar Ke Paas Hi Me Ek Atish Parast Rehta Tha Jis Ka Naam Shaddil Tha. Aap رحمته الله عليه Ne Farmaya Keh Meri Masnad Par Dilgeer Atish🔥 Parast  Shaddil Mere Khalifa Hu Ga Ju Baitha Ga. Sab Hairatzadah Hu Gaye Aur Shor Karne Lage Keh Apki Masnad Par Ek Atish Parast Kaise Baith Sakta Hai. Aap رحمته الله عليه Ne Sab Ku Kha Khamosh Raho Aur Shaddil Ku Bolao. Chunanche Aap رحمته الله عليه Ne Uss Ku Bolwa Kar Farmaya Keh Meri Maut Se 3 Yaum Ba'd Namaz-e-Zohar Ke Waqt Se Wa'iz Kehna Aur Kehkar Aap رحمته الله عليه Jan Bahaq Hu Gaye إِنَّا لِلّهِ وَإِنَّـا إِلَيْهِ رَاجِعونَ............ Jab Teesre Din Tamam Loog Jama Hove Aur Woh Apne Mazhabi Libas Me Mimbar Par Pahunche Tu Logo'n Se Kaha Keh Tumhare Peer Wa Murshid Ne Mujhe Rehnoma Banaya Hai Aur Mujh Se Yeh Bhi Farmaya Hai Keh Teri Atish Parasti Tark Kar Dene Ka Waqt Aa Pahuncha Hai. Yeh Kehte Hi Uss Ne Apna Libada Utaar Kar Kalmah Padha Aur Islam Me Dakhil Hu Gaya. Iss Ke Ba'd Logo'n Ku Naseehat Ki Keh My Tu Zaheri Libada Utar Kar Musalman Hu Gaya. Laikin Agar Tum Roze Mehshar Apne Murshid Se Milna Chahte Hu Tu Batini Zanar Kaat Kar Phenk Du. Iss Jumle Se Ahle Majlis Iss Darjah Mutasir Hove Keh Muztaribanah Taur Par Rone Lage Aur Akhar Me Kaha Keh Tum Logo'n Ku Shak Hu Keh Qayamat Ke Din Kya Hashar Hu Ga Tu Usse Bhi Dekhlo. Chunanche Unho'n Ne Du'wa Ki Keh Ilahi Meri Qayamat Ke Din Ki Halat Inn Ku Dikha De. Pas Ussi Waqt Qayamat Qaim Hu Gai Aur Aysi Halat Hovi Keh Qalam Likhne Se Qasir Hai. 


  Hazrat Sahl Bin A'bdullah Tustari رحمته الله عليه Ki Namaz-e-Janazah Apke Khadim Ne Padhai Aur Janaze Me Kaseer Majma Ke Sath Ek Atish Parast Bhi Shamil Tha Aur Uss Ne Logo'n Ku Bataya Keh Malaikah Ke Geroh Dar Geroh Aap رحمته الله عليه Ka Janazah Utha Rahe Hai.


  Hazrat Talha رحمته الله عليه Malik Se Riwayat Karte Hain Keh Aap رحمته الله عليه Halat-e-Saum Me Dunya Ke Andar Tashreef Laye Ya'ne Jis Di Apki Viladat Hovi Uss Din Aap رحمته الله عليه Ki Validah Roze Se Thi'n Aur Aap رحمته الله عليه Jis Din Dunya Se Ruksat Hove Uss Waqt Bhi Roze Se The Aur Wasile Haq Hukar Rozah Iftar Kiya. Aap رحمته الله عليه Ki Wafat Monday / 12 Moharram 283 A.H / 1 March 896 A.D Ku Baghdad Shareef Me Hovi. Uss Waqt Apki U'mr-e-Shareef 80 Saal Thi. 


 Ek Shaks Aap رحمته الله عليه Ke Samne Se Guzra Tu Farmaya Keh Yeh Ahle Batin Hai Aur Apki Wafat Ke Ba'd Ussi Shaks Ku Apke Mazar-e-Paak Par Dekh Kar Kisi Ne Kaha Keh Hazrate Sahl رحمته الله عليه Tu Apku Ahle Batin Kaha Karte The. Lihaza Koi Karamat Hame'n Bhi Dikha Dijiye. Chunanche Unho'n Ne Qabar-e-Mubarak Se Mukhatib Hukar Kaha Keh Aye Sahl رحمته الله عليه Kuch Tu Farmaye'n Aur Andar Se Yeh Awaz Aai Keh Khuda Ke Siwa Nah Koi Ma'bood Hai Nah Koi Iss Ka Shareek Hai. Phir Unho'n Ne Kaha Keh Aye Sahl رحمته الله عليه Kehne Wale Ki Qabar Monawwar Hu Jati Hai. Awaz Aai Keh Meri Qabar Bhi Khuda Ne Monawwar Kardi Hai.


🥎SILSILA-E-MUREEDI :

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•


🌹1) Hazrat Khajah Abu Mohammad Sahl Bin A'bdullah Tustari قدسِ سّرةالعزیز.


🌹2) Hazrat Khajah Sauban Zunnoon Misri قدسِ سّرةالعزیز.


🌹3) Hazrat Khajah Israfeel قدسِ سّرةالعزیز.

 (Aap رحمته الله عليه Ahle Magrib Ke Peer Wa Murshid The)


✍🏻 *Written By: Bandah Haqeer Mustaqeem Mehdavi*


لا الہ    الا اللہ    محمد   رسول      اللہؐ


اللہ           الھنا           محمد        نبیّٗنا 


القرآن  و  المہدیؑ  امامنا  آمنا و صدقنا


✉️ *Post By: Raah-e-Haq Mehdaviyat* ✒️


Thursday, July 27, 2023

Hazrat Khajah Abul Hasan Ali Kharaqani rh

 Hazrat Khajah Abul Hasan A'li Kharaqani قدسِ سّرةالعزیز


🩶Salana U'rs-e-Mubarak 1020th🩶


#URS_E_MUBARAK :

 Saturday / 10 Moharram 1445 A.H / 29 July 2023 C.E

▭▬▭▬▭▬▭▬▭▬▭▬▭▬▭▬▭


🩶HALAAT WA MANAQIB :

✧═════•❁❀❁•═════✧


  TA'RUF :  Mustagraq Dar Behre Ishq Wa Zaoq, A'rife Noorani, Gaus-e-Waqt, Khajah Abul Hasan Kharaqani رحمته الله عليه Ka Asli Naam A'li Ibne Ahmad Ja'far Bin Sulaiman Kharaqani رحمته الله عليه Hai. Aap رحمته الله عليه Tareeqat Wa Haqeeqat Ka Sar Chashma-e-Fuyuz Wa Ma'rifat Ka Mamba Wa Magzan Aur Aap رحمته الله عليه Ki A'zmat Wa Buzurgi Muslimah Thi. Aap رحمته الله عليه Apne Waqt Ke Gaus Aur Yagana-e-Rozgar The. Qibla-e-Waqt Aur Tamam Khalqat Ka Malja Wa Mawa The. Sulook Me Apki Tarbiyat Khajah Abu Yazeed قدسِ سّرةالعزیز Ki Roohaniyat Se Hovi. Kiunkeh Apki Viladat Khajah Abu Yazeed قدسِ سّرةالعزیز Ki Wafat Ke Ba'd 352 A.H / 963 A.D Me Hovi. Iss Liye Aap رحمته الله عليه Ku Abu Yazeed Sani Kaha Jasakta Hai. Aap رحمته الله عليه Apne Zamane Me Be Nazeer The. Apka Laqab Sultan-e-Salateene Mashaikh Hai. Hazrat Bayazeed Bustami قدسِ سّرةالعزیز Ka Dastoor Yeh Tha Keh Saal Me Ek Martabah Mazarat-e-Shohada Ki Ziyarat Keliye Tashreef Le Jaya Karte The Aur Jab Kharaqan Pahunche Tu Fiza Me Moo Upar Utha Kar Iss Tarah Saans Khinchte Jaise Koi Khushbo Songh Rahe Hu. Ek Martabah Murideen Ne Pucha Keh Aap رحمته الله عليه Kis Cheez Ki Khushbo Songhte Hain? Hume'n Tu Kuch Bhi Mehsoos Nahi Huta. Aap رحمته الله عليه Ne Farmaya Keh Mujhe Sar Zameen-e-Kharaqan Se Ek Mard-e-Haq Ki Khushbo Aati Hai Jis Ki Kuniyat Abul Hasan Aur Naam A'li Hu Ga Aur Woh Kasht Kaari Ke Zariye'h Rizq-e-Halal Se Apne Ahal Wa A'yaal Ki Parwarish Kare Ga Aur Mujh Se Martabe Me 3 Gonah Ziyadah Hu Ga. Aap رحمته الله عليه Ne Hazrat Sheak Abul Hasan Hakkari رحمته الله عليه Se Ta'leem Aur Faiz Hasil Kiya Hai. Aap رحمته الله عليه Ke Mashoor Shagird Hazrat Khajah Abu Sa'eed Bin Abul Khairr رحمته الله عليه, Hazrat Abu A'li Hussain Ibne Seena رحمته الله عليه, Hazrat Sultan Mehmood Ghaznawi رحمته الله عليه Hain Aur Aap رحمته الله عليه Sha'afi Mazhab Ke Muqallid The.


🩶WAQIYAT :

✧═════•❁❀❁•═════✧


🍀1) Aap رحمته الله عليه Ne Apne Darwaze Par Likh Diya Tha Keh Ju Koi Bhi Iss Makan Par Aaye Usse Uss Ke Emaan Ke Bare Me Mat Pucho Magar Usse Khanah Khilao, Kiunkeh Jise Bhi Allah Ta'ala Ne Zindagi Di Hai Woh Abul Hasan (رحمته الله عليه) Ke Dastarkhwan Par Khanah Khane Ka Mustahiq Hai.


🍀2) (Karamat) Ek Martabah Aap رحمته الله عليه Ke Ghar Me Kuch Mehman Aaye. Aap رحمته الله عليه Ki Biwi Ne Aap رحمته الله عليه Se Kaha Keh Ghar Me Chan'd Rotiyo'n Ke Siwa Kuch Bhi Nahi Hai. Aap رحمته الله عليه Ne Farmaya Keh Unn Rotiya'n Par Ek Kapda Daal Du Aur Zaroorat Ke Mutabiq Nikalte Rehna. Aap رحمته الله عليه Ke Farman Par A'mal Kiya Gaya Aur Sab Logo'n Ne Pait Bhar Ke Khanah Kha Liya. Aap رحمته الله عليه Ke Khadim Ne Jab Kapda Hata Diya Tu Dekha Keh Ek Bhi Roti Nahi Thi. Aap رحمته الله عليه Ku Pata Chala Tu Farmaya Keh Agar Tum Yeh Galti Nah Karte Tu Rotiya'n Kabhi Khatam Nah Huti.


🍀3) 20 Saal Tak Aap رحمته الله عليه Ka Yeh Ma'mool Raha Keh Kharaqan Se Ba'd Namaz-e-Isha Hazrat Bayazeed رحمته الله عليه Ke Mazar-e-Paak Par Pahunch Kar Yeh Du'wa Karte The Keh Aye Allah Ju Martabah Tu Ne Bayazeed (رحمته الله عليه) Ku A'ta Kiya Wahi Mujhe Bhi A'ta Farma De. Iss Du'wa Ke Ba'd Kharaqan Wapas Akar Namaz-e-Fajar Ada Karte Aur Aap رحمته الله عليه Ki Ada Ka Yeh A'lam Tha Keh Bustam Se Iss Niyyat Ke Ulte Pao'n Wapas Hute Keh Kahi'n Hazrat Bayazeed Bustami رحمته الله عليه Ke Mazar-e-Paak Ki Be Adabi Nah Hu Jaye. Phir 12 Saal Apna Ma'mool Par Qaim Rehne Ke Ba'd Hazrat Bayazeed رحمته الله عليه Ki Qabar Se Yeh Awaz Soni Keh Aye Abul Hasan (رحمته الله عليه) Ab Tera Bhi Daur Aa Gaya. Aap رحمته الله عليه Ne Jawab Diya Keh My Tu Qata'i Ummi Hone Ki Wajah Se U'loom-e-Shari'yah Se Nawaqif Ho'n. Iss Liye Meri Himmat Afzai Farmaye'n. Nida Aai Keh Mujhe Ju Kuch Martabah Hasil Hova Hai Woh Sirf Tumhari Hi Badaulat Hasil Hova Hai. Aap رحمته الله عليه Ne Jawab Diya Keh Aap (رحمته الله عليه) Tu Mujh Se 39 Saal Qabal Dunya Se Ruksat Hu Choke Hain. Nida Aai Keh Yeh Qaul Tu Tumhara Durust Hai. Laikin Haqeeqat Yeh Hai Keh Jis Waqt Bhi My Sar Zameen-e-Kharaqan Se Guzarta Tha Tu Iss Sar Zameen Se Asman Tak Ek Noor Hi Noor Nazar Aata Tha Aur My Apni Ek Zaroorat Ke Tehat 30 Saal Tak Du'wa Karta Raha. Laikin Qabool Nahi Hovi Aur Mujh Ku Yeh Hukum Diya Gaya Keh Tu Iss Noor Ku Hamari Bargah Me Shafi Bana Kar Pesh Kare Tu Teri Du'wa Qabool Karli Jaye Gi. Chunanche Iss Hukum Par A'mal Hone Se Du'wa Qabool Hu Gai. Chunanche Iss Waqiye Ke Ba'd Jab Aap رحمته الله عليه Kharaqan Wapas Hove Tu Sirf 24 Din Me Mukammal Quran-e-Majeed Khatam Kar Liya. Laikin Ba'z Riwayat Me Yeh Hai Keh Hazrat Bayazeed Bustami رحمته الله عليه Ke Mazar-e-Paak Se Nida Aai Keh Sura-e-Fateha Shuru Karo Aur Jab Aap رحمته الله عليه Ne Shuru Ki Tu Kharaqan Pahunch Ne Tak Pura Quran-e-Majeed Khatam Kar Liya. 


🍀4) Ek Martabah Aap رحمته الله عليه Apne Bagh Ki Khodai Kar Rahe The Tu Waha'n Se Chandi Baramad Hovi Aur Aap رحمته الله عليه Ne Uss Jagah Ku Band Kar Ke Dusri Jagah Se Khodai Shuru Ki Tu Waha'n Se Sona Baramad Hova Phir Teesri Jagah Se Marwareed Aur Chaothi Jagah Se Jawahirat Baramad Hove. Laikin Aap رحمته الله عليه Ne Kisi Ku Bhi Hath Nahi Lagaya Aur Farmaya Keh Abul Hasan Inn Cheezo'n Par Faryaftah Nahi Hu Sakta Yeh Tu Kiya Agar Deen Wa Dunya Bhi Mohiya Hu Jaye'n. Jab Bhi Woh Tujh Se Inheraf Nahi Kar Sakta. Hal (Kasht Kaari) Chalate Waqt Jab Namaz Ka Waqt Aa Jata Tu Aap رحمته الله عليه Bailo'n 🐄 Ku Cho'dd Kar Namaz Ada Karte Aur Jab Namaz Padh Kar Khet Par Pahunchte Tu Zameen Tayyar Milti. 


🍀5) Jab Somnath Ka Raja Ka Zulum Badhne Laga Tab Hazrat Khajah Syed Abul Hasan A'li Iraqi U'rf Haji Mangroli Shah قدسِ سّرةالعزیز Ne Sultan Mehmood Ghaznawi رحمته الله عليه Ku Khat Likh Kar Khabar Di. Zil Qai'dah 416 A.H / December 1025 A.D Me Sultan Mehmood Ghaznawi رحمته الله عليه Apne Lashkar Ke Sath Somnath Pahunche. Laikin Fatah Nah Mili. Sultan Ne Kai Baar Somnath Par Chadhai Ki. Laikin Fatah Nah Mili. Akhir Me 418 A.H Me Unho'n Ne Apne Peer Wa Murshid Hazrat Khajah Abul Hasan Kharaqani رحمته الله عليه Ka Kurta Mubarak Mangwaya Aur Allah Ta'ala Se Uss Ke Waseele Se Musalmano'n Ki Fatah Ki Du'wa Ki Tu Allah Ta'ala Ne Somnath Par Unhe'n Fatah A'ta Farmai. Ba'd Me Sultan Mehmood Ghaznawi رحمته الله عليه Hazrat Khajah Abul Hasan Kharaqani رحمته الله عليه Se Mile Tu Aap رحمته الله عليه Ne Pucha Keh Mere Kurte Ka Kya Kiya? Sultan Ne Bataya Keh My Ne Uss Ke Waseele Se Du'wa Mangi Tu Allah Ta'ala Ne Musalmano'n Ku Somnath Par Fatah A'ta Farmai. Hazrat Ne Farmaya Keh Tum Ne Bahut Kam Manga, Agar Tum Unn Kafiro'n Keliye Emaan Ki Du'wa Mangte Tu Insha Allah Somnath Ke I'laqe Ke Tamam Gair Musalmano'n Ku Emaan Ki Daulat Naseeb Hu Jati.


🍀6) Ek Martabah Vazeer-e-Baghdad Ke Pet Me Achanak Aysa Shadeed Dard Utha Keh Itba Ne Bhi Jawab De Diya. Uss Waqt Logo'n Ne Aap رحمته الله عليه Ka Joota Le Jakar Vazeer Ke Pet Par Pher Diya Aur Woh Fauran Hi Sehatyab Hu Gaya.


🍀7) Ek Shaks Ne Aap رحمته الله عليه Se A'rz Kiya Keh Apna Khirqah Mujhe Pehna Dijiye Takeh My Bhi Aap رحمته الله عليه Jaisa Ban Jao'n. Aap رحمته الله عليه Ne Pucha Keh Kya Koi A'urat Mardanah Libaas Pehen Kar Mard Ban Sakti Hai. Tu Inho'n Ne Kaha Hargiz Nahi. Phir Aap رحمته الله عليه Ne Farmaya Keh Jab Yeh Mumkin Nahi Hai Tu Phir Tum Mera Khirqah Pehen Kar Mujh Jaisa Kis Tarah Ban Sakte Hu. Iss Jawab Se Woh Bahut Nah Dam Hova. 


🍀8) Ek Martabah Murideen Samet Aap رحمته الله عليه Ku 7 Din Tak Khana Mayassar Nah Aa Saka Tu Ssatve'n (7th) Din Ek Admi Aatey Ki Bori Aur Ek Bakri Lekar Aaya Aur Aap رحمته الله عليه Ke Darwaze Par Awaz Di Keh Yeh Cheeze'n Sufiya Keliye Lekar Hazir Hova Ho'n. Aap رحمته الله عليه Ne Murideen Se Farmaya Keh Mujh Me Tu Sufi Hone Ki Salahiyat Nahi Hai. Lihaza Tum Se Ju Sufi Hu Woh Jakar Le Le, Laikin Kisi Ne Apne Sufi Hone Ka Da'wa Nahi Kiya Aur Sab Loog Faqah Se Baithe Rahe. 


🍀9) Aap رحمته الله عليه Ke Ek Aur Bhai Bhi The. Lihaza Agar Aap رحمته الله عليه Raat Ku I'badat Me Mashgool Hute Tu Dusre Bhai Puri Raat Maa Ki Khidmat Guzari Karte Rehte. Ek Din Jab Dusre Bhai Ka Number Maa Ki Khidmat Karne Ka Tha. Tu Unho'n Ne Aap رحمته الله عليه Se Kaha Keh Agar Aap (رحمته الله عليه) Aaj Mere Bajai Validah Ki Khidmat Me Reh Jaye'n Tu My Raat Bhar I'badat Karlo'n. Chunanche Aap رحمته الله عليه Ne Ijazat De Di Aur Khud Maa Ki Khidmat Me Rahe. Laikin Ussi Shab I'badat Ki Ibteda Karte Hi Apke Bhai Ne Yeh Gaibi Nida Suni Keh Hum Ne Tumhare Bhai Ki Magfirat Karne Ke Sath Tumhe'n Bhi Inn Ke Tufail Me Baksh Diya. Yeh Sunkar Inhe'n Hairat Hovi Aur Khuda Se A'rz Kiya Keh Ya Allah My Teri I'badat Kar Raha Ho'n Aur Woh Maa Ki Khidmat Guzari Me Hai. Phir Iss Ki Kya Wajah Hai Keh Meri Magfirat Ke Bajai Uss Ki Magfirat Kar Ke Mujhe Usse Ka Tufaili Banaya Gaya. Nida Aai Keh Hame'n Teri I'badat Ki Hajat Nahi Balkeh Muhtaj Maa Ki Khidmat Karne Wale Ki Ita'at Hamare Liye Ba'is-e-Khushnodi Hai.


🍀10) Ek Din Koi Sufi Hawa Me Parwaz Karta Hova. Aap رحمته الله عليه Ke Samne Akar Utra Aur Zameen Par Pao'n Maar Kar Kehna Laga Keh My Apne Daur Ka Juned Wa Shibli Ho'n. Aap رحمته الله عليه Ne Bhi Khade Hukar Zameen Par Pair Maarte Hove Farmaya Keh My Bhi Khuda-e-Waqt Aur Mustafa-e-Waqt Ho'n. Ya'ni Aap رحمته الله عليه Bhi Hazrate Mansoor Hallaj رحمته الله عليه Ki Tarah Maqam-e-Mohviyat Me The Aur Agar Mohviyat Me Auliya-e-Ikram Se Khilafe Shara Bhi Koi Qaul Wa Fe'l Sarzad Huta Tu Unn Ku Bora Nah Kehna Chahiye. Jaisa Keh Huzoor-e-Akram ﷺ Ka Irshad Hai Keh انی لاجد نفس الرحمٰن من قبل الیم.......... Ya'ni My Rehman Ka Nafs Yemen Ki Janib Se Pata Ho'n. 


🍀11) Ek Martabah Aap رحمته الله عليه Ne Yeh Gaibi Awaz Suni Keh Aye Abul Hasan (رحمته الله عليه) Tu Nakireen Se Kiun Nahi Darta. Aap رحمته الله عليه Ne Farmaya Keh Jis Tarah Jawanmard Oont Ki Ghanti Se Khaif Nahi Huta Iss Tarah My Bhi Murdo'n Se Khaufzadah Nahi Huta. Phir Nida Aai Keh Tu Qayamat Se Aur Uss Ki Aziyyat Se Khaufzadah Kiun Nahi Huta? Aap رحمته الله عليه Ne Jawaban Farmaya Keh Jab Tu Mujhe Zameen Se Utha Kar Maidan-e-Hashr Me Khada Kare Ga Tu My Abul Hasan (رحمته الله عليه) Libas Utaar Kar Behr-e-Wahdaniyat Me Gotah Lagao'n Ga Takeh Wahdaniyat Ke Siwa Kuch Baqi Nah Rahe Aur Jab Abul Hasan Hi Nahi Hu Ga Tu Malaikah Kis Par A'zab Kare'n Ge. 


🍀12) Ek Martabah Raat Ku Namaz Me Aap رحمته الله عليه Ne Yeh Gaibi Awaz Suni Keh Aye Abul Hasan (رحمته الله عليه) Teri Kya Yeh Khuwahish Hai Keh Tere Muta'luq Ju Kuch Hum Ku I'lm Hai Uss Ku Maklooq Par Zahir Karde'n? Aap رحمته الله عليه Ne Farmaya Keh Aye Khuda Kya Tu Yeh Chahta Hai Keh Ju Kuch My Tere Karam Se Mushahidah Karta Ho'n Aur Jis Ka Mujhe Teri Rahmat Se I'lm Hai Uss Ku Maklooq Par Khol Do'n. 


🍀13) Ek Khurasani Se Hajj Par Jate Waqt Aap رحمته الله عليه Ne Sawal Kiya Keh Kaha'n Ka Qasad Hai? Uss Ne Jawab Diya Keh Makkah Mua'zzamah Ka, Aap رحمته الله عليه Ne Farmaya Keh Waha'n Kiun Ja Rahe Hu? Uss Ne A'rz Kiya Keh Khuda Ki Talab Me Ja Raha Ho'n. Farmaye Keh Kya Khurasan Me Khuda Nahi Hai? Aur Jaisa Keh Huzoor ﷺ Ne Farmaya Keh I'lm Hasil Karo Khuwah Woh China 🇨🇳 Me Hu. Laikin Yeh Nahi Farmaya Keh Khuda Ki Talash Me Ek Muqam Se Dusre Muqam Tak Jate Phiro Aur Farmaya Keh Jis Saans Me Bandah Khuda Se Khush Hu Jaye Woh Saans Barso'n Ke Saom Wa Salaat Se Afzal Hai.  


🩶 AQWAAL :

✧═════•❁❀❁•═════✧


🗣️1) Har Maklooq Momin Keliye Hijab Hai Aur Nah Jane Momin Iss Daam Wa Hijab Me Kab Phans Jaye.


🗣️2) Ju Bandah Ek Shab Wa Roz Iss Haal Me Guzarde Keh Iss Ki Zaat Se Kisi Musalman Ku Aziyat Nah Pahunche Tu Woh Shaks Ek Shab Wa Roz Huzoor-e-Akram ﷺ Ki Suhbat Me Raha.


🗣️3) Huzoor-e-Akram ﷺ Ke Waris Woh Hi Hain Ju Unn Ke Naqsh-e-Qadam Par Chalte Hain Aur Apne Nama-e-A'maal Me Kabhi Siyah Nishan Nahi Banata.


🗣️4) Farmaya Buzurgo'n Ka Qaul Yeh Hai Keh Ju Mureed A'mal Ke Bal Par A'mal Karta Hai. Iss Keliye A'mal Soodmand Nahi Huta. 


🗣️5) Din Me 3000 Martabha Mar Kar Zindah Hona Chahiye. 


🗣️6) Jab Raah-e-Khuda Me Apni Hasti Ku Fana Karlo Ge Tab Tumhe'n Aysi Hasti Mil Jaye Gi Ju Fana Hone Wali Nahi.


🗣️7) Sufi Woh Hai Jise Din Me Suraj Ki Zaroorat Nahi Huti Aur Raat Me Chand Ki Zaroorat Nahi Huti. Asli Tasawwuf Tu Kho Jana Hai Ya'ni Khud Ke Wajood Ki Zaroorat Nah Hu Kiunkeh Allah Ki Zaat Ke Siwa Kisi Ka Wajood Zaroori Nahi.


🗣️8) Farmaya Keh Nafs Ki Khuwahish, Ek Puri Karne Wala Raah-e-Maula Me Hazaarha Takaleef Bardasht Karta Hai.


🗣️9) Ayse Logo'n Ki Suhbat Iktiyar Karo Ju Atishe Muhabbat Se Khakastar Hu Choke Ho'n Aur Bahre Gham Me Garq Ho'n.


🗣️10) Farmaya Keh Haq Wa Batil Ka Andeshah Karne Wale Ahle Haq Nahi Hu Sakte.


🩶WISAAL :

✧═════•❁❀❁•═════✧


  Wafat Ke Waqt Aap رحمته الله عليه Ne Farmaya Keh Kash Mera Qalb Cheer Kar Maklooq Ku Dikhaya Jata Keh Unn Ku Yeh Ma'loom Hu Jata Keh Khuda Ke Sath Butt😈 Parasti Durust Nahi. Phir Logo'n Ku Wasiyat Farmai Keh Mujhe Zameen Se 30 Gaz Niche Dafan Karna Kiunkeh Yeh Sar Zameen Bustam Ki Sar Zameen Se Ziyadah Buland Hai Aur Yeh Siway Be Adabi Ki Baat Hai. Keh Mazar Hazrat Juned Bustam (رحمته الله عليه) Ke Mazar Se Uncha Hu Jaye. Chunanche Uss Wasiyat Par A'mal Kiya Gaya. Laikin Aap رحمته الله عليه Ki Wafat Se Dusre Hi Din Ek Bijli Si Chamki Aur Logo'n Ne Dekha Keh Ek Safed Patthar Aap رحمته الله عليه Ke Mazar Par Rakha Hova Hai Aur Qareeb Hi Me Sher🐅 Ke Qadmo'n Ke Nishan Hain. Jis Se Yeh Andazah Kiya Gaya Keh Yeh Patthar Sher🐅 Hi Ne Lakar Rakha Hai Aur Ba'z Loog Kehte Hain Keh Aap رحمته الله عليه Ke Mazar-e-Paak Ke Atraf Me Sher🐅 Ku Ghomte Hove Bhi Dekha Gaya. Laikin Zubane Zad Wa Aam Khalq-e-Aam Yahi Hai Keh Aap رحمته الله عليه Ke Mazar Ku Tham Kar Ju Bhi Du'wa Mangi Jaye Gi Woh Zaroor Qabool Hu Gi Aur Bahut Se Tajrubat Bhi Iss Ke Shayad Hain. 


 Ba'z Logo'n Ne Khuwab Me Dekh Kar Aap رحمته الله عليه Se Sawal Kiya Keh Khuda Ne Aap رحمته الله عليه Ke Sath Kya Sulook Kiya? Farmaya Keh Mera A'mal Namah Mere Hath Me De Diya Gaya. Jis Par My Ne A'rz Kiya Keh Tu Mujhe A'maal Name Me Kiun Uljhana Chahta Hai. Jab Keh Mere A'maal Se Qabal Hi Tu Mujh Se Baqobi Waqif Tha Keh Mujh Se Kis Qisam Ke A'maal Sarzad Hu Sakte Hain. Lihaza Mera A'maal Namah Karamin Katibeen Ke Hawale Kar Ke Mujhe Iss Jhanjhat Se Nijat De De. Takeh My Har Waqt Tujh Se Hum Kalam Reh Sako'n. 


  Hazrat Mohammad Bin Hussain رحمته الله عليه Ne Farmaya Keh Ek Martabah My Shaheed Bimar Hova Tu My Khauf-e-Akhirat Se Bahut Hi Mutasir Tha. Ussi Dauran Ek Din Aap رحمته الله عليه (Abul Hasan Kharaqani) A'yadat Keliye Tashreef Laye Aur Mujhe Pareshan Dekh Kar Farmaya Keh Pareshani Ki Koi Baat Nahi Tum Bahut Jald Sehatyab Hu Jao Ge. Laikin My Ne A'rz Kiya Keh Mujhe Bimari Ka Nahi Balkeh Maut Ka Khauf Hai. Aap رحمته الله عليه Ne Farmaya Keh Maut Se Khaif Nah Hona Chahiye Kiunkeh Agar My Tum Se 20 Saal Qabal Hi Mar Jao'n Ga. Jab Bhi A'lam-e-Naza Me Tumhare Paas Aa Jao'n Ga. Iss Liye Tum Maut Se Khaufzadah Mat Hu. Uss Ke Ba'd Mujhe Sehatyabi Hasil Hu Gai Aur Jab Aap رحمته الله عليه Ki Wafat Ke 20 Saal Ba'd Hazrat Mohammad Bin Hussain رحمته الله عليه Marz-ul-Maut Me Mubtila Hove Tu Unn Ke Sahebzade Ka Bayan Yeh Hai Keh Woh Naza'i Kaifiyat Me Iss Tarah Khade Hu Gaye. Jaise Koi Kisi Keliye Ta'ziman Khada Hu Jata Hai. Phir Walaikum Assalam Kaha Aur Jab My Ne Pucha Keh Aap (رحمته الله عليه) Ke Samne Kon Hai? Tu Farmaye Keh Hazrat Sheak Abul Hasan Kharaqani رحمته الله عليه Ne A'lam-e-Jaan Koni Me Aane Ka Wa'dah Farmaya Tha. Lihaza Woh Tashreef Le Aaye Hain Aur Sath Me Dusre Bahut Se Auliya-e-Ikram Bhi Aap رحمته الله عليه Ke Humrah Hain Aur Mujh Se Farma Rahe Hain Keh Maut Se Nah Daro............ Yeh Kehte Hi Inn Ka Inteqal Hu Gaya. 


🩶AZWAJ AUR AULAD 

✧═════•❁❀❁•═════✧


🌹1) Hazratah Bibi ......???..... Sahebah رحمته الله عليها.


1) Hazrat Sheak Hasan رحمته الله عليه.


2) Hazrat Sheak Ahmad رحمته الله عليه.


🩶MUREEDI WA KHILAFAT :

✧═════•❁❀❁•═════✧


 Aap رحمته الله عليه Hazrat Abul Muzaffar Maulana Turk Al-Tusi قدسِ سّرةالعزیز Ke Mureed Aur Khilafa Hain. 


🩶KHULAFA :

✧═════•❁❀❁•═════✧


1) Hazrat Khaja A'bdullah Ansari قدسِ سّرةالعزیز. 

 (Herat, Afghanistan)


2) Hazrat Khajah Hasan Al-Khudaqali رحمته الله عليه.


3) Hazrat Khajah Abul Qasim Gurgani Farmadi رحمته الله عليه.


🩶SILSILA-E-MUREEDI WA KHILAFAT :

✧═════•❁❀❁•═════✧


🌹1) Hazrat Khajah Abul Hasan A'li Kharaqani قدسِ سّرةالعزیز.


🌹2) Hazrat Sheak Abul Muzaffar Turk Al-Tusi قدسِ سّرةالعزیز.


🌹3) Hazrat Sheak Abu Yazeed A'kki قدسِ سّرةالعزیز.


🌹4) Hazrat Sheak Mohammad Maghribi قدسِ سّرةالعزیز.


🌹5) Sultan-ul-A'rifeen Hazrat Khajah Bayazeed Bustami قدسِ سّرةالعزیز.


🌹6) Hazrat Imam Ja'far Sadiq رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ.


🌹7) Hazrat Imam Mohammad Baqar رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ.


🌹8) Hazrat Imam Zain-ul-A'bideen رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ.


🌹9) Hazrat Imam Hussain Shaheed-e-Karbala علیہ الصلواۃ و السلام.


🌹10) Hazrat Imam Hasan علیہ الصلواۃ و السلام.


🌹11) Hazrat Maula A'li کرم اللہ وجہہ الکریم.


🌹12) Hazrat Mohammad Mustafa Rasool Allah ﷺ🌹

▭▬▭▬▭▬▭▬▭▬▭▬▭▬▭▬▭


D.O.D :

 Wednesday / 10 Moharram 425 A.H / 5 December 1033 A.D


Holy Grave :

 Kharaqan, Simnan, Iran 🇮🇷.


✍🏻 *Written By: Bandah Haqeer Mustaqeem Mehdavi*


لا الہ    الا اللہ    محمد   رسول      اللہؐ


اللہ           الھنا           محمد        نبیّٗنا 


القرآن  و  المہدیؑ  امامنا  آمنا و صدقنا


✉️ *Post By: Raah-e-Haq Mehdaviyat* ✒️


Tuesday, July 25, 2023

Hazrat Bandagi Meeran Syed Khuda Bakash Urf Saidu Miyan Shaheed rh (Arcot)

 Hazrat Bandagi Meera'n Syed Khuda Bakash U'rf Saidu Miya'n Shaheed رحمته الله عليه


🌲Salana U'rs-e-Mubarak 273th🌲


#BEHR_E_AAM_MUBARAK :

  Wednesday / 7 Moharram 1445 A.H / 26 July 2023 C.E


#URS_E_MUBARAK :

 Thursday / 8 Moharram 1445 A.H / 27 July 2023 C.E

▭▬▭▬▭▬▭▬▭▬▭▬▭▬▭▬▭


Naam :

 Syed Khuda Bakash رحمته الله عليه.


Valid :

 Hazrat Bandagi Meera'n Syed Mehmood Al-Ma'roof Nanhe Meera'n Saheb رحمته الله عليه.


Validah :

 Hazratah Syedah Bibi Bano Bi Sahebah رحمته الله عليها.

D/o: Hazrat Bandagi Meera'n Syed Ashraf رحمته الله عليه.

S/o: Hazrat Bandagi Meera'n Syed Ja'far رحمته الله عليه.

S/o: Hazrat Bandagi Meera'n Syed Meeranji رحمته الله عليه.

S/o: Hazrat Bandagi Meera'n Syed Ashraf Barah Bani Israel رحمته الله عليه.


D.O.B :

.


P.O.B :

.


U'rfiyat :

 Haji Saidu Miya'n Saheb.


B.R.O :

 1) Hazrat Bandagi Meera'n Syed Meeranji Miya'n Shaheed رحمته الله عليه.

 (Madfan, Adoni)


 2) Hazrat Bandagi Meera'n Syed Qasim Shaheed رحمته الله عليه.

 (Madfan, Adoni)


 3) Hazrat Bandagi Meera'n Syed Khoob Saheb Miya'n رحمته الله عليه.


 4) Hazrat Bandagi Meera'n Syed Khanji U'rf Majzoob Miya'n Saheb رحمته الله عليه.


S.I.S :

 1) Hazratah Syedah Bibi Achche Sahebah U'rf Lad Bi رحمته الله عليها.

W/o: Hazrat Bandagi Meera'n Syed Raoshan Miya'n Bin Bawa Saheb Miya'n رحمته الله عليه.


 2) Hazratah Syedah Bibi Khuwajah Zadi Bi Sahebah رحمته الله عليها.

W/o: Hazrat Bandagi Miya'n Khoob Saheb Miya'n Noori رحمته الله عليه.


 3) Hazratah Syedah Bibi Ahmad Bi Sahebah رحمته الله عليها.


D.O.D :

 Monday / 8 Moharram 1172 A.H / 11 September 1758 A.D


Holy Grave :

 (There is no grave marker) Arcot, Tamil Nadu, Hind 🇮🇳. 

▭▬▭▬▭▬▭▬▭▬▭▬▭▬▭▬▭


🌲NASAB NAMAH :

═••••┅═❁♦♥♦❁═┅••••═


👇🏻1} Hazrat Bandagi Meera'n Syed Khuda Bakash U'rf Haji Saidu Miya'n Shaheed رحمته الله عليه Ibne

 (Madfan: Arcot, Tamil Nadu)


👇🏻2} Hazrat Bandagi Meera'n Syed Mehmood Al-Ma'roof Nanhe Meera'n Saheb رحمته الله عليه Ibne


👇🏻3} Hazrat Bandagi Meera'n Syed Qasim رحمته الله عليه Ibne

 (Madfan: Chichond, Maharashtra)


👇🏻4} Hazrat Bandagi Meera'n Syed Ibrahim Al-Ma'roof Bade Meera'n Saheb رحمته الله عليه Ibne

 (Madfan: Bijapur, Karnataka)


👇🏻5} Hazrat Bandagi Meera'n Syed  Zain-ul-A'bdeen رحمته الله عليه Ibne

 (Madfan: Manchappa, Telangana)


👇🏻6} Hazrat Bandagi Meera'n Syed Hussain رحمته الله عليه Ibne

 (Madfan: Bijapur, Karnataka)


👇🏻7) Hazrat Bandagi Meera'n Syed A'bdulhai U'rf Raoshan Monawwar رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ibne

 (Madfan: Bhilot Shareef, Radhanpur, Gujrat)


👇🏻8} Awwal Meera'n Huzoor Syedana Syed Mehmood Sani-e-Mehdi رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ibne

 (Madfan: Bhilot Shareef, Radhanpur, Gujrat)


🌹9} Imam-ul-Kainat Huzoor Meera'n Syed Mohammad Mehdi Maud علیہ الصلواۃ و السلام.

▭▬▭▬▭▬▭▬▭▬▭▬▭▬▭▬▭


🌲TAZKIRAH MIYA'N KHUDA BAKASH رحمته الله عليه :

═••••┅═❁♦♥♦❁═┅••••═


  Daim-e-Mustagraq, Muqtada-e-Afrad, Peshwa-e-Autad, A'rife Haqqani, Muqarrabe Rabbe Zul Jalal Hazrat Bandagi Meera'n Syed Khuda Bakash U'rf Haji Saidu Miya'n Shaheed رحمته الله عليه Inn Alqaab Ke Sath Mashoor Hain. Aap رحمته الله عليه Kamil Murshid The. Nihayat Buland Himmat Aur Saheb-e-Vilayat Qavi The. Aap رحمته الله عليه Tamam Maratib Se Guzar Kar Muqam-e-Fardaniyat Par Pahunch Choke The. Aap رحمته الله عليه Ka Shomar Buzurgan-e-Rozgar Aur A'rifan-e-Sahebe Israr Me Huta Hai. Aap رحمته الله عليه Ne Raah-e-Haq Me Jam-e-Shahadat Nosh Farmaya Hai. 


 Haji Saidu Miya'n Shaheed رحمته الله عليه Apne Valid-e-Buzurgwar Ke Mureed Aur Faqeer Hain Aur Tehseel-e-U'loome Zaheri Wa Batini Bhi Apne Valid-e-Buzurgwar Se Iktesab Kiya Hai. Hameshah Zikarullah Me Mashgool Rehte The. Jab Apke Dil Me Talab-e-Haq Paida Hovi Tu Valid-e-Buzurgwar Se Kaha, Hazrat Ne Apka Haal Dekh Kar Mushahidah Kiya Tu Roohe Sani-e-Mehdi رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Se Farman Mila Ke Saidu Miya'n Apni Talab Me Kamil Hain. Aap Unhe'n Faqeer Karo. Uss Waqt Haji Saidu Miya'n رحمته الله عليه Taqreeban 10 Saal Ke The. Tark-e-Dunya Ke Ba'd Valid-e-Buzurgwar Ki Khidmat-e-Aqdas Me Pewsat Hu Gaye Aur Hazrat Ke Faiz-e-Suhbat Se Martaba-e-Takmeel Wa Irshad Ku Pahunche. Aap رحمته الله عليه Par Istegraq Ka Bahut Galba Rehta Tha. Jis Shaks Ku Saidu Miya'n رحمته الله عليه Ki Halat Ka I'lm Nah Huta Woh Samajhta Tha Keh Aap رحمته الله عليه Ku Neend Aa Rahi Hai. Ek Martabah Ek Shaks Aap رحمته الله عليه Se Mulaqat Keliye Aaye. Aap رحمته الله عليه Hujre Me Tashreef Farma The Aur Apni Halat Ke Mutabiq Apne Haal Me Mustagraq The. Unhe'n Khayal Hova Keh Shayad Aap رحمته الله عليه Ku Neend Aa Rahi Hai Aur Kaha Agar Aap رحمته الله عليه Aram Karna Chahe'n Tu Aram Farmaye'n. Saidu Miya'n رحمته الله عليه Ne Muskurate Hove Farmaya Keh Kya Tumhara Iss Baat Par I'teqad Nahi Hai Keh Hum Neend Se Mubarra Hain.


  Valid-e-Buzurgwar Ki Wafat Ke Ba'd Aap رحمته الله عليه Harmain Tashreef Le Gaye Aur Wapasi Me Farah Mubarak Hute Hove Hind Tashreef Laye. Baap Ke Ba'd Hazrat Bandagi Meera'n Syed Ya'qoob Tawakkali رحمته الله عليه Se I'laqa-e-Bay'yat Kiya Aur Inhi'n Ki Suhbat Me Rehkar Darja-e-Kamal Ku Pahunche. Irshad Ka Hukum Bhi Tha Magar Aap رحمته الله عليه Alag Rehkar Murshidi Karne Se Iss Liye Mana Farmaya Diya Keh Hazrat Ya'qoob Tawakkali رحمته الله عليه Ki Suhbat-e-Mubarak Se Duri Nah Hu Jaye. 


 Jis Zamane Me Saidu Miya'n رحمته الله عليه Kadapa Me Apne Murshid Ke Daire Me The. Raichur (Karnataka) Ka Nawab Shukur Ullah Tha. Isse Mehdaviyo'n Se Bahut A'dawat Thi. Hazrat Bandagi Meera'n Syed Mubarak رحمته الله عليه Nabiraye Bandagi Meera'n Syed Ashraf Barah Bani Israel رحمته الله عليه Ka Dairah Bhi Raichur Me Bade Talaab Ke Paas The. Nawab Zalim Ne Hazrat Bandagi Meera'n Syed Mubarak رحمته الله عليه Aur Apke Daire Ke Fuqra Ku Iss Liye Achanak Shaheed Kar Diya Keh Unho'n Ne Shab-e-Qadar Ki Raat Me Tasbeeh Di Yeh Waqiyah 27 Ramzan 1168 A.H Ka Hai. Nawab Zalim Miya'n Aur Fuqra Ku Shaheed Karne Ke Ba'd Iss Khauf Se Keh Kahi'n Mehdavi Iss Ku Qasas Me Qatal Nah Kar De'n Raichur Cho'dd Kar Vellore (Tamil Nadu) Chala Gaya.............. Aur Waha'n Jakar Nawab Murtuza Quli Vellore Ke Paas Panah Li. Hazrat Bandagi Meera'n Syed Mubarak رحمته الله عليه Aur Daire Ke Fuqra Ki Shahadat Ki Khabar Charo'n Taraf Aag🔥 Ki Tarah Phail Gai. Yeh Shahadat Ki Khabar Hazrat Bandagi Meera'n Syed Ya'qoob Tawakkali قدسِ سّرةالعزیز Ke Daire Ku Pahunchi. Miya'n Iss Khabar Ku Sunkar Nihayat Ghamgeen Hove Aur Hazrat Bandagi Meera'n Syed Khuda Bakash U'rf Saidu Miya'n رحمته الله عليه Ku Nihayat Ranj Pahuncha. Ek Din Aap رحمته الله عليه Ne Khuwab Dekha Keh Nawab Shukur Ullah (لعنت اللہ علیہ) Ku Qatal Kar Rahe Hain. Apne Murshid Syed Ya'qoob Tawakkali رحمته الله عليه Se Mu'amlah A'rz Kiya Aur Farmaye Raza-e-Khundkaar Hu Tu Jakar Shukur Ullah Ku Qatal Kar Do'n Keh Woh Miya'n Syed Mubarak رحمته الله عليه Aur Fuqra Ka Qatil Hai. Inn Shaheedo'n Ke Qassa Me Uss Ka Qatal Hona Haq Bah Janib Hai. Hazrat Bandagi Meera'n Syed Ya'qoob Tawakkali رحمته الله عليه Raza-e-Ilahi Milne Ka Intezar Karte Hain Aur Abhi Jakar Qatal Karne Se Rok Dete Hain. 


  Hazrat Bandagi Meera'n Haji Saidu Miya'n رحمته الله عليه Murshid Ka Farman Sunkar Khamosh Hu Jate Hain. Jab Bandagi Meera'n Syed Ya'qoob Tawakkali رحمته الله عليه Kadapa Se Daulatabad Ba Garz Ziyarate Buzurga'n Tashreef Le Gaye Tu Haji Saidu Miya'n رحمته الله عليه Bhi Sath The. Daulatabad Se Wapasi Me Hazrat Bandagi Meera'n Syed Ya'qoob Tawakkali رحمته الله عليه Ke Humrah Hyderabad Aaye. Yaha'n Aane Ke Ba'd Baseetpura (Jis Ku Ab Kacheguda Kehte Hain) Hazrat Bandagi Meera'n Syed Shah Ibrahim رحمته الله عليه Ki Ziyarat Ku Subah Sawera Pahunche Aur Ziyarat Ke Ba'd Qabar-e-Shareef Ke Paas Khade Hukar Haji Saidu Miya'n رحمته الله عليه Ku Talab Kar Ke Farmaya...! Saidu Miya'n (رحمته الله عليه) Ab Tum Issi Waqt Kadapa Chale Jao, Tumhara Maqsood Pura Hu Ga Aur Apna Iradah Kisi Par Zahir Nah Karo. Haji Saidu Miya'n رحمته الله عليه Kadapa Jakar 3 / 4 Roz Apne Ghar Me Rahe Aur Apne Ahal Wa A'yaal Ku Bhi Khabar Nah Di Aur Kuch Nah Kaha Aur Khamosh Vellore Chale Gaye. Aap رحمته الله عليه Ke Humrah Aap رحمته الله عليه Ke Khadim E'tebar Bhai رحمته الله عليه Bhi The. 7 Moharram 1172 Hijri Itwar Ke Din Haji Saidu Miya'n رحمته الله عليه Nawab Murtuza Quli Ke Darbar Me Gaye. Zalim Shukur Ullah Waha'n Maujood Tha. Raat Ka Waqt Tha. Subah 8 Moharram Thi. Nawab Zalim Aap رحمته الله عليه Ku Dekh Kar Pehchan Gaya Keh Mehdavi Hain Aur Shayad Badla Lene Aaye Hain. Aap رحمته الله عليه Ne Bahre Darbar Me Shukur Ullah Ku (Ju Apku Dekhte Hi Uth Kar Bhagna Chah Raha Tha) Lapak Kar Pakad Kar Khincha Aur Uss Ku Niche Gira Kar Qatal Kar Diya. Nawab Murtuza Quli Yeh Manzar Dekh Shashdar Reh Gaya Aur Sipahiyo'n Ku Hukum Diya Fauran Haji Saidu Miya'n Saheb (رحمته الله عليه) Ku Giraftar Kar Liya Jaye. Hazireen-e-Darbar Ne Aap رحمته الله عليه Par Hamlah Kiya Aap رحمته الله عليه Ne 2 Ya 4 Ku Maar Diya. Magar Aap رحمته الله عليه Ku Bhi Zakhamkari Laga Aur Aap رحمته الله عليه Ussi Darbar Me Ek Sipahi Ke Talwar Se Zakham Kha Kar Shaheed Hu Gaye إِنَّا لِلّهِ وَإِنَّـا إِلَيْهِ رَاجِعونَ................ E'tebar Bhai رحمته الله عليه Bhi Apni Talwar Se 4 Logo'n Ku Jahannam Raseed Kar Gazi Hu Gaye.


  Haji Saidu Miya'n Shaheed رحمته الله عليه Ki Shahadat Ki Khabar Vellore Ke Mehdaviyo'n Ku Lagi Sab Nawab Ke Darbar Me Ghus Gaye Aur Qaid Khane Se E'tebar Bhai Ku Riha Kar Liya Aur Hazrat Bandagi Meera'n Syed Khuda Bakash U'rf Haji Saidu Miya'n Saheb Shaheed رحمته الله عليه Ke Jasad-e-Mubarak Ku Lekar Aaye. Udhar Tab Tak Hazrat Bandagi Meera'n Syed Ya'qoob Tawakkali رحمته الله عليه Kadapa Pahunch Choke Tha. Miya'n Ku Shahadat Ka Il'm Kashf Se Hova Aur Aap رحمته الله عليه Ne Sare Daire Ku Jama Kar Haji Saidu Miya'n Saheb Shaheed رحمته الله عليه Ki Gaibana Namaz-e-Janazah Ada Ki Aur Idhar Vellore Ke Mehdavi Loog Hazrat Ku Arcot Le Jakar Hazrat Bandagi Miya'n Syed Yusuf رحمته الله عليه Ke Hazire Me Supurd-e-Khaak Kar Diya. Hazrat Ya'qoob Tawakkali رحمته الله عليه Ne Haji Saidu Miya'n Saheb Shaheed رحمته الله عليه Ku Ju Pehle Maarne Ki Ijazat Nahi Di Iss Ki Wajah Yeh Thi Keh Uss Mal'oon Ki Hayat Baqi Thi. Haji Saidu Miya'n Saheb Shaheed رحمته الله عليه Ki Tareekh-e-Shahadat Baroze Peer / 8 Moharram 1172 Hijri Hai. 


  E'tebar Bhai Ju Gazi Hove Kadapa Aane Ke Ba'd Sara Waqiyah Shahadat Ka Sonaya Aur Miya'n Ke Biwi Ne Sara Waqiya Sunkar Bahut Khush Hovi'n Aur Bade Fakar Se Farmaya *"My Shaheed Ki Biwi Ho'n"* Hazrat Ya'qoob Tawakkali رحمته الله عليه Ne Pore Zorr Daar Tareeqe Se Haji Saidu Miya'n Saheb Shaheed رحمته الله عليه Ka Chehlum Kiya Aur Sawiyat Bhi Ki. 

▭▬▭▬▭▬▭▬▭▬▭▬▭▬▭▬▭


🌲ZAUJAH AUR AULAD :

═••••┅═❁♦♥♦❁═┅••••═


🌹1) Hazratah Syedah Bibi Bowwa Bi Saheb رحمته الله عليها.

D/o: Hazrat Bandagi Meera'n Syed Yadullah رحمته الله عليه.


1) Hazrat Meera'n Syed Mehmood Al-Ma'roof Meera'n Saheb Al-Mashoor Bah Miya'n Lakhi رحمته الله عليه.

 (Aap رحمته الله عليه Ka Lakhi Mashoor Hone Ki Wajah Yeh Keh Aap رحمته الله عليه Hathiyo'n 🐘🐘🐘 Ke Tajir The Aur Lakho'n Rupiye Kamaye Iss Liye Miya'n Lakhi Se Mashoor Hu Gaye)


2 Betiya'n Thi Ek Ka Nikah Hazrat Bandagi Meera'n Syed Shah Saheb Miya'n رحمته الله عليه Ibne Hazrat Bandagi Meera'n Syed Raoshan Miya'n رحمته الله عليه Ku Di Gai'n Aur Dusre Beti Ka Naam Nahi Ma'loom.

▭▬▭▬▭▬▭▬▭▬▭▬▭▬▭▬▭


✍🏻 *Written By: Bandah Haqeer Mustaqeem Mehdavi*


لا الہ    الا اللہ    محمد   رسول      اللہؐ


اللہ           الھنا           محمد        نبیّٗنا 


القرآن  و  المہدیؑ  امامنا  آمنا و صدقنا


✉️ *Post By: Raah-e-Haq Mehdaviyat* ✒️


Hazrat Bandagi Miyan Syed Jalal Ibne Shahab-ul-Haq rh

 Hazrat Bandagi Miya'n Syed Jalal Ibne Shahab-ul-Haq رحمته الله عليه


🌽Salana U'rs-e-Mubarak 451th🌽


#BEHR_E_AAM_MUBARAK :

  Monday / 5 Moharram 1445 A.H / 24 July 2023 C.E


#URS_E_MUBARAK :

 Tuesday / 6 Moharram 1445 A.H / 25 July 2023 C.E


Naam :

 Syed Jalal رحمته الله عليه.


Valid :

 Hazrat Bandagi Miya'n Syed Shahab Uddin Shahab-ul-Haq رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ.


Validah :

 Hazratah Bibi Manji Sahebah رحمته الله عليها.

D/o: Hazrat Bandagi Miya'n Malik Ahmad رحمته الله عليه.

S/o: Hazrat Malik Sheak رحمته الله عليه.


D.O.B :

  944 A.H / 1537 A.D


P.O.B :

 Kapadvanj Shareef, Gujrat, Hind 🇮🇳. 


B.R.O :

 1) Hazrat Bandagi Miya'n Syed Khund Sa'eed رحمته الله عليه.


 2) Hazrat Bandagi Miya'n Syed Yahya Shaheed رحمته الله عليه.

 (Dantiwada)


 3) Hazrat Bandagi Miya'n Syed E'sa Shaheed رحمته الله عليه.

 (Dantiwada)


 4) Hazrat Bandagi Miya'n Syed Vali رحمته الله عليه.


 5) Hazrat Bandagi Miya'n Syed Ismail رحمته الله عليه.

 (Bachpan Me Wafat Paye)


S.I.S :

 1) Hazratah Syedah Bibi Boji Kusa'n Sahebah رحمته الله عليها.

W/o: Hazrat Bandagi Miya'n Malik Yusuf رحمته الله عليه.

S/o: Hazrat Bandagi Miya'n Malik Hammad Shaheed رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ.


 2) Hazratah Syedah Bibi Bowwa Fatah رحمته الله عليها.

W/o: Hazrat Bandagi Miya'n Syed Meeranji رحمته الله عليه.

S/o: Hazrat Bandagi Miya'n Syed Khuda Bakash رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ.

S/o: Ameer-ul-Musaddiqeen Hazrat Bandagi Miya'n Syed Khundmeer Siddiq-e-Vilayat Sair-e-Vilayat رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ.


 3) Hazratah Syedah Bibi Bowwa Salam رحمته الله عليها.

W/o: Hazrat Bandagi Miya'n Syed Shareef Mohammad رحمته الله عليه.

 (Nawase Sani-e-Mehdi رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ)


D.O.D :

  Saturday / 6 Moharram 994 / 28 December 1585 A.D 


Holy Shrine :

 Jalore Shareef, Rajasthan, Hind 🇮🇳. 


🌽TAZKIRAH MIYA'N JALAL رحمته الله عليه :

❖═════ ✥.❖.✥ ═════❖ 


  Aan A'lim Bau'loom-e-Rabbani, Aan Mehrame Israr-e-Subhani, Aan Ganjinay-e-Halm Wa Haya, Muqtada-e-Kamile Waqt Hazrat Bandagi Miya'n Syed Jalal رحمته الله عليه Bahut Buzurg Kamil Wa Akmal The. Aap رحمته الله عليه I'lm Wa Zohad Wa Taqwa Se Arastah The Aur Surat Wa Seerat Me Apne Taya Hazrat Bandagi Miya'n Syed Jalal Tohfay-e-Lazayal Shaheed Dar Jung-e-Badre Vilayat رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ke Moshabah The. Jab Aap رحمته الله عليه Ki Viladat Hovi. Apke Valid-e-Buzurgwar Ne Apne Bade Bhai Ke Naam Par Apka Naam Syed Jalal (رحمته الله عليه) Rakha. Malik Ilahdad Khalifa-e-Geroh رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ne Viladat Ki Khabar Sunkar Khush Hove Aur Chaboji رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ke Ghar Tashreef Laye Phir Farmaya Chaboji (رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ) Tum Ne Yeh Sahi Kiya Keh Apne Biradar Ka Naam Rakha Aur Seene Se Laga Kar Farmaye Ju Kuch Allah Ta'ala Ne Iss Seene Me A'ta Kiya Wahi Iss Seene Me Bhi A'ta Kiya Hai. Jab Sawiyat Huti Ek Hissah Aap رحمته الله عليه Ka Bhi Khalifa-e-Geroh رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Diya Karte The. 


 8 Saal Ke Hove Tu Shahab-ul-Haq رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ke Hath Par Bay'yat Se Musharraf Hove Aur Tark-e-Dunya Kar Suhbat Me Rahe. Ek Lamhe Keliye Bhi Suhbat Se Juda Nah Hute The. Jab Valid-e-Buzurgwar Ka Wisaal Hu Gaya Ba'd Miya'n Syed Jalal رحمته الله عليه Chan'd Roz Tak Hazrat Shahab-ul-Haq رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ki Qabar-e-Mubarak Ke Paas Nihayat Ranj Wa Alm Se Baithe Rahe. Daswe'n Roz Khatim-ul-Murshid رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Waha'n Aaye Aur Miya'n Jalal رحمته الله عليه Se Farmaya Keh Yeh Jaye Adab Hai. Sone Aur Be Wazu Rehne Ki Jagah Nahi Hai. Miya'n Syed Jalal رحمته الله عليه Ne A'rz Kiya Chacha Miya'n Ku Ma'loom Hai Vali Ne'mat Hamare Saro'n Se Uth Gaye Hain.................. Dard-e-Firaq Ki Wajah Se Yaha'n Akar Baith Gaya Ho'n. Hazrat Khatim-ul-Murshid رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ne Farmaya Mere Farzand Syed Jalal (رحمته الله عليه) My Tere Sar Par Hakim Ho'n. Hamare Sar Par Bandagi Miya'n رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ke Jaise Hakim The Woh Uth Gaye Hain. Phir Farmaye Aye Syed Jalal (رحمته الله عليه) Tu Mard Ka Beta Hai Mard Ban Baap Ki Masnad Par Baith My Teri Khidmat Ayse Hi Karo'n Ga. Jaise Talib Apne Murshid Ki Karta Hai. Phir Farmaya Apne Baap Ki Jagah Baitho Aur Quran Ka Bayan Karo. My Tumhare Aage Zano'n Teh Kar Ke Quran Ka Bayam Suno'n Ga. Jaise Koi Naya Talib Dunya Tarak Kar Ke Aaya Hova Sunta Hai. Irshad Ka Haq Tum Ku Pahunchta Hai Hum Ku Nahi.............. 


  Phir Hazrat Bandagi Miya'n Syed Jalal رحمته الله عليه Ne A'rz Kiya Chacha Miya'n Ji Agar Abba Ji Ki Zuban-e-Mubarak Se Kuch Suna Huta Tu Aysa Karne Ka Khayal Aata. Laikin Abba Ji Ki Zuban-e-Mubarak Se Aysi Koi Baat My Ne Nahi Suni Aur Chacha Miya'n Ji Ki Zaat Ke Hute Hove Ju Hamare Saro'n Par Vali Ne'mat Ke Manind Hain. Hum Kaise Khundkaar Ke Huzoor Me Bayan-e-Quran Kar Sakte Hain Yeh Hame'n Zaib Nahi Deta. Chacha Miya'n Hi Bayan-e-Quran Farmaye'n. Tabhi Se Hazrat Bandagi Miya'n Shahab-ul-Haq رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ki Sari Ijma Saidanji Khatim-ul-Murshid رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ke Huzoor Me Reh Gai. Miya'n Syed Jalal رحمته الله عليه Apne Dairah Saidanji رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ku Somp Diya Aur Aap رحمته الله عليه Bhi I'laqah Kar Reh Suhbat-e-Babarkat Me Reh Gaye. Miya'n Syed Jalal رحمته الله عليه Aur Dusre Sahaba-e-Ikram Ke Israr Par Saidanji Khatim-ul-Murshid رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ne Shahab-ul-Haq رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ki Masnad Par Jalwa Afroz Hukar Bayan-e-Quran Kiya Aur Sawiyat Di Aur Sab Ijma Aap رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ki Taraf Mutawajjah Hu Gai. 


  Riwayat Me Aaya Hai Keh Hazrat Shahab Uddin Shahab-ul-Haq رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ne Apne Farzando'n Ku Farmaya Keh Murshidi Mat Karo Aur Quwwat-e-Layamoot Hasil Karo Aur Hazrat Saidanji Khatim-ul-Murshid (رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ) Ki Suhbat Se Juda Rehne Se Mana Kiya Hai Aur Suhbat Me Rehne Ki Targheeb Dilai Hai. 


 Riwayat Hai Keh Bandagi Miya'n Syed Jalal رحمته الله عليه Apni Naza Ke Waqt Jalore Shareef Me Hazrat Saidanji Khatim-ul-Murshid رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ki Rish Mubarak (داڑھی مبارک) Hath Me Pakad Kar Baar Baar Israr Kar Ke Muqam-e-Mehmood Ki Arzoo Kar Rahe The Aur Sadqa-e-Mehmooda, Sadqa-e-Mehmooda, Sadqa-e-Mehmooda Keh Rahe The. Uss Waqt Hazrat Bandagi Miya'n Syed A'bdul Qadir Al-Ma'roof Syed Qadin Ibne Bandagi Miya'n رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ne Farmaya Keh Syed Jalal Tu Bhi Tu Kisi Ka Hai, Itni A'jizi Kiun Kar Raha Hai, Kaha Khanji Chacha Kiya Karo Duzak Aur Jannat Ki Kunjiya'n Chacha Miya'n Ke Hath Me Dekh Raha Ho'n. 


  Hazrat Bandagi Miya'n Syed Mehmood Saidanji Khatim-ul-Murshid رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ne Farmaya Keh Bhai Syed Jalal (رحمته الله عليه) Ku A'qle Noori A'ta Ki Gai Hai. Uss Ke Ba'd Farmaya Syed Jalal (رحمته الله عليه) Tere Baap Ki Aur Tere Dada Ki Jagah Teri Jagah Hai 🌹Subhan Allah🌹 Uss Ke Ba'd Hazrat Bandagi Miya'n Syed Jalal رحمته الله عليه Ibne Shahab-ul-Haq رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ki Rooh-e-Mubarak Parwaz Kar Gai إِنَّا لِلّهِ وَإِنَّـا إِلَيْهِ رَاجِعونَ.


🌽ZAUJAH AUR AULAD :

❖═════ ✥.❖.✥ ═════❖


🌹1) Hazratah Bibi .......???....... Sahebah رحمته الله عليها.


1) Hazrat Bandagi Miya'n Syed Burhan Uddin Shaheed رحمته الله عليه.

 (Dantiwada, Gujrat)


2) Hazrat Bandagi Miya'n Syed Vali رحمته الله عليه.


✍🏻 *Written By: Bandah Haqeer Mustaqeem Mehdavi*


لا الہ    الا اللہ    محمد   رسول      اللہؐ


اللہ           الھنا           محمد        نبیّٗنا 


القرآن  و  المہدیؑ  امامنا  آمنا و صدقنا


✉️ *Post By: Raah-e-Haq Mehdaviyat* ✒️


Friday, July 21, 2023

Hazrat Bandagi Miyan Abdul Lateef Ibne Tashreef Ullah Tashreef-e-Haq rh

 Hazrat Bandagi Miya'n Syed A'bdul Lateef Ibne Tashreef Ullah رحمته الله عليه


🧅Salana U'rs-e-Mubarak 416th🧅


#BEHR_E_AAM_MUBARAK :

 Saturday / 3 Moharram 1445 A.H / 22 July 2023 C.E


#URS_E_MUBARAK :

 Sunday / 4 Moharram 1445 A.H / 23 July 2023 C.E


Naam :

 Syed A'bdul Lateef رحمته الله عليه.


Valid :

 Hazrat Bandagi Miya'n Syed Shareef Ji Al-Ma'roof Tashreef Ullah Tashreef-e-Haq رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ.


Validah :

 Hazratah Bibi Bo Bo Ji Kusa'n U'rf Khoob Achcho Sahebah رضی اللہ عنہا.

 (7 Sha'ban Ku Jalgao'n Me Rehlat Farmaye)


D.O.B :

 954 A.H / 1547 A.D


P.O.B :

 Khambel Shareef, Gujrat, Hind 🇮🇳. 


U'rfiyat :

 Manjhle Miya'n Saheb. 


B.R.O :

 1) Hazrat Bandagi Miya'n Syed Sa'ad Ullah Al-Ma'roof Asad Ullah Gazi رحمۃ اللہ علیہ.


 2) Hazrat Bandagi Miya'n Syed A'bdul Wahab رحمۃ اللہ علیہ.


S.I.S :

 1) Hazratah Syedah Bibi Bowwa Ummat-ul-Kareem رحمته الله عليها.

W/o: Hazrat Bandagi Miya'n Malik Salar Olachi رحمته الله عليه.


 2) Hazratah Syedah Bibi Bowwa Hameerah U'rf Raje Bi Sahebah رحمته الله عليها.

W/o: Hazrat Bandagi Miya'n Syed Yahya Shaheed رحمته الله عليه (Dantiwada).


D.O.D :

 Wednesday / 4 Moharram 1029 A.H / 11 December 1619 A.D


Holy Shrine :

 (There is no grave marker) Bijapur, Karnataka, Hind 🇮🇳. 


🧅HALAAT WA MANAQIB :

┄─═✧═✧═✧═✧═─┄


  Saif-ul-Lisa'n, Mehboob Al-Subha'n, Akmal-ul-Ashraf Bandagi Miya'n Syed A'bdul Lateef رحمته الله عليه Talqeen Wa Suhbat Pidr-e-A'ali Qadr Se............. Aap رحمته الله عليه Ki U'rfiyat Manjhle Miya'n Saheb Hai. Aap رحمته الله عليه Karamaat-e-A'aliyah Wa Manaqib-e-Mata'liyah Rakhte Hain. Bachpan Se Atho'n (8th) Peher Ke Zakir Aur Har Din Deedar-e-Khuda Hasil Tha. Shari'at Wa Vilayat Ke Ahkam Ki Sakti Se Paband The Aur Farmate The Keh Musaddiq Ku Chahiye Woh A'mal Karne Me Kutahi Na Kare Warnah Vilayat Ke Behra Hasil Nahi Huga. 


  Riwayat Hai Keh Ek Roz Bandagi Miya'n Syed A'bdul Lateef رحمته الله عليه Bachpan Me Jalgao'n Me Daire Ke Bahar Bachcho'n Ke Sath Khel Rahe The. Jaha'n Khel Rahe The Ussi Jagah Hanuman Ki Murti Thi Aur Miya'n Uss Ke Paas Pahunche Jab Uss Murti Ke Muqabil Aaye Woh Jhok Gaya. Phir Miya'n Ne Farmaya Chhand Chhand (Ogal), An-Hazrat Ke Itna Farmane Se Uss Ke Moo Se Soone Ke Sikke (Gold Coin 💰🪙) Nikal Ne Lage. Dubara Se Miya'n Ne Farmaya Nigal Ja Iss Hukum Ke Sath Hi Sab Sikke Nigal Gaya. Magar Ek Sikkah Cho'dd Diya Tu Miya'n Ji Ne Apne Sath Khel Rahe Bachcho'n Se Farmaya Keh Yeh Sikkah Ju Baqi Hai. Tumhari Ziyafat Keliye Allah Ke Waste Diya Hai. Inn Bachcho'n Ne Mewa Lekar Khaliya. Ek Hindu Durr Se Yeh Sab Dekh Raha Tha Uss Ne Gao'n Me Jakar Yeh Sab Ankho'n Dekha Tamashah Apne Logo'n Se Kaha Aur Kaha Yeh Tu Parmeshwar (Allah) Hai. Yeh Sunkar Gao'n Ke Sab Bade Chote Miya'n Ki Taraf Daude, Miya'n Gao'n Walo'n Ku Apne Paas Aata Dekh Daire Ki Taraf Bhage. Bandagi Miya'n Syed A'bdul Wahab رحمته الله عليه Valid-e-Buzurgwar Ke Paas Baithe Hove The Aur Apki U'mr-e-Shareef 4 Saal Ki Thi Kehne Lage Keh Manjhle Bhai Daudte Hove Aa Rahe Hain. Miya'n Ne Dekh Kar Tabassum Kiya Aur Kaha Aao Phir Bazo Me Chopa Liya. Ba'd Mushrik Qaum Ke Loog Unn Ka Picha Karte Hove Daire Me Aa Pahunche Aur Kaha Keh Ek Kumsin Bachcha Ju Haseen Wa Jameel Aur Khudai Shakal Rakhta Hai Ju Avtaar Aur Parmeshwar Hai Kya Yaha'n Aaya Hai. Miya'n Valid-e-Buzurgwar Ki Gudd Me Baithe Hove The Aur Bandagi Miya'n Syed Shareef Ji رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ne Romal Uda Kar Chopa Liya Tha. Tashreef-e-Haq رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ne Farmaya Miya'n Koi Parmeshwar Nahi Hain Yaha'n Sab Khuda Ke Bande Hain. Woh Loog Yeh Sunkar Wapas Hu Gaye. Bandagi Miya'n Syed Tashreef Ullah رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ki Wafat Ke Ba'd Bandagi Miya'n Syed Sa'ad Ullah U'rf Asad Ullah Gazi رحمته الله عليه Jamod Se Hijrat Farma Kar Wapas Bijapur Aa Gaye. Dono'n Bhai Miya'n A'bdul Lateef رحمته الله عليه Aur Miya'n A'bdul Wahab رحمته الله عليه Bhi Aap رحمته الله عليه Ke Sath Bijapur Aa Gaye Aur Aap رحمته الله عليه Hi Ki Suhbat-e-Babarkat Iktiyar Ki Aur Khidmat Me Rahe.


  Riwayat Hai Keh Bandagi Miya'n Syed Sa'ad Ullah Asad Ullah Gazi رحمته الله عليه Aur Bandagi Miya'n Syed A'bdul Lateef رحمته الله عليه Ke Darmiyan Bahut Ziyadah Muhabbat Thi Aur Bandagi Miya'n Syed Sa'ad Ullah رحمته الله عليه Gehra Ta'luq Rakhte The Aur Namaz Me Jab Miya'n Syed Sa'ad Ullah رحمته الله عليه Imam Hute Miya'n Syed A'bdul Lateef رحمته الله عليه Unn Ke Piche Namaz Padhte. Dusra Koi Imam Huta Tu Uss Ke Piche Namaz Nahi Padhte The. Ba'z Faqeero'n Ne Miya'n Syed Sa'ad Ullah رحمته الله عليه Se Kaha Keh Miya'n Syed A'bdul Lateef (رحمته الله عليه) Apke Siwa Dusro'n Ke Piche Namaz Nahi Padhte. Aap رحمته الله عليه Ne Tabassum Kar Ke Farmaya Unhi'n Se Pucho. Aap رحمته الله عليه Ne Kaha Keh Jab Imam Namaz Me Hazir Nahi Huta Tu My Ghar Me Namaz Ada Kar Leta Ho'n. Laikin Aap رحمته الله عليه Ku Fuqra Ne Kaha Keh Imam Hazir Rehta Hai Apku Chahiye Keh Namaz Jama't Se Padhe'n. Phir Miya'n Syed A'bdul Lateef رحمته الله عليه Namaz-e-Maghrib Keliye Jama't Me Shamil Hove. Tu Ek Do Raka't Ke Ba'd Namaz Tod Kar Alag Guzare. Iss Ki Shikayat Miya'n Syed Sa'ad Ullah رحمته الله عليه Se Ki Tu Miya'n Muskura Kar Farmaye Keh Wajah Bhi Unhi'n Se Pucho. Jab Fuqra Ne Pucha Bandagi Miya'n Syed A'bdul Lateef رحمته الله عليه Ne Farmaya Imam Namaz Me Hazir Nahi Tha Teli Ke Ghar Chiragh🕯️ Ka Tel🛢 Lane Gaya Tha. Tu My Kis Ke Piche Namaz Padho'n. Ba'd Imam Kehte Hain Keh Miya'n Sach Kehte Hain Uss Waqt Mera Dil Wahi'n Tha. My Teli Ke Ghar Tel Lane Gaya Tha. Logo'n Ki Kasrat Thi Iss Liye Bartan Wahi'n Cho'dd Kar Aaya Ho'n Keh Namaz-e-Maghrib Ke Ba'd Tel La Lo'n Ga. Namaz Me Yahi Khayal Dil Me Tha. Uss Ke Ba'd Tamam Faqeero'n Ku Aur Ziyadah E'teqad Hu Gaya Aur Miya'n Se Ruju Laye. 


  Riwayat Hai Keh Ek Shaks Ju Miya'n A'bdul Lateef رحمته الله عليه Ka Mureed Tha. Aap رحمته الله عليه Se Nihayat Darjah A'qidat Rakhta Tha. Magar Sharab Peeta Aur Dusre Lagviyat Me Mubtila Rehta Tha. Bandagi Miya'n Syed A'bdul Lateef رحمته الله عليه Uss Ku Hameshah Mana Karte Akhar Ek Roz Uss Ne Taubah Kar Ke Tark-e-Dunya Kardi Aur Daire Me Uss Ka Inteqal Hu Gaya. Laikin Jab Uss Ku Dafan Keliye Qabar Me Rakha Uss Ka Moo Mashriq Ki Taraf Hu Gaya. Bandagi Miya'n Syed A'bdul Lateef رحمته الله عليه Yeh Dekh Kar Qabar Me Utre Aur Farmaya Jab Tak Mera Khuda Iss Ku Nah Bakshe Ga Iss Par Khaak Nah Dalo'n Ga Aur Dafan Nah Karo'n Ga. Phir Ek Dam Uss Ka Moo Qiblah Ki Taraf Hu Gaya. Uss Ke Ba'd Musht-e-Khaak Dekar Uss Ku Dafan Kar Diya. 


 Riwayat Hai Keh Bandagi Miya'n Syed Sa'ad Ullah Asad Ullah Gazi رحمته الله عليه Ke Ek Hi Farzand The Bandagi Miya'n Syed Raj Mohammad Gazi رحمته الله عليه..................... Miya'n Ka Bachpan Me Kisi Marz Se Inteqal Hu Gaya. Daire Me Sab Girya Wa Zari Karne Lage. Miya'n Syed A'bdul Lateef رحمته الله عليه Ne Wazu Kar Ke 2 Raka't Namaz Dugana-e-Tehtal Wazu Padh Kar Sajde Me Gaye Aur Du'wa Karni Shuru Ki. Khudaya Mere Biradar Ku Ek Hi Farzand Hai Uss Ki Jaan Bakshi Kar Aur Bahut Derr Tak Sajde Se Sar Nah Uthaya Loog Kehne Lage Khundkaar Sajde Se Sar Uthaye'n Keh Bhatija Mar Gaya Hai (Ya'ni Zindah Nah Hu Ga) Sajde Me Miya'n Syed Raj Mohammad Gazi (رحمته الله عليه) Ki Surat Mujhe Tiflanah Dikhai Gai My Ne Qabool Nah Ki, Phir Uss Ka Shabab Batlaya My Ne Qabool Nah Kiya, Phir Uss Ka Bodhapan Dikhaya Gaya Uss Ke Sofed Baal Aur Sofed Dadhi Dikhlai Gai Aur Uss Ke Farzand Batlaye Gaye Aur Unn Ki Kali Wa Sofed Dadhi Dikhai Gai. Loog Bandagi Miya'n Syed A'bdul Lateef رحمته الله عليه Ku Dhondte Hove Aaye Aur Kehne Lage Miya'n Ji Tajheez Wa Takfeen Keliye Chale Gaye Hain. Aap رحمته الله عليه Ne Sajde Se Sar Uthaya Aur Farmaya Khuda Ne Apne Fazal Wa Karam Se Uss Ki Jaan Baksh Di Hai Aur Farmaya Keh Tum Ne Bahut Jaldi Kardi My Tu Iss Se Bhi Ziyadah Ka Mutalibah Kar Raha Tha. Yeh Kehkar Miya'n Syed Raj Mohammad Gazi رحمته الله عليه Ke Nazdeek Gaye. Apni Chadar Bandagi Miya'n Syed Raj Mohammad رحمته الله عليه Ke Sar Par Dal Kar Farmaye Hoshiyar Hu Jao Yeh Kehte Hi Hoshiyar Hu Gaye. 

 🌹Subhan Allah, Miya'n Ka Kya Hi Dargah-e-Rabbul I'zzat Me Muqame Qurb Wa Naaz Hai🌹


   Riwayat Hai Keh Miya'n A'bdul Lateef رحمته الله عليه Ku Atho'n Peher Ki Binai (Deedar-e-Khuda) Hasil Thi. Hazrat Bandagi Miya'n Syed Sa'ad Ullah U'rf Asad Ullah Gazi رحمته الله عليه Ki Wafat Ke 4 Saal Ba'd Aap رحمته الله عليه Ka Bhi Wisaal Hu Gaya. Hazrat Bandagi Miya'n Syed Sa'ad Ullah U'rf Asad Ullah Gazi رحمته الله عليه Ke Pehlo Me Asodah Hain. Namaz-e-Janazah Bandagi Miya'n Syed Jalal رحمته الله عليه Ne Padhai.


🧅ZAUJAH AUR AULAD :

┄─═✧═✧═✧═✧═─┄


🌹1) Hazratah Bibi Fatah Shah U'rf Bano Bi Sahebah رحمته الله عليها.

D/o: Hazrat Bandagi Miya'n Deendar Khan رحمته الله عليه.


1) Hazrat Bandagi Miya'n Syed Mehmood رحمته الله عليه.

 (Bachpan Me Wafat Paye)


2) Hazrat Bandagi Miya'n Syed Jalal رحمته الله عليه.


3) Hazrat Bandagi Miya'n Syed Khundmeer رحمته الله عليه. 


1) Naam Nahi Ma'loom?

W/o: Hazrat Bandagi Miya'n Nasar Kamrani رحمته الله عليه.


2) Hazratah Syedah Bibi Achchi Ji Sahebah رحمته الله عليها.

W/o: Hazrat Bandagi Meera'n Syed Kareem Ullah U'rf Khoob Saheb Miya'n رحمته الله عليه.

S/o: Hazrat Bandagi Meera'n Syed Ashraf Barah Bani Israel رحمته الله عليه.


3) Naam Nahi Ma'loom?

W/o: Hazrat Bandagi Miya'n Malik Gauhar Shah Kabuli رحمته الله عليه.


✍🏻 *Written By: Bandah Haqeer Mustaqeem Mehdavi*


لا الہ    الا اللہ    محمد   رسول      اللہؐ


اللہ           الھنا           محمد        نبیّٗنا 


القرآن  و  المہدیؑ  امامنا  آمنا و صدقنا


✉️ *Post By: Raah-e-Haq Mehdaviyat* ✒️


Thursday, July 20, 2023

Hazrat Khajah Abdul Raham Hatim Asam rh

 Hazrat Khajah Hatim Asam قدسِ سّرةالعزیز 


🌵Salana U'rs-e-Mubarak 1207th🌵


#URS_E_MUBARAK :

 Friday / 2 Moharram 1445 A.H / 21 July 2023 C.E


🌵TA'RUF :

•──────••☆☆••──────•


  Ma'araz-e-Dunya, Moqbil-e-U'qba, Wafar Al-Karm Khajah Hatim Bin Asam قدسِ سّرةالعزیز Tabqa-e-Oola Se Ta'luq Rakhte Hain. Aap رحمته الله عليه Ki Kuniyat A'bdul Rahman (رحمته الله عليه) Hai. Aap رحمته الله عليه Ka Khurasan Ke Qadeem Mashaikh Me Shomar Huta Hai. Aap رحمته الله عليه Ka Asal Watan Balkh Hai. Aap رحمته الله عليه Hazrat Khajah Shaqeeq Balkhi رحمته الله عليه Ke Mureed Aur Hazrat Khajah Ahmad Khizraviya رحمته الله عليه Ke Ustaad The. Aap رحمته الله عليه Zohad Wa Taqwa Aur Adaab Wa Sidq Me Be Badal The. Kehte Hain Keh Balogh Ke Ba'd Ek Lehza Bhi Aap رحمته الله عليه Ne Murafaqat (Rafaqat-e-Ilahi) Aur Muhasabat (Ya'ni Nafs Ke Sath Nekiyo'n Aur Boraiyo'n Ka Hisab) Ke Bagair Basar Nah Kiya. Ek Qadam Bhi Bagair Sidq Wa Iklaaq Nah Chale. Hazrat Juned Baghdadi رحمته الله عليه Se Manqool Hai Keh Hazrat Hatim Asam رحمته الله عليه Hamare Daur Ke Siddiqeen Me Shomar Hute Hain.


🌵WAQIYAT :

•──────••☆☆••──────•


🍁1》Ek Din Aap رحمته الله عليه Balkh Me Wa'iz Kar Rahe The. Wa'iz Ke Ba'd Aap رحمته الله عليه Ne Du'wa Ki Keh Ilahi Iss Majlis Me Ju Sab Se Ziyadah Gunahgar Hai Usse Tu Baksh De. Majlis Me Ek Kafan Chor Bhi Tha. Jab Raat Hovi Tu Kafan Chor Qabrestan Gaya Aur Ek Khabar Khooli. Awaz Aai Keh Sharam Nahi Aati Aaj Hatim Asam (رحمته الله عليه) Ki Majlis Me Tere Sab Gunah Baksh Diye Gaye Aur Tu Phir Wahi Gunah Kar Raha Hai. Yeh Sunkar Kafan Chor Tayib Hu Gaya. 


🍁2》Hazrat Mohammad Razi رحمته الله عليه Se Riwayat Hai Keh My Ne Aap رحمته الله عليه Ku Kabhi Gazabnak Hute Nahi Dekha, Albattah Ek Baar Aap رحمته الله عليه Bazar Ja Rahe The. Tu Aap رحمته الله عليه Ke Kisi Shagird Se Dukandar Apna Qarz Talab Kar Raha Tha Uss Waqt Aap رحمته الله عليه Ne Gazabnak Hukar Apni Chadar Zameen Par Phenkdi Aur Pore Bazar Me (Gold) Sona Hi Sona Phail Gaya. Phir Aap رحمته الله عليه Gusse Me Dukandar Se Farmaya Keh Apne Qarz Ke Mutabiq Sona Utha Le. Laikin Ek Hubbah Bhi Agar Ziyadah Uthaya Tu Tera Hath Shal Hu Jaye'n Ge. Laikin Uss Ne Lalach Me Sona Utha Liya. Chunanche Ussi Waqt Uss Ke Dono'n Hath Shal Hu Gaye. 


🍁3》3 Sharayat Ke Sath Aap رحمته الله عليه Ne Ek Shaks Ki Da'wat Qabool Farmali, Awwal Yeh Keh Jis Jagah Chaho'n Baitho'n, Duwwam Ju Chaho'n Ga Khao'n Ga, Suwam Mere Kehne Par Tujhe A'mal Karna Hu Ga. Chunanche Uss Ke Yaha'n Pahunch Kar Jooto'n Par Baith Gaye Aur Apne Hi Paas Se 2 Rotiya'n Nikaal Kar Khali'n. Phir Mezban Se Farmaya Keh Ek Tawa Garam Kar Ke Lao Aur Jab Tawa Aa Gaya. Tu Aap رحمته الله عليه Jalte Tawe Par Khole Pair Rakh Kar Khade Hukar Farmaya Keh My Ne Sirf 2 Rotiya'n Khai Hain. Phir Tawe Par Se Utar Kar Ahle Majlis Se Kaha Keh Agar Tumhara Yeh A'qidah Hai Keh Qayamat Me Har Shay Ka Muhasabah Hu Ga. Tu Issi Jalte Tawe Par Khade Hu Jao, Laikin Logo'n Ne A'rz Kiya Keh Yeh Hamare Bas Ki Baat Nahi Hai. Aap رحمته الله عليه Ne Farmaya Keh Jab Tum Iss A'mal Se Iss Waqt Ka Hisab Nahi De Sakte Tu Aag🔥 Se Bani Hovi Mehshar Ki Zameen Par Khade Hukar Tamam U'mr Ka Hisab Kaise De Sako Ge? Phir Aap رحمته الله عليه Ne Iss Ayat Ki Tashreeh Farmai :


ثُمَّ لَتُسْأَلُنَّ يَوْمَئِذٍ عَنِ النَّعِيمِ


 Ya'ni Qayamat Ke Din Tum Se Tamam Nemato'n Ki Baz Paras Hugi Aur Aap رحمته الله عليه Ki Tashreeh Ka Andazah Bayan Kuch Aysa Tha Keh Jaise Maidan-e-Hashr Nigaho'n Ke Samne Hai Aur Tamam Ahle Majlis Muztarib Hukar Giryah Wa Zari Karne Lage. 


🍁4》Naqal Hai Keh Jab Hatim Asam رحمته الله عليه Baghdad Pahunche Tu Logo'n Ne Khalifah Ku Ittela Di Zahid-e-Khurasan Aaya Hai. Khalifah Ne Aap رحمته الله عليه Ku Da'wat Di. Jab Aap رحمته الله عليه Andar Dakhil Hu Gaye. Tu Khalifa Ne Kaha Assalamu Alaikum Aye Zahid Hatim Asam (رحمته الله عليه) Aap رحمته الله عليه Ne Farmaya Zahid Tu Hai. Khalifah Ne Kaha My Zahid Nahi Ho'n Kiunkeh Sara Mulk Mere Zere Farman Hai. Zahid Tu Aap (رحمته الله عليه) Hain. Aap رحمته الله عليه Ne Farmaya Nahi Zahid Tu Hai. Allah Ta'ala Farmate Hain قُلْ مَتَاعُ الدُّنْيَا قَلِيلٌ (Aye Paigambar ﷺ! Logo'n Se Keh Dijiye Keh Dunya Ka Maal Qaleel Hai Ya'ni Uss Ku Koi Uqqa't Nahi) Tu Ne Thode Par Qana'at Kar Rakhi Hai. Iss Liye Zahid Tu Hai Nah Keh My Kiunkeh My Dunya Wa U'qba Dono'n Se Be Nayaz Hu Choka Ho'n. My Kaise Zahid Kehlaya Jasakta Ho'n. 


🍁5》Ek Roz Aap رحمته الله عليه Imam Ahmad Bin Hambal رحمته الله عليه Se Sawal Kiya Keh Aap (رحمته الله عليه) Rizq Ki Justaju Karte Hain Ya Nahi? Imam Sahab Ne Jawab Diya Keh Yaqeenan Mutalashi Rehta Ho'n. Aap رحمته الله عليه Ne Pucha Keh Qabal Az Waqt, Ya Ba'd Az Waqt, Ya Barr Waqt Talash Karte Hu. Yeh Sunkar Imam Sahab Sakte Me Aa Gaye. Iss Liye Keh Agar Yeh Kahe'n Keh Qabal Az Waqt Talash Karta Ho'n Tu Farmaye'n Ge Keh Tu Tazayyu-e-Auqat (Waqt Zaya Karna) Karte Ho'n Aur Agar Ba'd Az Waqt Kehdo'n Tu Kahe'n Ge Keh Guzishtah Ki Justaju La Hasil Hai Aur Agar Yeh Kaho'n Keh Barr Waqt Talash Karta Ho'n Tu Farmaye'n Ge Keh Maujoodah Shay Ki Justaju Se Kya Faidah. Laikin Ek Buzurg Farmate Hain Keh Jawab Yeh Hona Chahiye Tha Keh Talash-e-Rizq Nah Farz Hai Nah Sunnat Iss Liye Iss Ki Justaju Hi Besood Hai. Kiunkeh Rizq Tu Hum Ku Khud Talash Karta Phirta Hai Jaisa Keh Hadees Me Hai. *"Rizq Tu Khud Tumhare Paas Pahunchta Hai, Tumhe'n Justaju Ki Kya Zaroorat Hai"*


🍁6》Ek Din Aap رحمته الله عليه Ne Jihad Ke Qasad Se Biwi Se Pucha Keh Tumhe'n 4 Maah Ke Ikrajat Keliye Kitni Raqam Ki Zaroorat Hai. Biwi Ne Kaha Keh Jitni Meri Zindagi Hai Utni Raqam Dedu, Aap رحمته الله عليه Ne Farmaya Keh Zindagi Tu Mere Qabza-e-Qudrat Se Bahar Hai. Phir Biwi Ne Kaha Keh Tu Mera Rizq Aap رحمته الله عليه Ke Hath Me Kaise Hu Sakta Hai? Iss Ke Ba'd Jab Aap رحمته الله عليه Shareek-e-Jihad Hove Tu Ek Kafar Ne Qatal Karne Keliye Talwar Gardan Tak Laya Hi Tha Keh Kisi Janib Se Aysa Teer Akar Laga Keh Woh Wahi'n Dher Hu Gaya. Aap رحمته الله عليه Ne Farmaya Tu Ne Mujh Ku Qatal Kiya Ya My Ne?


🍁7》NASEEHAT : Kisi Ne Aap رحمته الله عليه Se Naseehat Karne Ki Darkhuwast Ki Tu Farmaya Keh Agar Dosth Ki Khuwahish Hai Tu Khuda Kafi Hai. Agar Sathiyo'n Ki Tamanna Hai Tu Nakireen Bahut Hain Aur Agar I'brat Hasil Karna Chahu Tu Dunya Kafi Hai. Agar Monas Ki Talash Hai Tu Quran Bahut Kafi Hai. Agar Mashgalah Chate Hu Tu I'badat Bahut Bada Mashgalah Hai Aur Agar Mere Aqwaal Na Gawar Ho'n Tu Jahannam Kafi Hai. 


🍁8》Ba'z Logo'n Ne Aap رحمته الله عليه Se Bayan Kiya Keh Fulaa'n Shaks Ne Bahut Daulat Jama Karli Hai. Aap رحمته الله عليه Ne Farmaya Kya Zindagi Ka Bhi Zakhira Kar Liya Hai? Murdo'n Ka Daulat Jama Karna Qat'an Besood Hai. Kisi Ne Aap رحمته الله عليه Se A'rz Kiya Keh Agar Apku Kisi Shay Ki Zaroorat Hu Tu Farmade'n. Aap رحمته الله عليه Ne Farmaya Keh Meri Sab Se Badi Zaroorat Tu Yeh Hai Keh Nah My Kabhi Tujh Ku Dekho'n Aur Nah Tu Mujhe Dekhe. Phir Kisi Ne Pucha Keh Aap (رحمته الله عليه) Namaz Kis Tarah Ada Karte Hain? Farmaya Keh Pehle Zaheri Wazu Karta Ho'n Phir Batini (Ya'ni Taubah) Wazu Kar Ke Masjid Me Dakhil Huta Ho'n. Phir Masjid-e-Haram Aur Muqam-e-Ibrahim Nazro'n Ke Samne Huta Hai Aur Daye'n Baye'n Firdos Wa Jahannam Aur Qadmo'n Ke Niche Pul Siraat Huti Hai. Phir Khuda Ke Samne Aur Maut Ku Piche Tasawwur Karte Hove. Qalb Ku Ruju Ilallah Kar Leta Ho'n. Phir Ta'zeem Ke Sath Takbeer Kehkar Ehteram Ke Sath Qayam Aur Haibat Liye Hove Qirat Shuru Karta Ho'n Aur I'jz Ke Sath Ruku Wa Sujood Kar Ke I'lm Ke Sath Qa'adah Karta Ho'n Aur Shukur Ada Karte Hove Salam Pher Leta Ho'n.


🍁9》Istegna :  Aap رحمته الله عليه Kabhi Kisi Se Kuch Nahi Lete The Aur Jab Logo'n Ne Wajah Puchi Tu Farmaye Keh Lene Me Meri Roswai Aur Dene Wale Ki I'zzat Huti Hai Aur Nah Dene Me Iss Ke Bar A'ks Huta Hai. Laikin Jab Aap رحمته الله عليه Ne Ek Martabah Kisi Se Koi Cheez Leli Tu Logo'n Ne Izhar-e-Hairat Kiya. Aap رحمته الله عليه Ne Farmaya Keh My Uss Ki I'zzat Ku Apni I'zzat Par Tarjeeh Dena Chahta Ho'n.


🌵IRSHADAAT :

•──────••☆☆••──────•


🗣️1) Aap رحمته الله عليه Ne Farmaya Keh Khuda-e-Ta'ala Ne 3 Cheezo'n Ka Bahami Rabt Qaim Farmaya Hai, Faragat Ka I'badat Se, Iklas Ka Maklooq Se Aur Mayoosi Nijat Me Ahkamat Ki Pa Bajai Se.


🗣️2) Farmaya Keh Pur Bahar Bagaat Par Takabbur Nah Karo, Kiunkeh Bihisht Ke Bagaat Se Ziyadah Yeh Pur Bahar Nahi Hu Sakte Aur I'badat Par Nakhwat Se Iss Liye Ehteraz Karo Keh Iblees Kasrat-e-I'badat Ke Bawajood Mardood-e-Bargah Hova.


🗣️3) Farmaya Keh Karamaat Ki Ziyadati Par Iss Liye Naza'n Nah Hu Keh Hazrate Yusha علیہ الصلواۃ و السلام Ke Daur Me Bani Israel Ka Ek Fard Bal'am Ba'oora Bahut Ziyadah A'bid Wa Zahid Tha. Magar Takabbur Ki Wajah Se Allah Ta'ala Ne Uss Ki Misaal Kutte Se Di Hai. 


🗣️4) Farmaya Keh A'bideen Wa U'lama Ki Suhbat Par Bhi Fakr Nah Karo Kiunkeh Sa'lebah Huzoor-e-Akram ﷺ Ki Suhbat Me Rehkar Bhi Koora Raha.


🗣️5) Farmaya Keh Qalb Ki Bhi 5 Qisme'n Hain. Awwal Qalb Murdah Ju Kuffar Ka Hai, Duwwam Marize Qalb Ju Gunahgaro'n Ka Hai, Suwam Gafil Qalb Ju Pet Ke Gadho'n Ka Hai. Chaharam Qalb Wa Asargoo'n Jis Ku Quran Khulubona Khalf Se Ta'beer Kiya Hai Yeh Yahudiyo'n Ka Hai Aur Sahi Qalb Ahle Dil Hazraat Ka Huta Hai.


🗣️6) Farmaya Keh Shehwat Ke Bhi 3 Hisse Hain. Awwal Khane Ki Shehwat, Duwwam Bolne Ki Aur Suwam Dekhne Ki. Lihaza Khane Me Khuda Par E'temad Rakho, Baat Hameshah Sach Bolo, Dekh Keh I'brat Hasil Karo Aur A'mal-e-Saleha Ku Riya Se Durr Rakho.


🗣️7) Guftago Me Hirs Ku Khairabad Kehdo.


🗣️8) Sakhawat Wa Ehsaan Kar Ke Kabhi Nah Jatao.


🗣️9) Ju Shay Tumhare Paas Maujood Hai Uss Me Bakal Nah Karo.


🗣️10) Farmaya Keh Jihad Ke Bhi 3 Qisme'n Hain : Awwal Iblees Se Aysa Jihad Jis Se Woh Zach Hu Jaye, Duwwam E'laniyah Jihad Ya'ni Farz Ki Adaigi Keliye, Suwam Kuffar Se Iss Tarah Jihad Karo Keh Ya Khud Khatam Hu Jao Ya Inhe'n Khatam Kardo.


🗣️11) Farmaya Keh Zahid Ka Pehla Darjah Tawakkal Hai, Dusra Darjah Sabar Hai, Teesra Darjah Iklas Hai.


🗣️12) Farmaya Keh Har Shay Keliye Ek Zaibaish Hova Karti Hai Aur I'badat Ki Zaibaish Khauf Hai Aur Khauf Ki A'lamat Arzoo'n Ki Qillat Hai. Phir Yeh Ayat Tilawat Farmai وَلَّا تَخَافُوا وَلَا تَحْزَنُوا Nah Khaufzadah Hu Aur Nah Ghamgeen.


🗣️13) Farmaya Keh Jaldi Ka Kaam Shaitan Ka Huta Hai, Laikin Mehman Ke Samne Khana Rakhne, Murde Ku Kafna Ne Dafna Ne, Baligh Ladki Ka Nikah Karne Aur Taubah Karne Me I'jlat Se Kaam Lena Afzal Hai.


🌵SILSILA-E-KHILAFAT :

•──────••☆☆••──────•


👇🏻1) Hazrat Khajah Hatim Bin Asam قدسِ سّرةالعزیز...............🌹


👇🏻2) Hazrat Khajah Shaqeeq Balkhi قدسِ سّرةالعزیز...............🌹


👇🏻3) Hazrat Khajah Fuzel Bin A'yyaz قدسِ سّرةالعزیز...............🌹


👇🏻4) Hazrat Khajah A'bdul Al-Wahid قدسِ سّرةالعزیز...............🌹


👇🏻5) Hazrat Khajah Hasan Basri رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ...............🌹


👇🏻6) Ameer-ul-Momineen Syedna A'li Murtuza Ibne Abi Talib کرم اللہ وجہہ الکریم...............🌹


🌹7) Huzoor-e-Akram Mohammad Mustafa ﷺ.


🌵KHALIFAH :

•──────••☆☆••──────•


1) Hazrat Khajah Ahmad Khizraviyah قدسِ سّرةالعزیز.


D.O.D :

 Sunday / 2 Moharram 237 A.H / 5 July 0851 A.D


Holy Grave :

 (There is no grave marker) Baghdad Shareef, Iraq 🇮🇶.


✍🏻 *Written By: Bandah Haqeer Mustaqeem Mehdavi*


لا الہ    الا اللہ    محمد   رسول      اللہؐ


اللہ           الھنا           محمد        نبیّٗنا 


القرآن  و  المہدیؑ  امامنا  آمنا و صدقنا


✉️ *Post By: Raah-e-Haq Mehdaviyat* ✒️


Hazrat Abdullah Bin Rawahah Shaheed (RZ)

 Hazrat A'bdullah Ibne Rawahah Shaheed رَضِیَ اللّٰەُ تَعَالٰی عَنْهٗ  🌹Katib-e-Rasool ﷺ Wa Sha'ir-e-Rasool ﷺ🌹 🌱Salana U'rs-e...