Hazrat Bandagi Miya'n Yusuf Khudawand Fani Muhajir Wa Qata'i Jannati رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ
🌱Salana U'rs-e-Mubarak 509th🌱
#BEHR_E_AAM_MUBARAK :
Wednesday / 24 Dhu-al-Qai'dah 1444 A.H / 14 June 2023 C.E
#URS_E_MUBARAK :
Thursday / 25 Dhu-al-Qai'dah 1444 A.H / 15 June 2023 C.E
🌱TAZKIRAH MIYA'N YUSUF MUHAJIR رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ :
•──────••☆☆••──────•
_Dairah_ Qaum-e-Mehdaviyah Ka Markazi Nuqta-e-Nigah Huta Hai. Taliban-e-Haq Keliye Zindagi Ka Mehwar Huta Hai. Jaha'n Khuda Ki Talab, Khuda Ki Justaju Aur Khuda Ke Deedar Ki Arzoo Ki Fiza Hameshah Chayi Hovi Rehti Hai. Daire Ke Taliban-e-Khuda Ka Awwaleen Farizah Talab-e-Deed Huta Hai. Issi Me Garq Rehte Hain. Shaydai Talib-e-Haq Keliye Pehli Manzil Tasdeeq-e-Khalifatullah Hazrat Mehdi Maud علیہ الصلواۃ و السلام Huti Hai. Musaddiq Hone Ke Ba'd Woh Ta'leemat Khatime Vilayat-e-Mohammadiya ﷺ Se Faizyab Hukar Talab-e-Deed Ki Manzil Par Apna Safar Jari Rakhta Hai. Allah Ta'ala Ka Fazal Shamile Haal Hu Jaye Tu Woh Deed Ki Manzil Bhi Pa Leta Hai. Ayse Hi Pakan-e-Khuda Me Ek Hasti Hazrat Bandagi Miya'n Yusuf Khudawand Fani Muhajir Wa Qata'i Jannati رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Bhi Hain.
Imamuna Mehdi Maud علیہ الصلواۃ و السلام Ke Ashab-e-Ikram رضی اللہ عنہم Rafi'ud Darjaat Ki Fehrist-e-Asma Me Miya'n Yusuf رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ke Naam Ke 2 Sahabi Nazar Aate Hain. Ek Hazrat Bandagi Miya'n Yusuf Sohet رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Jin Ku Huzoor Imam-ul-Anaam Mehdi Maud ﷺ Ki Pusht-e-Mubarak Par Maujood Mohre Vilayat Ki Ziyarat Ki Sa'adat Mili Thi. Yeh Khud Bhi Bahut Bade A'lim-e-Deen The Aur Rishte Me Hazrat Bandagi Miya'n Maulana Taj Mohammad Sohet Muhajir رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ke Saage Bhai Hute The Aur Maulana Taj Mohammad Muhajir رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ U'lama-e-A'sr Me Nihayat Mumtaz Aur Sarbar Awardah A'lim The. Laikin Hum Jin Khaas Sahabi Miya'n Yusuf Muhajir رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Jin Ka Yeh A'jiz Fursat Me Zikar Karne Ja Raha Hai....... Woh Bhi Mashaheer-e-U'lama Se Zaroor Hain Magar Muhajir-e-Mehdi علیہ الصلواۃ و السلام Bhi Hain. Aap رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ke Muqam Aur Martabah Ka Andazah Karne Keliye Yeh Kafi Hai Keh Aap رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ka Imamuna Mehdi Maud علیہ الصلواۃ و السلام Ne Unn 12 Jaleel-ul-Qadar Aur Ulool Maratib Sahabah رَضی اللہ عنہم Me Shomar Kiya Hai Ju 12 Mubashshireen Ya'ni Jin Keliye Jannat Ka Mixdah Iss Daar-e-Fani Hi Me Sona Diya Gaya Hai, Ya'ni Hazrat Bandagi Miya'n Yusuf Khudawand Fani Muhajir رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Inhi'n A'shrah Mubashshirah Me Se Ek Hain. Kutub Wa Naqliyat Me Kahi'n Kahi'n Miya'n Ke Ta'luq Se Chan'd Ek Riwayate'n Aai Hain. Inhi'n Me Se Ba'z Riwayato'n Ku Hawalaye Qirtas Karta Ho'n Jin Se Miya'n Ke Khaar Zaar-e-Ishq Wa Muhabbat Me Sabit Qadami, Tawakkal Wa Tajreed, Faqr Wa Faqah, Tark-e-Hasti Wa Fanaa Par Pech Wa Sanglaq Wadiyo'n Me Ulool A'zmi, Raah-e-Talab Me A'ali Hoslagi Aur Maidan-e-Sidq Wa Safaa Aur Sair Wa Sulook Me Jalalat Shan Ka Pata Chalta Hai.
Mazkoor Hai Keh Bandagi Miya'n Yusuf رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ki Viladat Gujrat Ke Shehar Ahmedabad Me 875 A.H Ku Hovi. Aap رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ka Gharana Ashrafo'n Ke Gharano'n Me Shomar Kiya Jata Hai Aur Aap رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Bhi Shorfaye Ahmedabad Me Se The Aur Yeh Khudawand Fani Kehlate The. Apne Waqt Ke Nami Girami U'lama Wa Fuzla Me Miya'n Ka Shomar Huta Tha. Kafi Daulatmand Aur Ameer-e-Kabeer The. Ibteda Hi Se Neak Seerat Aur Pasandidah Iklaq The. Mizaj Me Sharafat Wa Murawwat Had Darjah Thi. Hajj-e-Baitullah Shareef Se Faragat Ke Ba'd Jab Khatime Vilayat-e-Mohammadiya ﷺ Palat Kar Dubara Hind 🇮🇳 Me Raonaq Afroz December 1497 A.D Mutabiq Jamadi-us-Sani 903 A.H Me Ahmedabad Tashreef Lakar Mohalla Jamalpura Ki Masjid Taj Khan Salaar Me Qayam Farmaye The Aur Kamil 1½ Saal Tak Muqeem Rahe. Jab Huzoor Mehdi Maud ﷺ Ki Tashreef Awari Ki Shohrat Charo'n Taraf Phaili Tu Ussi Shohrat Ki Khabar Sunkar Daire Aqdas Ki Raah Li Aur Bargah-e-Imamat Me Pahunch Kar Sharfe Baryabi Hasil Kiya Aur Ussi Talqeen Wa Tasdeeq Wa Tarbiyat Se Musharraf Hukar Sarkar-e-Vilayat Panah ﷺ Ke Halqa-e-Iradat Me Shamil Hu Gaye. Nihayat Mukhlis Aur Haq Ke Sachche Talib The. Huzoor علیہ الصلواۃ و السلام Ki Suhbat-e-Babarkat Me Rehne Ku Har Kaam Par Umoor Tarjeeh Di Aur Sare Amwal Wa Jayedad Balkeh Ahal Wa A'yaal Ku Tak Cho'dd Chad Kar Safar-e-Hijrat Me Iss Aftab-e-Vilayat ﷺ Ke Humrah Hu Gaye.
Shahar Thattah Pahunchne Ke Ba'd Imame A'ali Muqam علیہ الصلواۃ و السلام Ka Waha'n 18 Mahine Qayam Raha. Issi Dauran-e-Qayam Me Ba'z Sahaba-e-Ikram رَضی اللہ عنہم Ke Naam Unn Ke Ahal Wa A'yaal Ke Gujrat 🇮🇳 Se Khutoot Aaye The. Jin Me Batakeed Yeh Taqazah Mazkoor Tha Keh Woh Bhi Imam-e-Zama'n Ki Suhbat Me Rehne Aur Sharfe Tarbiyat Wa Talqeen Hasil Karne Keliye Sakt Bechain Hain Aur Chahte Hain Keh Inhe'n Waha'n Kisi Surat Bola Liya Jaye. Chunanche Dusre Sahaba-e-Ikram رَضی اللہ عنہم Ke Sath Huzoor Faiz-ul-Faoor علیہ الصلواۃ و السلام Ne Bandagi Miya'n Yusuf Muhajir رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ku Gujrat Wapas Jane Ki Ijazat Marhamat Farmai Thi. Phir Mehdi Maud علیہ الصلواۃ و السلام Ke Thattha Se Khurasan Ki Taraf Ba Hukm-e-Khuda Kooch Farmane Ke Ba'd Hazrat Bandagi Miya'n Yusuf Muhajir رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Kisi Tarah Dubarah Iss Safar Me Shareek Hu Gaye.
Hadi-e-Kaunain Imam-us-Saqlain Huzoor Mehdi Maud علیہ الصلواۃ و السلام Ba Farman-e-Rabbul Anaam Thattha Se Qandhar Keliye Nikal Khade Hove Hain. Thattha Se Qandhar Ka Faslah 600 Meel Hai. Imamuna علیہ الصلواۃ و السلام Ke Safar-e-Hijrat Ki 25th Manzil Hai Ju Thattha Ke Qareeb Aur Darya-e-Atak Ke Paas Hai. Sath Me A'wan Wa Ansaar Ka Bepanah Sail Rawa'n Raah-e-Hijrat Me Shareek Safar-e-Hijrat Hai. Chatel Na Humwar Aur Sakt Khaardar Rasteh, Gird Wa Pesh Me Kahi'n Be Aab Wa Giya Sehraye Laq Wa Daq, Kahi'n Nokile Pattharo'n Se Ma'moor Ghatiya'n Aur Tang Wa Tareek Dare, Kahi'n Khole Na Paida Kinar Jungal, Be Zaad Wa Rahilaye Mutawakkal A'llallah Mastanah Daar Marahil-e-Safar Tay Karta Chala Hai. Nah Jane Yeh Safar-e-Hijrat Tha Ya Safar-e-Sulook
*یک قدم ہر نفس خود دیگر قدم درکوئے دوست*
Behar Haal Rasteh Tay Hu Rahe The Aur Huzoor Vilayat Ma Aab ﷺ Jaan Siparan-e-Muhabbat Ku Manazil-e-Sulook Tay Kara Rahe The. Warnah Kya Baat Thi Ju Yeh Loog Aap علیہ الصلواۃ و السلام Se I'lm Wa Fazal Aur Guroor A'qal Wa Danish Ku Eksoo Rakh Kar Aur Apna Kul Karobar Gharbar Cho'dd Chad Kar Idhar Khinche Khinche Chale Aa Rahe The. Yeh Manzil Ek Qadam Khud Bar Nafs Khud Ki Thi. Yeh Tazkire Agarchah Zuban Wa Qalam Se Bahut Bhale Lagte The Magar A'mal Ke Angel Me Utre'n Tu Pata Chale Keh
*جان و تن راندل کردن خانماں بگذاشتن*
*جوع و خواری پیشہ کردن صبر برپا داشتن*
Kya Cheez Huti Hai. Rawiyo'n Ka Bayan Hai Keh Bandagi Miya'n Yusuf Muhajir رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ka Haal Bhi Yaha'n Tak Zaar Wa Khastah Tha Keh Tan Dhankne Ku Nah Barabar Kapda Tha. Nah Rishta-e-Jisam Wa Jaan Ku Baqi Rakhne Keliye Roti Ke Kuch Sokhe Tukde Hi Mayassar The. Musalsal Faqo'n Par Faqe, Kabhi Bhook Ki Shiddat Huti Tu Chalte Chalte Darmiyan Raah Ju Darakht Bhi Samne Aa Gaya. Uss Ke Patte Tood Kar Chaba Liye😥 Aur Kisi Tarah Shikam Puri Karli. Sattar A'urat Keliye Jism Par Tehmad Ki Baraye Naam Dhajjiya'n Reh Gai Thi'n. Pagdi Ke Bajai Sar Par Lapetne Ku Jagah Jagah Se Udhedi Hovi Ek Rassi Thi. Birhanah Pao'n Farsh-e-Zameen Par Jaha'n Pao'n Rakhte Nokdaar Sangreze Kharzaro'n Ke Darmiyan Isteqbal Ku Maujood Rehte. Maula Ta'ala Ki Bhi A'jeeb Azmaish Hai. Hazrat Ku Marze Jalandar (Piyas Ki Bimari) Ju Ek Nihayat Dard-e-Shikam Hai Musalsal Patte Chaba Kar Khane Ke Ba'is Lahaq Hu Gaya Hai. Huzoor Vilayat Panah ﷺ Kuch Derr Keliye Sakti Kushan-e-Muhabbat Par Ek Nigah Dalte Hove. Rasteh Me Ba Didaye Nam Tehar Gaye Hain😭. Uss Waqt Bandagi Miya'n Yusuf Muhajir رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ke Zakhmi Pao'n Me Ek Aur Sakt Kanta Chobh Gaya Hai. *Miya'n* Pao'n Se Kanta Khinch Kar Nikalte Hove Bargah-e-Aqdas Vilayat Ma Aab ﷺ Me A'rz Kar Rahe Hain Keh Meeranji ﷺ! Batlaiye Woh Konsa Waqt-e-Azmaish Hai Jis Me Haddi Ke Pighalne Ka Kathin Ju Khaas Taur Par Khatime Vilayat-e-Mohammadiya ﷺ Ke Kafshe Biradro'n Ku Pesh Aane Wala Hai. Miya'n Mausoof Ab Tak Iss Khayal Me The Keh Woh Kathin Waqt Abhi Nahi Aaya Hai. Huzoor Mehdi Maud علیہ الصلواۃ و السلام Ne Farmaya Bhai Miya'n Yusuf (رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ) *"Woh Yahi Waqt Hai"* Allah Ta'ala Ne Tumhe'n Huslah Aur Badi Qabilyat A'ta Ki Hai. Jis Ke Ba'is Yeh Masaib Tum Ku Bahut Ma'mooli Aur Halke Pholke Mehsoos Hu Rahe Hain. Sath Hi Huzoor علیہ الصلواۃ و السلام Ne Bishrat Di Keh Miya'n Yusuf (رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ) Tum Ku Tumhare Dam-e-Akhar Tak Jazba-e-Haq Rahe Ga.
Naqal Hai Keh Ek Roz Farah Mubarak Me Bandagi Miya'n Yusuf رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Par Jazba-e-Rohi Ka Galbah Tha. Aksar Muhajiro'n Ne Inn Ka Paskhurdah Lekar Piya. Bandagi Meera'n Syed Mehmood Sani-e-Mehdi رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ (Ku Iss Qadar Rashk Hova Keh) Zaar Zaar Rone Lage Keh Miya'n Yusuf رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ku Kuch Jazb Ka Haal Hai Aur Iss Bande Ku Bawajood 3 Nishiste'n (Pidri Wa Pisri, Ustaadi Wa Shagirdi Aur Peer Wa Mureedi) An-Hazrat علیہ الصلواۃ و السلام Se Hone Ke Koi Haal Nahi Hai. Iss Ke Ba'd An-Hazrat علیہ الصلواۃ و السلام Ne Farmaya Keh Bhaya (Syed Mehmood رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ) Tum Miya'n Yusuf رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ka Haal Kya Dekhte Hu Keh Yeh Tajjali-e-Rohi Me Hai Aah Ooh Karte Hain. Iss Bande Ka Haal Dekho, Ya Bhai Syed Khundmeer رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ki Taraf Nazar Karo Keh 7 Darya Ulhoiyat Ki Nosh Kar Gaye Hain. Magar Koi Lab Tar Nahi Hova Aur Chehre Ki Ranggat Nahi Badli Hai. Iss Ke Ba'd An-Hazrat علیہ الصلواۃ و السلام Ne Miya'n Yusuf رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ke Haq Me Farmaya Keh Tumhara Jazbah Goor Me Jane Tak (Akhri Dam Tak) Rahe Ga. Iss Taweel Riwayat Me Hazrate Sani-e-Mehdi رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ke Talab-e-Haq Me Ishtiyaq Tamam Ke Izhar........ Phir Imamuna علیہ الصلواۃ و السلام Ki Bisharat Keh *"حال شما ازیں بہتر است"* Ki Tafseel Hai. Laikin Waqiyah Mazkoor Me Ju Gaor Talab Pehlo Hai. Woh Tamam Ashab Wa Muhajireen رضوان اللہ علیہم اجمعین Ka Miya'n Yusuf Muhajir رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Se Paskhurdah Aap Lekar Pina Hai Yeh Waqiyah Zahir Karta Hai Keh Waha'n Ehmiyat Agar Kisi Cheez Ki Thi. Tu Woh Tamanna-e-Deedare Haq Ki Thi. Darmiyan Se Tamam Hijabaat Uth Jaye'n Aur Salik Par Zahoor-e-Haq Ka Faizan Jari Hu Jaye. Tu Issi Kaifiyat Ku Istelah Sufiyah Me Kashf-e-Haq Se Ta'beer Karte Hain. Dusre Lafzo'n Me Yeh Halat Bhi Deedar-e-Haq Ki Ek Kadi Hai. Ashabe Jaleel-ul-Maratib Ne Tak Nah Dekha Keh Khud Inn Ku Allah Ta'ala Ne Kitne Buland Wa Arfa Madarij A'ta Kiye Hain Aur Bandagi Miya'n Yusuf Muhajir رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Abhi Kis Haal Me Hain. Balkeh Daire Aqdas Ke Har Chote Bade Ne Kisi Pas Wa Pesh Ke Bagair Aur Rang Wa Nasal Ka Lihaz Nah Kar Ke Yeh Dikha Diya Keh Tamanna-e-Haq Sab Par Muqaddam Hai Aur Agar Koi Kumtar Darje Ka Bhi Iss Kaifiyat Se Guzre Tu Iss Se Bhi Husool-e-Tabarruk Me Hichkichahat Nah Chahiye. Iss Liye Keh Peshe Nigah-e-Haq Aur Baqa-e-Haq Hai Kisi Ka Jism Ta'ayyun Aur Wajood Shakal Nahi, Warnah Dusre Ashab رَضی اللہ عنہم Aam Wa Khaas Se Qata'-e-Nazar Khud Jaleel-ul-Qadar Ashab-e-Ikram رضی اللہ عنہم Keliye Miya'n Yusuf رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ka Jhota Pani Ba Ishtiyaq Tamam Noshe Jaa'n Karna Koi Ma'ani Nahi Rakhta Tha. Jab Keh Yahi Woh Sahabi Hain Jinho'n Ne Bargah-e-Imamat علیہ الصلواۃ و السلام Se Khila'at-e-Khilafat Wa Sanad-e-Irshad Hasil Karne Ke Bawajood Apne Apku Kamil-ul-I'bad Samajhte Hove. Hazrat Sani-e-Mehdi رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ke Daire Se Wabastah Rakha. Chunanche Riwayat Hai Keh Woh Ashab Jinho'n Ne Imamuna علیہ الصلواۃ و السلام Ke Wisaal-e-Mubarak Ke Ba'd Hazrat Sani-e-Mehdi رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ki Suhbat Iktiyar Kar Rakhi Thi. Inn Me Miya'n Yusuf Muhajir رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Bhi Shamil The. Hazrat Sani-e-Mehdi رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ne Ashab-e-Mubashshireen Ku Apne Se Juda Hukar Rehne Ki Hidayat Farmai Thi. Tu Inn Ke Sath Miya'n Yusuf Muhajir رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ku Bhi A'layhdah Rehkar Dairah Qaim Kar Lene Ki Ijazat Di Thi. Iss Ke Ba'd Hazrat Bandagi Miya'n Yusuf Khudawand Fani Muhajir رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Aur Hazrat Bandagi Miya'n Sheak Kabir Mohammad رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ne Bahami Ittefaq Se Radhanpur Me Apna Pehla Dairah Bana Kar Qayam Kiya Tha.
Hazrat Bandagi Miya'n Yusuf Muhajir رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ke Zariye'h Daire Aqdas Me Ba'z Aham Masa'il Ki Bhi Yaksoi Hai. Riwayato'n Me Aaya Hai Keh Qayam-e-Sindh Ke Dauran Jab Quran-e-Hakeem Ki Ayat *قاتوا و قتلوا* Ka Bayan Hu Raha Tha Tu Imamuna علیہ الصلواۃ و السلام Ne Uss Zaat Ka Zikar Nahi Farmaya Jis Se Yeh Sifat Zahir Honi Thi. Natije Me Ashab Me Tashweesh Ka Paida Hona Gair Fitri Nahi Tha. Hazrat Bandagi Miya'n Syed Khundmeer Sair-e-Vilayat رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ne Apni Tashaffi Wa Itmenan Keliye Keh *قاتلوا وقتلوا* Ki Sifat Ka Zahoor Kis Sahabi Khaas Ke Zariye'h Hu Ga. Inhe'n Bandagi Miya'n Yusuf Muhajir رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ku Amadah Kar Ke Darbar-e-Vilayat Ma Aab ﷺ Me Bheja Tha, Woh Dariyafat Kare'n Keh Yeh Sifat Kis Se Zahir Hugi. Aye Subhan Allah🌹 Bandagi Miya'n رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ki Bhi Kya Nazar-e-Inteqab Thi Yeh Qamri Aur U'qabi Nigah............... Qasid Aysa Keh Ameendar Razdar Bhi Aur Qabile E'temad Bhi, Kaam Keliye Mozo'n Bhi Hu Aur Bargah-e-Imamat ﷺ Me Saheb-e-Rusook Bhi. A'shiqan-e-Khuda Ke Taur Tareeq Waqa'i Kuch A'jeeb Hute Hain. Bandagi Miya'n رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ka Paas-e-Adab Yeh Keh Khud Aage Badh Kar Barah-e-Raast Maslaye Zabar Dariyafat Me Puch Lena Gawarah Nah Kiya. Haqeeqat Bhi Yahi Hai Keh *الدین کلہ ادب* Ya'ni Deen-e-Kul Ka Kul Adab Hai. Ta'zeem Wa Takreem Aur Adab-e-Ehtiyat I'shq Wa Muhabbat Ka Khasah Hai.
*خود عشق سکھاتا ہے آدابِ خود آگاہی*
*کھلتے ہیں غلاموں پر اسرار شہنشاہی*
Hazrat Bandagi Miya'n Yusuf Muhajir رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ku Zaat-e-Vilayat Ma Aab ﷺ Me Mukammal Rasai Hasil Thi. Riwayat Batati Hain Keh Bandagi Miya'n Syed Khundmeer رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ne Bandagi Miya'n Yusuf Muhajir رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ku Tawajjah Dilai Aur Khuwahish Ki Keh Woh Imamuna علیہ الصلواۃ و السلام Se Dariyafat Kare'n Keh Woh Sifat Kis Se Zahir Hugi. Takeh Tamam Sahabah Uss Zaat Ka Ehteram Kare'n. Bayan-e-Quran Ke Ba'd Jab Imam علیہ الصلواۃ و السلام Jama't Khane Se Hujre Ki Taraf Tashreef Le Ja Rahe The Tu Bandagi Miya'n Yusuf Muhajir رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Aap ﷺ Ke Qareeb Hove. Imamuna علیہ الصلواۃ و السلام Ne Pucha Bhai Miya'n Yusuf (رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ) Kuch Pucha Na Hai? Miya'n Yusuf Muhajir رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ne A'rz Kiya Huzoor Agar Shaksiyat Ku Samne La Dete Tu Hum Sab Unn Ki Ta'zeem Wa Takreem Karte. Iss Muqe Par Imamuna Mehdi Maud علیہ الصلواۃ و السلام Ne Pucha Batao Tu Sahi Yeh Kon Puch Raha Hai. Bandagi Miya'n Yusuf رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ne A'rz Kiya Bhai Syed Khundmeer (رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ) Yeh Sawal Kar Rahe Hain. Tab Imamuna Mehdi Maud علیہ الصلواۃ و السلام Piche Palatte Hain Aur Miya'n Syed Khundmeer رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ju Piche Khade Hute Hain Mukhatib Hukar Farmate Hain, Bhai Syed Khundmeer رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Khuda-e-Ta'ala Ka Hukum Hova Hai Keh Bande Ki Yeh Sifat Tum Se Puri Hugi. _Subhan Allah_ ❤
Riwayat Hai Keh Hazrat Bandagi Miya'n Yusuf Muhajir رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Daire Mu'alla Se Bahar Chopke Se Kahi'n Durr Nikal Kar Chale Jate Aur Alag Thalag Kuch Waqt Guzaar Kar Phir Khamoshi Se Apni Jagah Se Wapas Pahunch Jaya Karte The. Ahle Dairah Me Se Kisi Ne Inn Ku Iss Tarah Aate Jate Dekh Liya Aur Iss Ki Ittela Huzoor Mehdi Maud علیہ الصلواۃ و السلام Ki Khidmat Me Pahuncha Di. Mehdi Maud علیہ الصلواۃ و السلام Ne Farmaya Khairr Tum Bhai Miya'n Yusuf (رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ) Se Kehdo Keh Woh Khalwat Me Baithe Rahe'n Aur Kahi'n Be Zaroorat Nah Jaya Kare'n. Unn Sahabi رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ku Khabar Nah Thi Keh Miya'n Yusuf Muhajir رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Kis Haal Wa Muqam Ke Buzurg Hain. Inho'n Ne Dusre Aam Logo'n Par Inn Ku Qayas Kiya Tha. Woh Chonkeh Mubtadi The Aur Inn Ki Iste'dad Feham Abhi Iss Laiq Nah Thi Keh Miya'n Yusuf Khudawand Fani Muhajir رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ke Muqam Wa Martabah Ka Idrak Kar Sakte.
*ہمچو خود پند اشت صاحب دلق را*
Iss Liye Inn Ki Samajh Ke Muwafiq Inn Ku Jawab Marhamat Farmaya. Jaise Keh *تکلمواالناس علی قدر عقولھم* Phir Jab Bandagi Miya'n Yusuf Muhajir رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Hazir Hove Tu Irshad Hova Keh *"ہر حال خدائے را حاصل کنید"* Yeh Nahi Farmaya Keh Dairah Se Bahar Nah Jao, Balkeh Farmaya Gaya Keh Har Haal Me Khuda Ku Hasil Karne Me Lage Raho. Subhan Allah Kya Jame' Farman Hai. Iss Me Pehle Irshad Ki Nafi Nahi Hai Aur Ba'd Ke Farman Me Lafz Har Haal Bata Raha Hai Keh Bahar Jana Bhi Hu Tu *"ہر حال خدائے را حاصل کنید"* Ke Manafi Nah Hu Warnah Daire Me Hute Hove Bhi Be Haal Rehna, Mu'anan Daire Se Bahar Rehne Ke Mutaradif Hai.
Marvi Hai Keh Hazrat Bandagi Miya'n Shah Ameen Mohammad Farooqi Qata'i Jannati رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Aur Hazrat Bandagi Miya'n Yusuf Khudawand Fani Muhajir Qata'i Jannati رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ U'moman Paas Paas Hi Rehte The. Afghanistan 🇦🇫 Ke Kade Musam Mashoor Hain. Sakt Sardiyo'n Ke Musam Me Tannoor Garam Rakhna Padta Hai. Ek Dafa'h Musame Sarma Hi Me Namaz-e-Fajar Ke Waqt Inn Dono'n Ashab Ne Bhi Apna Tannoor Jala Rakha Tha. Muhaajireen Aur Ahle Dairah Ki Ziyadah Tar Auqaat Shab Me Khabar Giri Karna Imam-ul-Anaam ﷺ Ki A'dat-e-Mubarakah Thi. Aap ﷺ Jab Waha'n Pahunche Tu Dekha Keh Tannoor Garam Hai Aur Iss Me Rotiya'n Pakai Ja Rahi Hain. Huzoor علیہ الصلواۃ و السلام Inn Dono'n Ashab Se Mukhatib Hove Aur Farmaya Keh Tum Jaiso'n Keliye Zeba Nahi Keh Yeh Waqt Rotiya'n Tayyar Karne Me Guzaar Du. Inho'n Ne A'rz Kiya Keh Huzoor Chonkeh Tannoor Pehle Se Garam Tha. Iss Liye Iss Me Rotiya'n Lagi Di Gai Hain. (Warnah Maqsood Rotiya'n Pakana Nah Tha) Irshad Mubarak Hova Keh Khairr Jane Du, Aindah Inn Auqaat Me Rotiya'n Nah Pakaya Karo.
I'laqah Gujrat Ahmedabad Me Chandola Naam Ka Ek Muqam Hai (Ab Yeh Naam Chandola Talaab Se Mashoor Hai). Ameer-ul-Musaddiqeen Bandagi Meera'n Sani-e-Mehdi رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ke Wisaal Ke Ba'd Bandagi Miya'n Yusuf Muhajir رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Chandola Me Dairah Bana Kar Rahe. Iss Zamane Me Ek Saheb Aap رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ke Paas Akar Kehne Lage Keh Hazrat My Ek A'lim-e-Deen Ku Sath Lekar Aata Ho'n Woh Jab Aaye Tu Uss Ke Sath Aap رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Guftago Me Zara Narmi Wa Balagat Istemal Kare'n. Miya'n Ne Kaha Khairr Tum Isse Bolakar Tu Lao, Woh A'lim Saheb Jab Aaye Tu Aap رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ne Unn Ku Mukhatib Kar Ke Farmaya *یا اھل الکتاب تعالوا* 📖Surah Al-Imran, Ayat 64📖 Ya'ni Aye Ahle Kitab Aao, Ek Aysi Baat Ki Taraf Ju Hamare Aur Tumhare Darmiyan Barabar Hai. Iss Par A'lim Saheb Ne Kaha Hazrat Quran Ki Yeh Ayat Tu Ahle Kitab Ke Haq Me Hai. Aap رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ne Farmaya Bilkul Haq (Ya'ni Iss Liye Tu My Ne Kaha یا اھل الکتاب تعالوا) A'lim Saheb Iss Jawab Par Roth Gaye Aur Bora Sa Moo Bana Kar Chalte Bane. Inn Ku Bola Kar Lane Wale Saheb Bade Hairan Wa Pareshan The Keh Kya Majra Hai Inho'n Ne Pucha Miya'n Aap رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ne Iss A'lim Se Iss Tarah Khitab Kiun Kiya. Bole Monkar-e-Mehdi Se Yahi Kehna Chahiye. Woh Saheb Iss Haqeeqat Se Kam Waqif The Keh Allah Ka Inkar, Rasool ﷺ Se Inheraf, Khalifatullah ﷺ Se Rogardani Yeh Sab Mu'anan Ek Hain. A'lim Saheb Agar Waqa'i Haq Parast The. Tu Iss Tarah Bhadak Kar Chale Nah Jate Magar Inn Ka Nafs Darmiyan Me Aa Gaya. Woh Samajh Rahe The Keh Mera Wiqar Majrooh Hu Raha Hai. Inho'n Ne Ayat Ki Sirf Shan-e-Nuzool Ku Dekha Aur Yeh Nah Dekha Keh Iss Ka Itlaq Mu'anan Har Na Haq Parast Par Huta Hai.
*بت پرستی کیجئے یا حق پرستی کیجئے*
*پاس کسی دن کے لیے نا حق پرستی کیجئے*
Imamuna علیہ الصلواۃ و السلام Ki Riwayaat Jaha'n Dusre Ashab Wa Muhajireen Se Manqool Hovi Hain Waha'n Aap رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Se Bhi Ek Riwayat Naqal Ki Gai Hai. Aap رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Riwayat Karte Hain Keh *Farmaya Mehdi Maud علیہ الصلواۃ و السلام Ne Keh Nafs-e-Lawwamah Nafs-e-Mohammad ﷺ Hai.* Beshak
Ek Talib-e-Khuda Faqeer Aap رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ke Bahut Mu'taqid Aur Mureed The. Chandola Se Qareeb Ek Muqam Hai Jaha'n Jis Ke Ek Mohalle Ka Naam Shah A'lampurah Hai Yeh Talib-e-Khuda Buzurg Apne Phate Haal Me Wa Bekhabar Idhar Nikle. Galiban Ahle Khanah Keliye Kuch Sauda Salf Lana Tha Aur Dil Bayar Dast Bakaar Ke Mutabiq Apni Dhon Me Chal Rahe The. Hath Me Teal (Oil) Ki Ek Koppi Bhi Thi Aur U'jlat Me The. Galiban Kaam Se Faragat Ke Ba'd Jald Ghar Laut Jane Ka Iradah Tha. Ittefaqan Wahi'n Kahi'n Chan'd U'lama Sargaram Guftago The. Mauzu-e-Behas Ek Ayat-e-Kareemah Thi. Jis Me Aaya Hai Keh Qayamat Aur Barish Ka I'lm Shikam-e-Madar Me Ladki Hai Ya Ladka, Rizq Aur Qabz-e-Rooh Yeh 6 Baate'n Aysi Hain Jin Ku Khuda-e-Ta'ala Ke Siwa Koi Nahi Janta................
U'lama Mutaraddad Iss Par The Keh Buzurgan-e-Deen Me Se Kitno'n Ne Hi Aysi Baate'n Qabal Az Waqt Batlai Hain Ju Bilkul Sahi Sabit Hovi'n Aur Baat Nas-e-Qurani Se Muta'riz Hai Jaise Kisi Ki Maut Ki Khabar Dena Ya Yeh Batana Keh Maa Ke Pet Me Ladki Hai Ya Ladka Iss Behas Wa Takrar Me The Keh Daf'atan Hazrat Bandagi Miya'n Yusuf Muhajir رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ke Dairah Ke Yeh Faqeer Khastah Haal Dikhai Diye. Yeh Sahebeen Inn Ku Bulane Keliye Fauran Daud Pade Aur Jante The Keh Woh Mehdavi Faqeer Hain Aur Apne Murshideen-e-Ikram Se Bayan-e-Quran Sunte Rehte Hain. Iss Liye Apni Tajveez Ke Mutabiq Chaha Keh Inn Ki Ray Ma'loom Kare'n. Badi Khush Amad Se Unn Faqeer Benawa Ku Apni Baithak Me Bola Laye. Phir Apne Ashkaal Inn Ke Samne Rakhe. Hazrat Bole My Ek Ann Padh Ma'mooli Faqeer Ho'n. Gawwas-e-Qurani Kya Jano'n. Phir Aap Loog A'lim Hain. Hameshah Fateh Khuwani Aur Khatam-e-Quran Wagerah Aap Ke Yaha'n U'moman Huta Rehta Hai. (Ya'ni Quran Ka I'lm Tumhare Yaha'n Iss Tarah Tazah Rehta Hai) Phir Mujh Jahil Ki Baat Aap Logo'n Ke Kya Dil Ku Lage Gi. Kya Aap Sahebeen Unn Qurani Israr Ku Nahi Samajh Sakte. Inn Alimo'n Ne Jab Bahut Israr Kiya Tu Farmaya Keh Badshah Ke Dil Me Ju Baate'n Raz Rehti Hain Unn Se Wazeer Ku Bhi Ba Khabar Rakhna Padta Hai Aur Muqbiran-e-Khaas Bhi Mutalah Rehte Hain. Badshah Ka Raaz Badshah Ke Dil Me Raaz Bankar Nahi Reh Sakta, Albattah Iss Ke Izhar Ka Inhesar Badshah Ki Marzi Par Huta Hai. Jab Tak Mansha-e-Ezadi Nah Hu Aur Jab Tak Khilafat-e-Hikmat Wa Maslihat-e-Khudawani Nah Hu Yeh Loog Koi Bhi Bahar Nahi Late. Yeh 6 Baate'n Haq Ta'ala Ne Kulyatan Apne Zimme Le Rakhi Hain Aur Jaha'n Zaroorat Samjhi Gai Unn Buzurgo'n Ke Zariye'h Iss Raz Ku Afsha Kar Diya Gaya. U'lama Khush The Keh Inn Ka Ashkaal Rafa' Hu Choka Hai. Waqiyah Bahut Purana Sahi Magar Yeh Hai Ek Amr Waqiyah Aur Bahut Shandar, Yaha'n Phir Ek Sawal Uthta Hai Keh Akhar Yeh Bechare U'lama-e-Ikram Iss Ashkaal Ku Hal Karne Me Apne Ku Kiun Majboor Pa Rahe The Aur Akhar Woh Konsa I'lm Tha. Jis Ki Badaulat Isharah Karte Ek Ann Padh, Be I'lm, Adna Faqeere Dairah Ne Iss Ashkaal Ku Durr Kar Ke Unn U'lama-e-Zahir Ki Tashaffi Kardi. Iss Faqeer Be Nawa Ki Be I'lmi Wa Jahalat Par Se Hazaro'n U'loom Wa Funoon Nisar Jis Ki Be I'lmi I'lm Ke Ayse Jawahar Pare Lotati Hu Ju Kisi Deoband, Kisi Nadwat-ul-U'lama, Kisi Jami-ul-Azhar Me U'mr Bhar Sar Mari Karne Ke Ba'd Bhi Yeh Salahiyat Wa Iste'dad Paida Nah Hu Sake. Hazrat Bandagi Miya'n Yusuf Muhajir رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Apne Sidq Wa Safa, I'lm Wa A'mal Aur Husn-e-Mutabi'at Imam علیہ الصلواۃ و السلام Ke Ba'is Bargah-e-Imamat Me Manzoor Hove Aur 12 Mubashshire Khaas Ashab Girami Manzilat Me Shomar Hove Aur 60 Saal Ki U'mr-e-Shareef Me Juma Ke Roz Ba'd Namaz-e-Isha 25 Dhu-al-Qai'dah 935 A.H Mutabiq 31 July 1529 A.D Ku Chandola Ke Daire Hi Me Inteqal Farmaye Aur Yahi'n Madfoon Hain Aur Aap رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ka Raoz-e-Mubarak Ziyarat Gahe Khaas Wa Aam Hai. Chandola Ahmedabad Ke Nawah Me Ek Mauza (Village) Ke Naam Hai. Ab Miya'n Ka Raoz Hazrat Shah A'lam Bukhari رحمته الله عليه Ki Dargah Ke Hudood Me Aata Hai.
✍🏻 *Written By: Bandah Haqeer Mustaqeem Mehdavi*
لا الہ الا اللہ محمد رسول اللہؐ
اللہ الھنا محمد نبیّٗنا
القرآن و المہدیؑ امامنا آمنا و صدقنا
✉️ *Post By: Raah-e-Haq Mehdaviyat* ✒️

No comments:
Post a Comment