Hazrat Bandagi Miya'n Malik Ji Shahzada Lahoot رضی اللہ عنہ
🪔Salana U'rs-e-Mubarak 506🪔
#BEHR_E_AAM_MUBARAK :
Saturday / 18 Moharram 1443 A.H / 28 August 2021 C.E
#URS_E_MUBARAK :
Sunday / 19 Moharram 1443 A.H / 29 August 2021 C.E
Naam :
Malik Ji رضی اللہ عنہ.
Laqab :
Shahzada Lahoot, Qata'i Jannati.
P.O.B :
Kashmir, Hind 🇮🇳.
D.O.D :
Monday / 19 Moharram 937 A.H / 12 September 1530 A.D
Holy Shrine :
Salaad Shareef (Shiraal), Chichond, Ahmadnagar, Maharashtra, Hind 🇮🇳.
🪔 IBTEDAI HALAAT :
•──────••☆☆••──────•
Maulood Shareef Aur Digar Seerat Ki Kitabo'n Me Likha Hai Keh Hazrat Malik Ji رضی اللہ عنہ Kashmir Ke Shahzade Hain. Aap رضی اللہ عنہ Ke Bhai (Dhoke Se) Inn Ke Mulk Par Qabiz Hu Gaye The. (Iss Se Qayas Kehta Hai Aap رضی اللہ عنہ Insaf Pasand, A'jizi Rakhne Wale, Allah Ka Kauf Rakhne Wali Hasti The Aur Na Insafi Ke Khilaf Apki Bahaduri Bhi Mashoor Hai) Al-Garz Aap رضی اللہ عنہ Kashmir Se Nikal Kar Gujrat Ki Taraf Badshah-e-Gujrat Se Madad Mang Ne Keliye Aa Rahe The....... Tu Nagore Me Aap رضی اللہ عنہ Ne Qayam Kiya Hova Tha. Yaha'n Par Mehdi Maud ﷺ Ki Amad Ke Bade Charche Hu Rahe The. Malik Ji رضی اللہ عنہ Ne Bhi Sona Aur Khud Ek Bade Paye Ke A'lim-e-Deen The. Tehqeeq Karne Keliye Chan'd U'lama-e-Shahar Ke Sath Hazrat Mehdi Maud ﷺ Ke Huzoor Me Tashreef Laye Aur Dil Me Yeh A'had Kar Aaye The Keh Agar Yeh Da'wa-e-Mehdiyat Sahi Sabit Nah Hova Tu Yaqeenan Aap ﷺ Ku (Astagfirullah) Qatal Kar Do'n Ga. Takeh Musalmano'n Ku I'brat Hu Aur Ayindah Ayse Fitno'n Ka Sadbab Hu Jaye. Laikin Imamuna Meera'n Mehdi Maud ﷺ Se Mulaqat Hovi Aur Aqa ﷺ Ki Nazar-e-Mubarak Aap رضی اللہ عنہ Par Padi Tu Farmaye Aaiye "Shahzadah Lahoot" Inn Alfaz Ne Malik Ji رضی اللہ عنہ Ke Dil Par Aysa A'sar Kiya Keh Be Iktiyar Hu Kar Apne Hosh Kho Baithe Aur Issi Waqt Tasdeeq Wa Talqeen Se Musharraf Hukar Apni Hukumat Wa Saltanat Aur Jah Wa Mansab Se Dast Kashi Iktiyar Karli Aur Tark-e-Dunya Kar Ke An-Huzoor ﷺ Ke Sath Hu Gaye...... Yeh Halat Dekh Kar Nagore Shareef Ke Aksar U'lama Wa Fazla Ne Bhi Tasdeeq Kar Ke Hazrat Mehdi Maud ﷺ Ke Sath Hu Gaye. Aur Akhar Tak Hazrat ﷺ Ke Sath Rahe.
🪔 SHAHZADAH LAHOOT KA MATLAB KYA HAI ?
•──────••☆☆••──────•
Lahoot Darasal I'lm-e-Ma'rifat Ki Marojah Islaaho'n Me Se Ek Islaah Hai, Aur Sulook Ke Ju Muktalif Manazil Hain, Akhari Manzil Qarar Di Gai Hai Aur Salik Jab Iss Manzil Me Dakhil Huta Hai Tu Iss Martabe Ku Fana Fillah Kehte Hain, Arbabe Sulook Ne Lahoot Se Murad Chashme Sar Se Khuda Ki Binai Li Hai. Hazrat Mehdi Maud ﷺ Ne Zikar Ku 4 Aqsaam Ka Bataya Hai........ Goftani, Deedni, Chasheedni Aur Shodni, Jis Ku Nasoot, Malakoot, Jabaroot Aur Lahoot Bhi Kehte Hain.
🪔 DAUR-E-SANI-E-MEHDI رضی اللہ عنہ AUR MALIK JI SHAHZADAH LAHOOT رضی اللہ عنہ KA IJAZAT LEKAR DAIRAH ALAG KARNA :
•──────••☆☆••──────•
Jab Hazrat Mehdi Maud ﷺ Ki Wafat Ke Ek Saal Ba'd Hazrat Meera'n Sani-e-Mehdi رضی اللہ عنہ Ke Humrah Farah Mubarak Se Gujrat Wapas Akar Bhilot Shareef Me Apna Dairah Bandha...... Uss Waqt Hazrat Sani-e-Mehdi رضی اللہ عنہ Ki Suhbat Me Sab Ashab Wa Muhajireen رضوان اللہ تعالی علیہ اجمعین Hi The. Hazrat Sani-e-Mehdi رضی اللہ عنہ Ne Ba'z Ashab رضوان اللہ تعالی علیہ اجمعین Ku Yeh Ijazat Marhamat Farmai Keh A'lahda A'lahda Dairah Bandh Kar Rahe'n Aur Deen-e-Mehdi Ki Tableeg Me Lag Jaye'n Aur Talib-e-Khuda Ku Mustafeez Kare'n. Bhilot Shareef Ke Atraf Wa Aknaf Daire Banne Lage Tu Malik Ji Shahzadah Lahoot رضی اللہ عنہ Ne Bhi Miya'n Hydar Muhajir رضی اللہ عنہ Ke Zariye Hazrat Sani-e-Mehdi رضی اللہ عنہ Ki Khidmat Me Kehel Waya Keh Mujhe Bhi A'lahda Dairah Bandh Kar Rehne Ki Ijazat A'ta Farmai Jaye. Hazrat Sani-e-Mehdi رضی اللہ عنہ Ne Yeh Baat Manzoor Nahi Ki Aur Farmaye Malik Ji رضی اللہ عنہ Se Kahe'n Keh Abhi Tum Suhbat Ke Laiq Hu. Yeh Sunkar Malik Ji رضی اللہ عنہ A'lahdgi Ka Khayal Dur Kar Ke Hazrat Sani-e-Mehdi رضی اللہ عنہ Ki Khidmat Me Aa Gaye. Ek Mahina Khidmat Me Reh Ne Ke Ba'd Hazrat Sani-e-Mehdi رضی اللہ عنہ Ne Aap رضی اللہ عنہ Ku A'lahda Dairah Bandh Kar Rehne Ka Hukum Diya Keh Loog Tum Se Naseehat Pazeer Aur Behra-e-Vilayat-e-Mohammadiya Se Mustafeed Ho'n Ge. Keh Khuda Ta'ala Ne Tumhari Zuban Me Taseer Bakshi Hai. Laikin Miya'n Malik Ji رضی اللہ عنہ Ne Ab Sani-e-Mehdi رضی اللہ عنہ Ki Suhbat Ke Cho'dd Ne Ku Na Munasib Khayal Kar Ke A'lahda Rehne Se Inkar Kar Diya. Hazrat Sani-e-Mehdi رضی اللہ عنہ Ne Farmaya Mere Hukum Par Razi Hu Jao, Khuda Ta'ala Tum Se Razi Hu Jaye Ga. Tab Malik Ji Shahzadah Lahoot رضی اللہ عنہ Ne Hukum Maan Liya Aur Muaza Bhalsa Me Akar Dairah Bandha.
Jab Bargahe Sani-e-Mehdi رضی اللہ عنہ Se Miya'n Malik Ji Shahzadah Lahoot رضی اللہ عنہ Ku A'lahdgi Ka Hukum Sadir Hova Tu Miya'n Syed Salam Ullah رضی اللہ عنہ Ne A'rz Kiya Keh Khundkaar Yeh Kiya Ma'mla Hai Pichle Mahine Aap رضی اللہ عنہ Ne Miya'n Malik Ji رضی اللہ عنہ Ku Suhbat Me Rehne Ka Hukum Diya Tha Aur Ab Aysa Kar Rahe Hain. Hazrat Sani-e-Mehdi رضی اللہ عنہ Ne Farmaya Mamujan ! Inho'n Ne A'lahdgi Ki Ju Khuwahish Ki Thi Iss Se Inn Ki Khudi Ka Izhar Hu Raha Tha Bande Ne Allah Ke Hukum Se Inn Ki Khudi Dur Kar Di.
Hazrat Miya'n Malik Ji Shahzadah Lahoot رضی اللہ عنہ Ke Mauza Bhalsa Me Dairah Qaim Kar Ne Ke Ba'd Aap رضی اللہ عنہ Ke Taseer-e-Bayan Aur Tableeg Ne Aap رضی اللہ عنہ Ke Atraf Bahut Se Loog Jama Kar Liya. Miya'n Vali Bin Yusuf Tabai رحمۃ اللہ علیہ Likhte Hain Keh Bande Ne Malik Ji رضی اللہ عنہ Ki Zuban Se Yeh Baat Soni Hai, Keh Ju Shaks Khuda Se Roz Nai Khabar Ma'loom Nah Kare Woh Khuda Se Nahi. Jab Sani-e-Mehdi رضی اللہ عنہ Ku Yeh I'ttela Mili Keh Miya'n Malik Ji رضی اللہ عنہ Aysa Farmate Hain, Tu Aap رضی اللہ عنہ Ne Sunakr Farmaya Iss Waqt Malik Ji رضی اللہ عنہ Ku Ta'leem Wa Suhbat Ki Zaroorat Hai, Yeh Sunte Hi Miya'n Malik Ji Shahzadah Lahoot رضی اللہ عنہ Apne Dairah Ke Sath Hazrat Sani-e-Mehdi رضی اللہ عنہ Ki Khidmat Me Aa Gaye, Kuch A'rse Ke Ba'd Phir Aap رضی اللہ عنہ Ku A'lahdgi Ka Hukum Mila, Aap رضی اللہ عنہ Farmate Hain Bandah Har Taraf Nazar Daoda Ta Hai Tu Dekh Ta Hai Hum Me Ka Har Koi Shaks Meera'n Syed Mehmood Sani-e-Mehdi رضی اللہ عنہ Se Bahar Nahi Hai, Aur Sab Meera'n Sani-e-Mehdi رضی اللہ عنہ Se Munsalik Hain. Hamare Sar Ke Baal Meera'n Syed Mehmood Sani-e-Mehdi رضی اللہ عنہ Ke Mubarak Hatho'n Me Hain.
Bandagi Miya'n رضی اللہ عنہ Ki Shahadat Ke Ba'd Aksar Ashab Wa Muhajireen رضوان اللہ تعالی علیہ اجمعین Ne Gujrat Se Dusre Mumalik Ki Janib Hijrat Ki Iss Se Maqsad Unn Buzurgo'n Ka Deen-e-Mehdi ﷺ Ki Sare A'lam Me Tableeg Bhi Thi. Dusra Yeh Keh Hasb-e-Farman-e-Mehdi ﷺ :
"مہدی و قوم وے راہیچ مقام و مسکن ہیچ جگہ نیست"
Iss Farman Par A'mal Aur Iss Ki Sadaqat Ka Izhar Tha. Matlab Yeh Farman Hai Keh "Mehdi Aur Iss Ki Qaum Ku Koi Muqam Wa Maskan Wa Koi Jagah Nahi"
Miya'n Malik Ji رضی اللہ عنہ Ne Bhi Issi Zamane Me Gujarat Se Hijrat Farma Kar Nagore Shareef Akar Muqam Farmaya. Jab Aap رضی اللہ عنہ Yaha'n Muqeem The 40 Din Wa Raat Ba Wazu Rahe Keh Bandagi Miya'n رضی اللہ عنہ Ke Qattal Ke Muqaddame Ke Ahwal Ma'loom Kare'n. Ek Raat Ma'loom Hova Keh Syed Khundmeer Siddiq-e-Vilayat رضی اللہ عنہ Ne Ju Kuch Kiya Haq Hai قاتلوا و قتلو Jaisa Keh Hazrat Mehdi Maud ﷺ Ne Farmaya Tha, Issi Tarah Hova Iss Ke Ba'd Miya'n Malik Ji رضی اللہ عنہ Ne Farmaya Agar Koi Bande Ka Daman Pakde Jaha'n Bandagi Miya'n رضی اللہ عنہ Qadam Rakha Hai Banda Iss Ki Hujjat Dega. Ju Kuch Kitabo'n Me Tehreer Tha Syed Khundmeer Siddiq-e-Vilayat رضی اللہ عنہ Ne Koi Baat Khilaf Nahi Ki.
Nagore Shareef Se Bandagi Malik Ji رضی اللہ عنہ Ne Jalor Shareef Ki Taraf Hijrat Ki Yaha'n Tak Aap رضی اللہ عنہ Ka Dairah Raha. Aap رضی اللہ عنہ Kisi Ke Ghar Mehman Nahi Gaye, Aur Nah Aap رضی اللہ عنہ Iss Baat Ku Pasand Farmate The Keh Koi Talib-e-Khuda Kisi Talib-e-Dunya Ke Ghar Jaye. Iss Zamane Me Ahmadnagar Par Nizam Shahiyo'n Ki Hukumat Thi, Yeh Sultan Mehdavi The. Jin Ka Naam Burhan Nizam Shah Hai. Aap Ne Aksar Ashab-e-Ikram رضوان اللہ تعالی علیہ اجمعین Ku Bandagi Miya'n Khond Sheak Muhajir رضی اللہ عنہ Ke Kehne Par Gujrat Se Talab Kar Ke Apne Mulk Me Rakha Aur Inn Ke Mashware Se Aksar Ashab Ku Gujrat Se Ahmadnagar Daccan Bolaya. Issi Dauran Me Bandagi Malik Ji رضی اللہ عنہ Bhi Jalor Shareef Se Daccan Aa Gaye. Aap رضی اللہ عنہ Ke Aane Ke Ba'd Aksar Yaha'n Ke Bashindo'n Ne Aap رضی اللہ عنہ Ki Suhbat Iktiyar Ki Aur Behra-e-Vilayat Hasil Kiya. Badshah Ahmadnagar Bhi Kabhi Kabhi Aap رضی اللہ عنہ Ki Khidmat Me Hazir Hukar Aap رضی اللہ عنہ Ki Naseehato'n Ku Sunte. Aap رضی اللہ عنہ Bade A'lim Fazil Aur Har Fan Me Dastgah Rakhte The. I'lm-e-Tamsilaat Me Tu Aap رضی اللہ عنہ Ku Ek Khususiyat Hasil Thi. Shariya't Wa Tareeqat Par A'mal Ki Aap رضی اللہ عنہ Apne Taliban Ku Hameshah Targeeb Dete Aur Kisi Bhi Amar Me Gaflat Aur Susti Ki Sakt Mimana't Thi. Aap رضی اللہ عنہ Farmate Hain Ju Usool Me Pura Huga Woh Froo Me Bhi Pura Huga Ju Shaks Usool Me Nuqsan Rakhta Hai Woh Froo Me Bhi Nuqsan Me Rahe Ga, Aur Farmaya Ju Shaks Apni Zaat Aur Dil Khuda Ke Hawale Karde, Jaisa Keh Muazzin Apna Rok Khuda Ki Janib Kar Deta Hai Aur Kisi Taraf Mutawajjah Nahi Huta Issi Tarah Taliban-e-Haq Ki Tawajjah Khuda Ki Taraf Rahe, Tu Iss Ka Kaam Hu Jaye Ga. Aap رضی اللہ عنہ Farmate Hain Ju Futooh Gaib Se Pahonche Aur Iss Ku Jald Kharch Kar Diya Jaye Tu Khuda Ta'ala Phir Bhejta Deta Hai Warnah Nahi. Tawakkal Ke Sath Faqah Kashi Me Sabar Aur Isteqamat Bhi Zaroori Hai. Ek Shaks Taib Hukar Aap رضی اللہ عنہ Ke Daire Me Aaya, Laikin 7 Din Ke Ba'd Faqah Kashi Se Majboor Wa Betaab Hukar Jama't Khane Ke Samne Aaya Aur Jhagda Karne Laga. Aap رضی اللہ عنہ Ne Farmaya Tu Ne Jaldi Ki, Tera Kaam Hu Choka Tha, Issi Gumrahi Ne Tera Ajar Zaya Kar Diya, Woh Shaks Daire Se Chala Gaya. Ibteda Ann Taliban-e-Haq Ka A'mal Gaya Huna Chahiye Iss Ke Muta'loq Aap رضی اللہ عنہ Ka Farman-e-Mubarak Hai. Taliban-e-Haq Ku Nai Biyahi Jane Wali Dulhan Ki Tarah Rehna Chahiye Iss Ku Jab Manjah Bithate Hain Tu Ma'mooli Khana, Kapde Ke Siwa Har Qisam Ke Khane Kapde Se Parhez Karate Hain. Aur Har Ek Se Meal Jool Aur Baat Cheet Se Iss Ku Ruk Dete Hain Woh Inn Sab Bato'n Ku Qabool Karke Ada Karti Aur Be Iktiyar Rehti Hai Aur Mehboob Ke Jalwah Ke Laiq Huti Hai, Taliban-e-Haq Ku Bhi Chahiye Keh Aysa Hi Apni Zaat Ku Muqayyad Karde Aur Dunya Ki Lazzato'n Se Kinarah Kash Hu Jaye Aur Gair-e-Haq Se Rad Girdan Rahe. Iss Waqt Woh Mehboob-e-Haqeeqi Ke Didaar Ke Laiq Hukar Zauq Hasil Kare Ga.
Aap رضی اللہ عنہ Ke Daire Me Ju Taliban-e-Maula Aur Tarikan-e-Dunya The. Inn Ke Muta'loq Kisi Ne Aap رضی اللہ عنہ Se Kaha Keh Yeh Sab Fuqrah Ahle Dil Hain, Aap رضی اللہ عنہ Ne Farmaya Keh Yaha'n Sab Ahlullah Hain, Ahle Dil Kya Cheez Hai. Ahlullah Ka Martabah Bada Hai. Khuda-e-Ta'ala Farmata Hai والربهم كلمة التقوى Aur Inn Ku Jamaye Rakha Parhezgar Ki Baat Par.
Hazrat Mehdi Maud ﷺ Ke Ba'd Bhi Sahabah رضوان اللہ تعالی علیہ اجمعین Aur Ta'bayeen Wa Tabe Ta'bayeen رحمت اللہ تعالی علیہ اجمعین Ke Zamane Me Yeh Tareeqah Jari Raha Keh Murshid-e-Dairah Rozanah Quran-e-Majeed Ki Ayaat Se Chan'd Ayaat Ki Tafseer Bayan Karna Jis Ku Hamari Islaah Me Bayan-e-Quran Kehte Hain. Takeh Sama'yeen Ku Deen Se Waqifiyat Huti Rahe Chonkeh Yeh Khauf Tha. Koi Shaks Apni Ray Se Tafseer-e-Bayan Kar Ke Logo'n Ku Gumrahi Me Nah Dale, Khud Hazrat Mehdi Maud ﷺ Ne Aysi Tafseer Karne Wale Keliye Jis Ku Mubeen-e-Quran Kehte Hain, Chan'd Sharayat Muqarrar Kar Diye The. Iss Taluq Se Bandagi Miya'n Malik Ji Shahzadah Lahoot رضی اللہ عنہ Ne Yeh Irshad Farmaya Keh Bayan-e-Quran Woh Shaks Kare Jis Ki Ankh Tama Se Bandh Hu, Aur Dil Hirs Se Paak Hu, Iss Ke Pair Gairullah Ke Dar Par Jane Se Toote Hove Ho'n Aur Kalam Izafat Se Nah Bayan Kare Agar Kisi Mubeen-e-Quran Me Yeh Sifaat Nah Ho'n Ge Tu I'ndalah Makooz Hu Ga. (Hashiyah)
Ek Din Ba'z Muhajireen-e-Mehdi Ki Dariyafat Par Hazrat Mehdi Maud ﷺ Ne Farmaya Keh Mehdavi Hazrat E'sa علیہ السلام Se Mulaqat Kare'n Ge, Iss Par Chan'd Logo'n Ne Qayas Kiya Ju Loog Huzoor-e-Mehdi ﷺ Me Hain Wahi Mulaqat Kare'n Ge, Magar Miya'n Malik Ji Shahzadah Lahoot رضی اللہ عنہ Farmate Hain. Hum Kya Jane'n Ju Ashab Muhajir-e-Mehdi Mashoor Hain, Yahi Nahi Kiunkeh Hazrat Mehdi Maud ﷺ Ne Bahut Sare Shehro'n Ka Safar Kiya Hai, Aur Aap ﷺ Se Bahut Se Ashkas Faiziyab Hove Hain, Khuda Jane E'sa علیہ السلام Ka Zahoor Kaha'n Huga, Yahi Baat Aap رضی اللہ عنہ Ne Sheak Muhammed Khurasani Se Kahi Thi. Magar Inho'n Ne Qabool Nahi Ki Aur E'sa علیہ السلام Ka Da'wa Kiya Aur Mare Gaye.
🪔 AQWAL :
•──────••☆☆••──────•
📍Khuda Ne Dunya Ki Ne'maten Apne Talibo'n Keliye Paida Ki Hain. Magar Inho'n Ne Khuda Ki Talab Iktiyar Ki Aur Iss Se Moo Mood Liya.
📍Namardo'n Ne Dunya Ku Ikhtiyaar Kiya, Taliban-e-Dunya, Dunya Ki Ne'maten Khate Aur Khuda Ke Bando'n Par Ta'an Karte Hain.
📍Bandagan-e-Khuda Raat Din Khuda Ku Yaad Karte Hain Woh Dunya Ki Tamam Cheezo'n Ku Bhool Jate Hain, Iss Ka Badlah Inn Ku Qayamat Ke Din Mile Ga, Inn Ku Bihisht Ka Libaas Pehna Kar Buraq Par Sawar Karaya Jaye Ga, Inhe'n Khuda Ka Deedar A'ta Huga, Aur Woh Jannat Me Jaye'n Ge, Taliban-e-Dunya Qayamat Ke Din Duzak Me Jaye'n Ge.
🪔 WAFAT AUR AULAD :
•──────••☆☆••──────•
Hazrat Bandagi Miya'n Malik Ji Shahzadah Lahoot رضی اللہ عنہ Ku Mehdi Maud ﷺ Ne Qatai Jannati Ki Bisharat Di Hai. Hazrat Ka Akhri Dairah Muaza Salaad (Shiraal) Chichond Me Hai, Ju Shahar Ahmadnagar Se Qareeb Janib Shimal Hai. Aap رضی اللہ عنہ Ka Wisaal Mubarak 19 Moharram 937 A.H Me Hova Mazar-e-Mubarak Yahi'n Shiraal Chichond Me Dar-e-Faizan Bana Hova Hai.
Aap رضی اللہ عنہ Ke Ek Farzand The Jin Ka Naam Hazrat Bandagi Miya'n Taj Mohammad رحمۃ اللہ علیہ Hai, Inn Ke Ek Farzand Hazrat Miya'n Durvesh Mohammad رحمۃ اللہ علیہ Hain. Ju Dharasiyo'n Ke Jagirdar Aur Darbar-e-Nizam Shahi Me Shahi Mansab Daar The, Inhi'n Ki Sahabzadi Ka Nikah Hazrat Bandagi Miya'n Syed Noor Mohammad Khatim-e-Kaar رحمۃ اللہ علیہ Ke Dusre Farzand Hazrat Bandagi Miya'n Syed E'sa رحمۃ اللہ علیہ Se Kar Diye The.
لا الہ الا اللہ محمد رسول اللہؐ
اللہ الھنا محمد نبیّٗنا
القرآن و المہدیؑ امامنا آمنا و صدقنا
✉️Post By: Raah-e-Haq Mehdaviyat✒️

No comments:
Post a Comment