Hazrat Bandagi Meera'n Syed Najam Uddin رحمته الله عليه
(Ahle Tigriya, Rajasthan)
🌱Salana U'rs-e-Mubarak 375th🌱
#BEHR_E_AAM_MUBARAK :
Friday / 7 Safar 1445 A.H / 25 August 2023 C.E
#URS_E_MUBARAK :
Saturday / 8 Safar 1445 A.H / 26 August 2023 C.E
Naam :
Syed Najam Uddin رحمته الله عليه.
Valid :
Hazrat Bandagi Meera'n Syed Manjo رحمته الله عليه.
(Wafat : 2 Rajjab, Manchappa)
Validah :
Hazratah Syedah Bibi Ilahdati U'rf Aaje Sahebah رحمته الله عليها.
D/o: Hazrat Bandagi Meera'n Syed Yusuf Barah Bani Israel رحمته الله عليه.
(Wafat : 6 Ramzan, Manchappa)
D.O.B :
Monday / 13 Dhu-al-Qai'dah 1023 A.H / 15 December 1614 A.D
P.O.B :
Daulatabad, Maharashtra, Hind 🇮🇳.
B.R.O :
Hazrat Bandagi Meera'n Syed Musa رحمته الله عليه.
D.O.D :
Saturday / 8 Safar 1070 A.H / 25 October 1659 A.D
Holy Shrine :
Tigriya, Jaipur, Rajasthan, Hind 🇮🇳.
🌱NASAB NAMAH :
•──────••☆☆••──────•
👇🏻1) Hazrat Bandagi Meera'n Syed Najam Uddin رحمته الله عليه Ibne
👇🏻2) Hazrat Bandagi Meera'n Syed Manjo رحمته الله عليه Ibne
👇🏻3) Hazrat Bandagi Meera'n Syed Khundmeer U'rf Khanji Miya'n Barah Bani Israel رحمته الله عليه Ibne
👇🏻4) Hazrat Bandagi Meera'n Syed Yaqoob Hasan-e-Vilayat رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ibne
👇🏻5) Ameer-ul-Musaddiqeen Hazrat Bandagi Meera'n Syed Mehmood Sani-e-Mehdi رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ibne
🌹6) Hazrat Imamuna Meera'n Syed Mohammad Mehdi Maud علیہ الصلواۃ و السلام.
🌱TAZKIRAH MIYA'N NAJAM UDDIN رحمته الله عليه :
•──────••☆☆••──────•
Bagh-e-Mehdaviyat Ke Gulistan Me Bhaut Se Noorani Rang Birange Phool Jin Ku Dekhne Aur Inn Ke Waqiyat Ku Sunne Se Ankho'n Ku Thandak, Dilo'n Ku Noor Aur Rooh Ku Sukoon Ju Faiz-e-Muqayyadah Ki Shakal Me A'ta Huta Hai. Jin Ki Zindaganiyo'n Ka Lafz Bah Lafz Ayaat Ka Muqam Rakhti Hain. Ayse Jaleel-ul-Qadar Buzurganedeen Me Hazrat Bandagi Meera'n Syed Najam Uddin رحمته الله عليه (Ahle Tigriya) Ki Shaksiyat Bhi A'ala Muqam Rakhti Hai. Aaj Ki Yeh Seerat Inn Buzurgwar Ke Naam Se I'barat Paa Rahi Hai. Ju Apne Waqt Ke Ameer-ul-Murshideen, Qutub-ul-Aqtaab, Markaz-e-Faiz, Fanaa Fillah, Shabistan-e-Fazl Wa Kamaal Aur Ahle Karamaat Se Hain. Ek Din Ka Zikar Hai Keh Hazrat Bandagi Meera'n Syed Manjo رحمته الله عليه Apne Valid-e-Buzurgwar Ki Khidmat-e-Aqdas Me Sar Ku Jhokaye Khade Hove The Keh Hazrat Bandagi Meera'n Syed Khundmeer Barah Bani Israel رحمته الله عليه Ne Farmaya Miya'n Manjo Ji (رحمته الله عليه) My Dekh Raha Ho'n Keh Aap (رحمته الله عليه) Ki Peshani Par Noor-e-Mehdi Chamak Raha Hai........... Keh Iss Noor Se Allah Ta'ala Ek Farzand Ki Bisharat Deta Hai......... Yeh Farzand Apne Noor Se Kai Ek Logo'n Ku Noor-e-Emaan Ki Raoshni Se Monawwar Kare Ga Aur Jab Hazrat Bandagi Meera'n Syed Khundmeer Barah Bani Israel رحمته الله عليه Ka Waqt-e-Akhar Tha Tu Chiragh Kum Raoshni Se Jal Raha Tha. Miya'n Syed Manjo رحمته الله عليه Ne Uss Ku Durust Kar Diya, Woh Raoshan Hu Gaya. Bandagi Meera'n Syed Khundmeer Barah Bani Israel رحمته الله عليه Ne Farmaya Manjo Ji (رحمته الله عليه) Ke Chiragh Ku Joot Bahut Hai. Yeh Dono'n Bisharate'n Dada Ne Apne Potre Hazrat Bandagi Meera'n Syed Najam Uddin رحمته الله عليه Ke Haq Me Di Hain. Miya'n Syed Najam Uddin رحمته الله عليه Shabistan-e-Fazl Wa Kamal Ke Chiragh The.
Meera'n Syed Najam Uddin رحمته الله عليه Ki Viladat Apne Nana Hazrat Bandagi Meera'n Syed Yusuf Barah Bani Israel رحمته الله عليه Ke Daire Daulatabad Me Hovi Aur Sara Bachpan Yahi'n Guzra Aur Yahi'n Tarbiyat Pai. Zaheri Wa Batini I'lm Ki Agosh Me Parwan Chadhe. Aslaaf Ke Tareeqeh Ke Mutabiq I'laqah Hazrat Bandagi Miya'n Syed Noor Mohammad Khatim-e-Kaar Sutoon-e-Deen رحمته الله عليه Se Kiya. Dairo'n Me Huqooq Ullah Ke Sath Huqooq-ul-I'bad Ki Taraf Bhi Tawajjah Dilai Jati Thi. Iss Mua'mlah Me Koi Narmi Barti Nahi Jati. Har Saheb-e-Daire Ke Pesh-e-Nazar Khalifatullah ﷺ Ka Yeh A'mal Tha. Jab Hazrat Bandagi Miya'n Shah Ne'mat Miqraz-e-Bidda't رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Pehli Martabah Mehdi Maud علیہ الصلواۃ و السلام Ke Huzoor Aaye Tu Aap رحمته الله عليه Ne Tamam Waqiyat Sunne Ke Ba'd Pehle Huqooq-ul-I'bad Ada Karne Ka Hukum Diya. Ju Bhi Dairo'n Me Talib-e-Khuda Hukar Tark-e-Dunya Keliye Aata Tu Muraqabah Ke Zariye'h Uss Ki Kaifiyat Jante. Hazrat Bandagi Meera'n Syed Najam Uddin رحمته الله عليه Bhi Tark-e-Dunya Ke Khayal Se Hazrat Bandagi Miya'n Syed Noor Mohammad Khatim-e-Kaar رحمته الله عليه Ke Huzoor Hazir Hute Hain. Laikin Aap رحمته الله عليه Tark-e-Dunya Nahi Karate Balkeh Kehte Hain. Tumhare Sar Par Qarz Hai Ada Kar Ke Aao. Murshid Ki Yeh Roohani Kaifiyat Huti Thi Aur Huqooq-ul-I'bad Ka Iss Tarah Khayal Rakha Jata Tha. Yeh Ek Waqiyah Nahi Balkeh Hamare Dairo'n Ka Usool The. Uss Daur Me Qarz Hasil Karna Bhi Ma'yoob Samjha Jata Tha. Iss Chhot Kaare Se Paak Hu Jaye. Hazrat Khatim-e-Kaar رحمته الله عليه Usse Ada Karne Par Zor Diya.
Hazrat Bandagi Meera'n Syed Najam Uddin رحمته الله عليه A'liyat Pasand The Aur Daire Ke Hudood Ka Bahut Khayal Rakhte The. Jis Ki Wajah Se Hazrat Noor Mohammad Khatim-e-Kaar رحمته الله عليه Apku Bahut Chahte The. Hazrat Khatim-e-Kaar رحمته الله عليه Ne Be Shomar Bisharate'n Aap رحمته الله عليه Ke Ta'luq Se Farmai'n Hain. Farmaya Jis Tarah Hazrat Bandagi Miya'n Syed Khundmeer Siddiq-e-Vilayat رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ku Khalifatullah Mehdi Maud علیہ الصلواۃ و السلام Ki Zaat Me Sair Hasil Hai. Iss Tarah Miya'n Najam Uddin رحمته الله عليه Ku Bande Ki Zaat Me Sair Hasil Hai. Khatim-e-Kaar رحمته الله عليه Ne Yeh Bhi Farmaya Keh Bande Ka Dil Najam Uddin (رحمته الله عليه) Ki Jasad Me Hai Aur Syed Najam Uddin (رحمته الله عليه) Ka Dil Bande Ke Jasad Me Hai. Hazrat Khatim-e-Kaar رحمته الله عليه Ne Apne Akhri Waqt Me Apku Bahut Yaad Kiya. Laikin Aap رحمته الله عليه Duri Ki Wajah Se Aa Nah Sake. Iss Waqt Khatim-e-Kaar رحمته الله عليه Ne Aap رحمته الله عليه Ku Yaad Kar Ke Farmaya Syed Najam Uddin (رحمته الله عليه) Nahi Aaya, Agar Aata Aur Ek Do Dam Bhi Yaha'n Rehta Woh Tum Sab Ke Sath Huta. (Ya'ne Emaan Ki Sawiyat Ka Hissah Hasil Karne Walo'n Me Hute)
Bandagi Miyan Syed Noor Mohammad Khatim-e-Kaar رحمته الله عليه Ki Wafat Ke Ba'd Miya'n Syed Najam Uddin رحمته الله عليه Ne Apne Mamu Hazrat Bandagi Meera'n Shah Qasim Mujtahid-e-Geroh رحمته الله عليه Se I'laqah Kar Suhbat Iktiyar Kiye. Ek Martabah Miya'n Syed Najam Uddin رحمته الله عليه Kahi'n Gaye Hove The Aur Uss Daur Me Sahebe Dairah Apne Apne Khulafa Ki Ifhaam Wa Tafheem Ka Khayal Rakhte The. Agar Koi Daire Se Durr Muqam Par Rehta Tu Khutoot Ke Zariye'h Unn Ki Ifhaam Wa Tafheem Ki Jati Thi. Hazrat Shah Qasim Mujtahid-e-Geroh رحمته الله عليه Ne Bhi Khutoot Ke Zariye'h Aap رحمته الله عليه Ki Ifhaam Wa Tafheem Ki Aur Ma'loomat Pahunchaye Aur Ju Khat Miya'n Syed Najam Uddin رحمته الله عليه Ku Likha Gaya Tha Woh Yeh Hai....................✍🏼
*"Biradram Syed Najam Uddin (رحمته الله عليه) Ba'd Az Salam Ma'loom Hove Keh Khilafat Tab'i Wa Fehmi Me Hargiz Iktelaaf Kare'n. Ussi Tarah Mukhalifane Sunnat Aur Biddat Se Hargiz Darr Guzar Nah Kare'n Ju Kuch Hath Ya Zuban Se Takhseer Hu Khata Hai, Ifhaam Wa Tafheem Keliye Zuban Wa Qalam Ka Istemal Kare'n Aur Mere Faqeero'n Ku Farzando'n Ki Tarah Rakhe'n Balkeh Apne Farzando'n Se Behtar Samjhe'n, Unn Ki Aysi Madad Karo Keh Unn Ki Tarbiyat Nah Toote.............. Aur Ju Kuch Bhi Pareshani Aawe Woh Lillah Fi Allah Hai. Tumhare Liye Aur Tumhare Muqlido'n Keliye Yahi Hujjat Bas Hai"*
Hazrat Bandagi Meera'n Shah Qasim Mujtahid-e-Geroh رحمته الله عليه Ki Wafat Ke Dusre Din Ba'd Hazrat Bandagi Meera'n Syed Najam Uddin رحمته الله عليه, Hazrat Bandagi Meera'n Shah Nusrat Maksoos-us-Zama'n رحمته الله عليه Ki Khidmat Me Aaye. Nihayat Adab Wa Ehteram Ka Mozahrah Karte Hove A'rz Karte Hain Keh Khundkaar Bande Ku Bhi Apne Faqeero'n Me Shomar Kare'n. Hazrat Shah Nusrat رحمته الله عليه Ne Farmaya Keh Tum Miya'n Qasim Ji (رحمته الله عليه) Ki Taraf Mutawajjah Karo Woh Ju Farmaye'n Uss Par A'mal Karo. Hazrat Shah Nusrat رحمته الله عليه Ne Aap رحمته الله عليه Ku Kamarband Bandhna Chaha Tu Kaha Keh Samjho Keh Yeh Kamarband Miya'n Qasim Ji (رحمته الله عليه) Ne Bandhi Hai.................. Yeh Kamarband Khol Kar Bandhta Ho'n. A'rz Kiya Ussi Par Bandh Dijiye. Quwat Par Quwat Hai. Phir Hazrat Shah Nusrat رحمته الله عليه Ne Kaha Jao Aur Ju Bhi Miya'n Qasim Ji رحمته الله عليه Ka Hukum Hai Baja Lao.......... Phir Aap رحمته الله عليه Ku Bayan-e-Quran Ki Ijazat Di Uss Ke Ba'd Miya'n Syed Najam Uddin رحمته الله عليه Ne Apne Fuqrah Ke Sath Burhanpur Tashreef Lakar Apna Pehla Dairah Bandha Aur Chan'd Din Yaha'n Rahe. Iss Dauran Miya'n Najam Uddin رحمته الله عليه Jab Bhi Bayan-e-Quran Farmaye Tu Ek Karamat Dekhne Me Aai Keh Bayan-e-Quran Huta Aur Jaha'n Tak Apki Awaz Jati Uss Taraf Ki Har Ek Shay Sakit Wa Samat Hukar Reh Jati Yaha'n Tak Keh Hawa Ke Tezi Se Chalne Ke Bawajood Bhi Darakhto'n Ke Patte Tak Nahi Hilte The.
Burhanpur Ke Ba'd Miya'n Syed Najam Uddin رحمته الله عليه Mulke Dhonda Ya'ne Tigriya (Rajasthan) Jakar Apna Dusra Dairah Bandha. Aap رحمته الله عليه Ki Amad Se Qabl Yaha'n Par Hazrat Bandagi Miya'n Syed Mehmood Shah رحمته الله عليه Ju Sani-e-Mehdi رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ke Damad Aur Bibi Kad Bano رَضی اللہُ تعالیٰ عنہا Ke Bhanje Hain Aur Sani-e-Mehdi رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ne Apne Daire Ki Imamat Apke Supurd Ki Thi Aur Apni Beti Hazratah Syedah Bibi Khunza Gauhar رَضی اللہُ تعالیٰ عنہا Ku Apke A'qd-e-Nikah Me Diya Tha. Miya'n Ka Dairah Yaha'n Tha. Miya'n Syed Najam Uddin رحمته الله عليه Ke Waha'n Aane Par Hazrat Bandagi Miya'n Syed Mehmood Shah رحمته الله عليه Ne Kaha *"آب آمد و تیمم بر خواست"* Se Tabe Hu Gaye Aur Apna Dairah Lekar Budhasan Shareef Aa Gaye. Phir Yahi'n Wafat Pai.
Tigriya Aur Aas Paas Ke Ilaqo'n Me Afghani Pathan Hazaro'n Ki Ta'dad Me Raha Karte The. Yeh Tamam Ke Tamam Raja Ki Fauj Me Sipahi Wa U'hdedar The. Inhe'n Ta'leemat-e-Islam Se Durr Durr Tak Waqifiyat Nahi Thi. Bas Sirf Nami Musalman The. Hazrat Bandagi Meera'n Syed Najam Uddin رحمته الله عليه Islam Ki Raah Par Aane, Sahi Musalman Bankar Jeene Ki Aur Imamuna Mehdi Maud علیہ الصلواۃ و السلام Ki Tasdeeq Karne Ki Da'wat Di. Tu Unho'n Ne Miya'n Se Kaha Hame'n Islam Aur Khuda-e-Ta'ala Ki Baato'n Ke Nokaat Tu Samajh Nahi Aate. Albattah Hame'n Aap رحمته الله عليه Koi Karamat Dikha De'n. Miya'n Ne Kaha Kya Karamat Chahte Hu Sab Ne Kaha Ju Aak Ka Jhaad Hai Uss Ke Har Dali Wa Phool Me Misri Hona Chahiye. Miya'n Ne Kaha Subah Namaz-e-Fajar Ke Ba'd Aa Jao Tumhe'n Karamat Mil Jaye Gi. Hazrat Bandagi Meera'n Syed Najam Uddin رحمته الله عليه Fajar Ki Namaz Aur Zikarullah Se Farigh Hukar Aak Ke Jhaado'n Ke Paas Aaye Aur Sab Pathan Bhi Maujood The. Miya'n Ne Aak Ke Jhaado'n Par Nazar Dali Tu Sab Me Se Misri Nikli, Aak Ke Phoolo'n Ku Khol Kar Dekha Tu Uss Me Bhi Misri Pai Yeh Karamat Dekh Kar Waha'n Ke 12000 Afghani Pathano'n Ne Mehdaviyat Ku Qabool Kiya Aur Sab Miya'n Ke Daire Iradat Me Shamil Hu Gaye. Tigriya Aur Atraaf Me Ju Mehdavi Aaj Bhi Abad Hai Sab Barah Basti Wale Mehdaviyo'n Ke Naam Se Mashoor Hain.
Shams-ush-Sho'ra Hazrat Peer Wa Murshid Syed Abul Qasim Taskؔheer Miya'n Khundmiri Hyderabadi رحمته الله عليه
Aaj Se Lagbhag 120 Saal Pehle Ka Waqiyah Bayan Farmaye The Keh Hyderabad Se Chan'd Loog Ajmer Shareef Khajah Saheb رحمته الله عليه Ki Ziyarat Keliye Nikle............ Dauran-e-Safar Chan'd Logo'n Ne Kaha Hame'n Ajmer Ke Bajai Tigriya Jana Chahiye Kiun Ajmer Me U'rs Ka Muqa Hai. Iss Liye Ziyarat Wa Qadambosi Milna Mushkil Hai. Thode Admi Ajmer Chale Gaye Aur Thode Loog Tigriya Aa Gaye......... Yeh Zamanah Hazrat Peer Wa Murshid Syed Saidanji Miya'n Mujtehdi رحمته الله عليه Ka Tha. Ziyarat Keliye Ju Loog Tigriya Aaye Woh Sab Miya'n Ke Mehman Bane. Miya'n Se Logo'n Ne Safar Ka Sara Haal Bayan Kiya Aur Kaha Keh Hum Ajmer Ke Bajai Tigriya Ke Mehdavi Buzurgo'n Ki Ziyarat Se Faiziyab Hone Keliye Aaye Hain. Sabhi Saidanji Miya'n رحمته الله عليه Ke Humrah Hazrat Bandagi Meera'n Syed Najam Uddin رحمته الله عليه Ke Aastane Mubarakah Par Hazir Hove Tu Dekha Keh Dargah Ka Darwazah Andar Se Band Hai. Hazrat Saidanji Miya'n رحمته الله عليه Ne Muraqabah Farmaya Tu Darwazah Khol Gaya Aur Miya'n Ku Andar Aane Ki Ijazat Mili. Miya'n Dargah Ke Andar Dakhil Hone Ke Ba'd Dekha Keh Dono'n Buzurganedeen (Ya'ne Hazrat Bandagi Meera'n Syed Najam Uddin رحمته الله عليه Aur Hazrat Khajah Moin Uddin Hasan Chishti رحمته الله عليه) Apni Apni Masnad Par Baithe Hove Hain. Hazrat Saindanji Miya'n رحمته الله عليه Ne Dono'n Buzurganedeen Se Ijazat Mangi Keh Chan'd Loog Apki Ziyarat Keliye Tashreef Laye Hain. Unhe'n Bhi Apni Ziyarat Se Musharraf Farmaye'n, Woh Loog Bhi Ek Ek Kar Andar Gaye Aur Ziyarat Wa Qadambosi Se Musharraf Hukar Bahar Aaye. Inn Sabhi Ka Aana Dil Se Sachchi Ziyarat Ki Niyat Thi. Baqi Loog Ajmer Se Wapas Tigriya Aaye Aur Inn Sabhi Ne Dono'n Buzurganedeen Ki Ziyarat Ka Waqiyah Sonaya Jis Se Sunkar Woh Loog Kehne Lage Keh Kash Hum Ajmer Nah Jate Aur Waha'n Jane Se Hame'n Ziyarat Bhi Nahi Hu Pai Aur Hamare Cheeze'n Bhi Chori Hu Gai'n. Yeh Waqiyah Kisi Kitab Ka Nahi Hai Balkeh Buzurgo'n Se Chali Riwayat Aur Qalmi Waqiyah Hai.
🌱BIWIYA'N :
•──────••☆☆••──────•
Hazrat Najam Uddin رحمته الله عليه Ne 2 Shadiya'n Ki, Dono'n Biwiyo'n Me Se Kisi Se Aulaad Nahi Hovi.
🌹1) Hazratah Syedah Bibi Bowwa Sahebah رحمته الله عليها.
🌹2) Hazratah Bibi Tajo Ji Sahebah رحمته الله عليها.
Hazrat Ne Miya'n Shah Qasim Mujtahid-e-Geroh رحمته الله عليه Ke Farzand Ku Apna Farzand Banakar Pala Aur Apni Suhbat Me Rakh Kar Unn Ku Khilafat Dekar Irshadi Ka Hukum Diya.
Aaj Ke Mahool Me Hazrat Miya'n Syed Najam Uddin رحمته الله عليه Ki Seerat Hamari Sonch Wa Samajh Ke Darwazo'n Ku Kholti Hai. Ek Paband Musaddiq Banati Hai. Aap رحمته الله عليه Safar-ul-Muzaffar 8 Aur 1070 A.H Ku Iss Dunya Se 47 Saal Ki U'mr-e-Shareef Me Kooch Farmaye. Mazar-e-Paak Rajasthan Ke I'laqah Tigriya Me Hai. Jis Par Gumbad Bani Hovi Hai. Fane Tameer Ke Lihaz Se Bahut Khubsurat Wa Dilkash Hai. Atraaf Me Aur Bhi Gumbad Hain. Jis Me Musaddiqane Mehdi Maud علیہ الصلواۃ و السلام Aram Farma Rahe Hain. Iss Muqam Ku Dekhne Ke Ba'd Yeh Ehsaas Paida Huta Hai Keh Tigriya Ke Mehdaviyo'n Ku Inn Buzurganedeen Se Kitni A'qidat Wa Muhabbat Thi. Jis Ki Wajah Se Yeh Gumbade'n Banai Gai'n Hain.
✍🏻 *Written By: Bandah Haqeer Mustaqeem Mehdavi*
لا الہ الا اللہ محمد رسول اللہؐ
اللہ الھنا محمد نبیّٗنا
القرآن و المہدیؑ امامنا آمنا و صدقنا
✉️ *Post By: Raah-e-Haq Mehdaviyat* ✒️

No comments:
Post a Comment