Wednesday, June 7, 2023

Hazrat Peer Wa Murshid Syed Mehmood Urf Saidanji Miyan Saheb Khundmiri RH Bani-e-Juma Dairah Chanpatan

 Hazrat Peer Wa Murshid Syed Mehmood U'rf Saidanji Miya'n Saheb Khundmiri قدسِ سّرةالعزیز

🌹 *Bani-e-Juma Dairah Chanpatan*🌹


❤️Salana U'rs-e-Mubarak 122th❤️


#BEHR_E_AAM_MUBARAK :

 Wednesday / 17 Dhu-al-Qai'dah 1444 A.H / 7 June 2023 C.E


#URS_E_MUBARAK :

 Thursday / 18 Dhu-al-Qai'dah 1444 A.H / 8 June 2023 C.E


Naam :

 Syed Mehmood Khundmiri رحمته الله عليه.


Valid :

 Hazrat Peer Wa Murshid Syed A'li Gazi Saheb Khundmiri رحمته الله عليه.


Validah :

 Hazrat Bibi ................. Sahebah رحمته الله عليها.


D.O.B :

 Sunday / 13 Jamadi-us-Sani 1236 A.H / 18 March 1821 A.D 


P.O.B :

 Dairah Kirgaval Shareef, Mandya, Karnataka, Hind 🇮🇳. 


U'rfiyat :

 Saidanji Miya'n Saheb.


B.R.O :

 1) Miya'n Syed Ibrahim Khundmiri.


 2) Miya'n Syed Qasim Khundmiri.


 3) Miya'n Syed Ishaq Khundmiri.


 4) Miya'n Syed Hussain Khundmiri.


Alqaab :

 Sheak-e-Tareeqat, Sheak-ul-Mashaikh, Zahid-e-Akmal, Qaim-ul-Lail, Daimus Saum, A'shiq-e-Ma'bood, Nabbaz-e-Millat, Hafiz-e-Kalamullah, Faiz-e-Darjat Wagerah.


D.O.D :

 Tuesday / 18 Dhu-al-Qai'dah 1322 A.H / 24 January 1905 A.D


Holy Shrine :

 Chota Hazirah, Dairah Chanpatan, Karnataka, Hind 🇮🇳. 


❤️JAD NAMAH :

✧═════•❁❀❁•═════✧


👇🏻1) Hazrat Peer Wa Murshid Syed Mehmood U'rf Saidanji Miya'n Saheb Khundmiri رحمته الله عليه (Madfan Chanpatan) Ibne


👇🏻2) Hazrat Peer Wa Murshid Syed A'li Gazi Saheb Khundmiri رحمته الله عليه (Madfan Kirgaval) Ibne


👇🏻3) Hazrat Peer Wa Murshid Miya'n Syed Ibrahim U'rf Bade Miya'n Saheb Khundmiri رحمته الله عليه (Madfan Kirgaval) Ibne


👇🏻4) Hazrat Bandagi Miya'n Syed A'li رحمتہ اللہ علیہ (Madfan Erode) Ibne


👇🏻5) Hazrat Bandagi Miya'n Syed Hussain U'rf Saidan Miya'n Saheb A'lim رحمتہ اللہ علیہ 📖Musannife Tazkirat-us-Saliheen (Madfan Madakpalli) Ibne 


👇🏻6) Hazrat Bandagi Miya'n Syed A'li Haji Saheb رحمتہ اللہ علیہ (Madfan Madakpalli) Ibne


👇🏻7) Hazrat Bandagi Miya'n Syed A'tan رحمتہ اللہ علیہ (Madfan Madakpalli) Ibne


👇🏻8) Hazrat Bandagi Miya'n Syed A'li Sutoon-e-Deen رحمتہ اللہ علیہ (Madfan Madakpalli) Ibne


👇🏻9) Hazrat Bandagi Miya'n Syed Mehmood Saidanji Khatim-ul-Murshid Deen-e-Daribah رضی اللہ عنہ (Madfan Jalore Shareef) Ibne


👇🏻10) Ameer-ul-Musaddiqeen Hazrat Bandagi Miya'n Syed Khundmeer Siddiq-e-Vilayat Syed-ush-Shohda Hamil-e-Bare Amanat رضی اللہ تعالی عنہ.

(Madfan, Sudrasan, Patan, Chapaneer)


❤️SEERATE MIYA'N MEHMOOD رحمته الله عليه :

✧═════•❁❀❁•═════✧


  Qaume'n Apni Taraqqi Aur Zahoor-e-Nao Ke Zamane Me Har Dairah Kaar Ku Mutasir Karti Hain. Iss Tarah Mahool Me Ek Ajnabiyat Aur Gair Manoos Tarze Ehsaas Paida Huta Hai. Seerat Nigar Ka Kaam Iss Ka Zaichah Banana Ya Mohiz Tareekh Ke Auraq Ulat Dena Nahi, Balkeh Uss Ke Zimme Iss Tarze Ehsaas Ki Apni Tehreer Se Sahi A'kasi Karna Huta Hai. Takeh Makhlooq Iss "Lamha" Ki Afadiyat Wa Ehmiyat Ku Mehsoos Kar Ke Apnane Aur Iss Se Raoshni Wa Rehnomai Hasil Karne Ki Kushish Kare'n, Ju Keh Iss Tarze Ehsaas Ka Hasil Huta Hai. Pas Iss "Lamhe" Aur Iss "Tarze Ehsaas" Ku Bhi Juz Wa Seerat Hi Samajhna Chahiye. 


  Har Zamane Me Kuch Loog Zaroor Ayse Hute Hain Jin Ku Haq Wa Sadaqat Ki Tameez Huti Hai Aur Inhi'n Ke Zariye'h Se Ehle Haq Wa Sadaqat Ki Shanakat Bhi Huti Rehti Hai Aur Taliban-e-Haq Ahle Haq Ki Tasdeeq Me Pesh Pesh Rehte Hain. 


  Allah ﷻ Ke Dosto'n Ki Suhbat Ka Ek Ek Lamha Saalo'n Ki I'badat Se Kai Darjah Afzal Wa A'ala Hai. Ayse Hastiyo'n Ki Zindagiya'n Hamare Liye Behtareen Nomah Hain Aur Yeh Hum Par Allah ﷻ Ka Bada Fazal Hai Keh Uss Ke Mehboob Bando'n Ku Hamari Islah Keliye Dunya Me Mab'oos Farmaya. Unhi'n Khuda-e-Ta'ala Ke Khaas Bando'n Ke Geroh Se Ek Hazrat Peer Wa Murshid Syed Mehmood U'rf Saidanji Miya'n Saheb Khundmiri رحمته الله عليه Ki Zaat-e-Aqdas Hai. Aap رحمته الله عليه Apne Waqt Ke Sachche Wa Kamil Murshid Ki Moo Bolti Tasveer The. Miya'n Ki Hayat Ki Ek Ek Saans لا الہ Hu Nahi الا اللہ Tu Hai Ke Yakseer Se Arastah Thi. Miya'n Ku Dunya Aur Lawazimate Dunya Se Bezari Aur Nafrat Ke Izhar Aur Ishq Wa Ma'rifat-e-Ilahi Ki Be Inteha Talab Wa Tadap Ku Dekh Kar Aap رحمته الله عليه Ke Valid-e-Buzurgwar Miya'n A'li Gazi رحمته الله عليه Ne Apne Khuwanda-e-Tareeqat Ke Halqa-e-Iradat Me Shamil Kar Liya. Gazr Keh Miya'n A'li Gazi رحمته الله عليه Uss Waqt Ke Mashoor Wa Ma'roof Mashaikeen Se The Aur Apka Qadam Buzurgo'n Ke Qadam Ba Qadam A'liyat Par Tha Aur Ahle Haq Se The. Hazrat Syed Mehmood Miya'n رحمته الله عليه Ek Faqeer Aur Mutawakkil Gharane Me Paida Hove. Aap رحمته الله عليه Ka Silsila-e-Nasab Hazrat Bandagi Miya'n Syed A'li Ahle Erode رحمته الله عليه Se Huta Hova Bandagi Miya'n Syed A'li Sutoon-e-Deen رحمته الله عليه Se Aur Upar Ameer-ul-Musaddiqeen Bandagi Miya'n Syed Khundmeer Siddiq-e-Vilayat Sair-e-Vilayat رضی اللہ تعالی عنہ Se 10th Pusht Par Ja Milta Hai. Aap رحمته الله عليه Ku Dekh Kar Valid-e-Buzurgwar Ne Roze Awwal Hi Apna Jannasheen Muntakab Kar Liya Aur Iss Takayyul Ke Tehat Iss Honahar Farzand Ki Zaheri Wa Batini Ta'leem Wa Tarbiyat Hone Lagi. Tasmiyah Khuwani Ke Ba'd Se Valid-e-Buzurgwar Ki Suhbat Me Baith Kar Quran Ki Ibtedai Ta'leem Hasil Farmaye Aur Pore 8 Saal Ki U'mr-e-Shareef Me Quran-e-Majeed Hifz Farmaya. Hafiza Itna Mazboot Tha Keh Ju Baat Ek Baar Sunte Woh Hameshah Keliye Yad Reh Jati Thi.


 22 Saal Ki U'mr-e-Shareef Me Tark-e-Hubbe Dunya Se Sarfaraz Hove. Har Shaks Umoor-e-Deen Me Aap رحمته الله عليه Ki Taraf Ruju Karta Tha Aur Aksar Mushkil Umoor Ku Miya'n Ne Hal Kiya Hai. Aap رحمته الله عليه Jaleel-ul-Manaqib Buzurg The. Mutawakkal Aur Saaf Dil Rakhte The. A'rabi Aur Farsi Aur Urdu Me Kamil Dastgah Rakhte The. I'lm-e-Tib Bhi Hasil Kiya Tha. Ek A'rsah Pura Karne Ke Ba'd Kargavil Me Kuch Na Guzaar Halat Ban Gaye Jis Ki Wajah Se Miya'n Ku Kai Sari Takaleef Kirgaval Me Pesh Aane Lagi Aur Miya'n Ku Unn Ka Samna Karna Pada Aur Akhar Kaar Naubat Yaha'n Tak Aa Pahunchi Keh Kirgaval Se Hijrat Kar Ke Dairah Chanpatan Aa Gaye Aur Jhare Ki Baodiyo'n Ke Paas Dairah Bandha, Jis Ka Ab Naya Naam Sheru Hotel Se Mashoor Hai. 


  Hazrat Saidanji Miya'n Saheb Khundmiri رحمته الله عليه Chanpatan Aane Ke Ba'd Apne Akhir Waqt Tak Yahi'n Rahe. Chanpatan Aane Ke Ba'd Aap رحمته الله عليه Ki Sahebzadi Hazratah Syedah Achcha Bibi Sahebah رحمته الله عليها Ka Nikah Hazrat Peer Wa Murshid Syed Haidar Al-Ma'roof A'li Miya'n Saheb رحمته الله عليه Se Hova. Phir Aap رحمته الله عليه Chanpatan Se Hajj-e-Baitullah Keliye Rawanah Hove. Hajj-e-Baitullah Ke Farz Se Farigh Hone Ke Ba'd Miya'n Madinat-un-Nabi ﷺ Keliye Azime Safar The Keh Rasteh Me Ek Kum U'mr Bachcha Ju Kisi Ka Kho Gaya Tha Miya'n Ku Mila Woh Bachcha Miya'n Ki Muhabbat Wa Chahat Ku Dekhar Apna Hi Koi Hai Samajh Baitha Aur Jaha'n Jaha'n Miya'n Tashreef Le Jate Woh Lawaris Bachcha Bhi Piche Piche Chala Aata. Miya'n Ne Yeh Dekhar Uss Se Pucha Tumhare Maa Baap Kidar Hain Aur Tum Kiun Ayse Idhar Udhar Phir Rahe Hu, Woh Bola Mere Yaha'n Koi Nahi Hai. Miya'n Kai Ek Jagah Uss Ke Maa Baap Ku Dhonda Par Koi Nah Mila Yeh Dekhar Saidanji Miya'n رحمته الله عليه Uss Lawaris Bachche Ku Apne Sath Rakh Liye Aur Wapas Chanpatan Le Aaye. Miya'n Ne Uss Bachche Ku Apna Moo Bola Beta Bana Liya. Phir Iss Lawaris Bachche Ka Naan Ahmed Rakha Ju Aage Chal Kar Syed Ahmed U'rf A'mdo Miya'n Ke Naam Se Mashoor Hove, Apka Madfan Chanpatan Ka Bada Hazirah Hai.


  Chanpatan Ke Syedzado Me Se Ek Shaks Jin Ka Naam Nahi Ma'loom Hu Saka. Tamil Nadu Ke Deeni Madrasa Baqiyat-us-Salaat Se I'lm-e-Deen Hasil Kar Aaye The. Inho'n Ne Aane Ke Ba'd Chanpatan Me Jumma Ki Namaz Shuru Karne Ka Mua'mlah Murshideen-e-Ikram Ke Huzoor Pesh Kiya Aur Juma Namaz Ke Ada Karne Ke Sare Faide Aur Sawab Bataye Aur Yeh Tay Hova Keh Sare Chanpatan Ke Mehdavi Loog Ek Masjid Me Jama Hukar Juma Ki Namaz Ada Kare'n Ge. Uss Daur Me My Tu Ku Mua'mlah Garam Tha. Jin Murshideen Ku Juma Shuru Karne Ki Da'wat Se Durr Rakha Aur Woh Inhe'n Bolaye Tak Nahi, Inn Mashaikeen Ke Geroh Ne Unn Se Pehle Namaz-e-Juma Ada Kardi. Ab Aage Yeh Hova Keh Ju Loog Juma Padna Har Musalman Par Farz Hai Ka Fatwa Diye The Wahi A'lim Saheb Aur Digar Loog Yeh E'laan Kara Diye Keh Ju Bhi Juma Pade Ga Woh Kafar Hai. Chanpatan Me Sab Se Pehle Juma Padhne Wale Murshid Hazrat Peer Wa Murshid Syed Mehmood U'rf Saidanji Miya'n Saheb Khundmiri رحمته الله عليه Hain. Miya'n Ne Pehli Juma 11 Ahbab Jin Me 3 Murshideen Aur Fuqrah Shamil The Ada Kiye. Jab Aindah Juma Ku Miya'n Mimbar Par Khutbah De Rahe The Tu Kisi Zaleel Ne Lakdi Pehnk Mari Aur Lakdi Pair Ku Lagne Ki Wajah Se Pair Ki Haddi Toot Gai. Yaha'n Tak Ju Bhi Juma Ada Karne Keliye Saidanji Miya'n رحمته الله عليه Ke Paas Aate Unn Ku Rasteh Me Tarah Tarah Ki Takaleef Dene Shuru Kiye. Magar Itne Dard Wa Zulm Ke Ba'd Bhi Miya'n رحمته الله عليه Ne Juma Har Halat Me Chalo Rakhi. Kai Saal Tak Jumma Wale Aur Gair Jumma Wale Ka Mua'mlah Chala Aur Ju Juma Padhne Wale The Unn Ki Shadiyo'n, Mayyato'n, Du'wa Salam Tak Ke Nah Karne Ki Pabandi Laga Di Gai. 


  Hazrat Saidanji Miya'n Saheb رحمته الله عليه Ku Kirgaval Me Jitni Takleef Nahi Hovi Uss Se Kahi'n Ziyadah Chanpatan Aane Ke Ba'd Museebato'n Ka Moo Par Samna Karna Pada. Par Aap رحمته الله عليه Bandagi Miya'n رَضی اللہُ تعالیٰ عنہ Ki Nasal Se The. Zamane Bhar Ke Dard Dokh Takaleef Bardasht Karna Aap رحمته الله عليه Keliye Ma'mooli Hu Gaya Aur Iss Dunya Se Pardah Farmane Tak Aap رحمته الله عليه Sabar Ka Daman Kabhi Nahi Cho'dde. Aap رحمته الله عليه Aaj Bhi Har Ek Momin Musaddiq Mehdavi Ke Dil Me Zidah Hain. Chanpatan Me Hi Miya'n Ka Inteqal 86 Saal Ki U'mr-e-Shareef Me Hova Aur Chote Hazire Me Aram Farma Hain. Namaz-e-Janazah Saidanji Miya'n رحمته الله عليه Ke Janashinee'n Hazrat Peer Wa Murshid Syed Yahya U'rf Khoob Saheb Miya'n رحمته الله عليه Ne Padhai. 


❤️ BIWIYA'N AUR AULAD :

✧═════•❁❀❁•═════✧


 Aap رحمته الله عليه Ku 2 Biwiya'n Thi'n.


Pehle Biwi Se Yeh Aulade'n Hain.


1) Syed A'li Gazi.


2) Hazrat Peer Wa Murshid Syed Yahya U'rf Khoob Saheb Miya'n Khundmiri رحمته الله عليه.


3) Hazratah Syedah Achcha Bibi Sahebah رحمته الله عليها.

W/o: Hazrat Peer Wa Murshid Syed Haidar Al-Ma'roof A'li Miya'n Saheb رحمته الله عليه.


Dusre Biwi Se Aulad Ma'loom Nah Hu Saki.


✍🏻 *Written By: Bandah Haqeer Mustaqeem Mehdavi*


لا الہ    الا اللہ    محمد   رسول      اللہؐ


اللہ           الھنا           محمد        نبیّٗنا 


القرآن  و  المہدیؑ  امامنا  آمنا و صدقنا


✉️ *Post By: Raah-e-Haq Mehdaviyat* ✒️


No comments:

Post a Comment

Hazrat Abdullah Bin Rawahah Shaheed (RZ)

 Hazrat A'bdullah Ibne Rawahah Shaheed رَضِیَ اللّٰەُ تَعَالٰی عَنْهٗ  🌹Katib-e-Rasool ﷺ Wa Sha'ir-e-Rasool ﷺ🌹 🌱Salana U'rs-e...